Auliya-e-Kiram Ke Baare Me Islami Aqide



AQIDA: Auliya Allah sirf muttaqi perhezgaar aur bade darje ke iba’dat guzaar sunni sahi’hul aqeeda musalman hote hain.koi bad-aqeeda ya fasiq-o-fajir,shari’at ke khelaaf kaam karne wala,Namazon ko chhodne wala,gaja sharab pine wala wali nahi hota hai.jaisa ki Allah ta’ala ne irshad farmaya ki:

اِنْ اَوْلِیَآؤُہٗۤ اِلَّا الْمُتَّقُوۡنَ[سورۃ الانفال:۳۴]

TARJAMA: Us ke (yani Allah ke) auliya sirf muttaqi aur perhezgaar log hote hain.(Surah anfaal:34)
AQIDA:Auliya-e-kiraam se khud Allah ta’ala aur us ke farishte mohabbat karte hain.is liye un se mohabbat karna aur un ko buzrug samajhna imaan walon ki pehchan hai.Jaisa ki hadis sharif me hai.

عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ عَنِ النَّبِىِّ - صلى الله عليه وسلم - قَالَ « إِذَا أَحَبَّ اللَّهُ الْعَبْدَ نَادَى جِبْرِيلَ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلاَنًا فَأَحْبِبْهُ . فَيُحِبُّهُ جِبْرِيلُ ، فَيُنَادِى جِبْرِيلُ فِى أَهْلِ السَّمَاءِ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلاَنًا فَأَحِبُّوهُ . فَيُحِبُّهُ أَهْلُ السَّمَاءِ ، ثُمَّ يُوضَعُ لَهُ الْقَبُولُ فِى الأَرْضِ »[بخاری، کتاب بدء الخلق:۳۲۰۹۔ مسلم :۲۶۳۷]

TARJAMA: Hazrat-e-Abu’hurairah radhi allaho anho se riwayat hai ki Nabi kareem ﷺ ne farmaya ki: Jab Allah ta’ala kisi bande se mohabbat karta hai to Hazrat-e-Jibreel ko awaaz deta hai ki “Be-shak Allah fulan bande se mohabbat karta hai”Tum bhi us se mohabbat karo,To Hazrat-e-Jibreel us se mohabbat karne lagte hain phir woh asmaan walon me elaan kardete hain ki be-shak Allah fulan bande se mohabbat karta hai.Tum sab bhi us se mohabbat karo to us bande se asmaan wale mohabbat karne lagte hain phir us ki maqboliyat zameen walon me rakh di jaati hai.[Sahih Bukhari,hadis No.3209. Sahi Muslim,hadis No.2637]
AQIDA:Auliya allah ki shaan aur un ke kamalaat aam logon se bahut hi buland huwa karti hain woh Allah ta’ala ki ibadat karte karte aise maqaam par pahunch jaate hain ki Allah taala unhen aisi taaqat aur Qudrat ata farmata hai jo aam bandon ki taaqat-o-Qudrat se bahut badh ke hoti hai isi liye ek aam aadmi door ki chizon ko nahi dekh pata lekin Allah ke wali door ki chizon ko bhi dekh lete hain aur door ki awazon ko bhi sun lete hain aur door rahte hue bhi apne maan’ne walon ko faaida pahucha dete hain jaise ki Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne madina sharif me rahte hue Nihawand Iran me islami lashkar ko dekh liya aur unhe apni hidayat se faaida bhi pahucha’ya.hadis e Qudsi hai:

ُعَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ - صلى الله عليه وسلم - « إِنَّ اللَّهَ قَالَ مَنْ عَادَى لِى وَلِيًّا فَقَدْ آذَنْتُهُ بِالْحَرْبِ ، وَمَا تَقَرَّبَ إِلَىَّ عَبْدِى بِشَىْءٍ أَحَبَّ إِلَىَّ مِمَّا افْتَرَضْتُ عَلَيْهِ ، وَمَا يَزَالُ عَبْدِى يَتَقَرَّبُ إِلَىَّ بِالنَّوَافِلِ حَتَّى أُحِبَّهُ ، فَإِذَا أَحْبَبْتُهُ كُنْتُ سَمْعَهُ الَّذِى يَسْمَعُ بِهِ ، وَبَصَرَهُ الَّذِى يُبْصِرُ بِهِ ، وَيَدَهُ الَّتِى يَبْطُشُ بِهَا وَرِجْلَهُ الَّتِى يَمْشِى بِهَا ، وَإِنْ سَأَلَنِى لأُعْطِيَنَّهُ ، وَلَئِنِ اسْتَعَاذَنِى لأُعِيذَنَّهُ ، وَمَا تَرَدَّدْتُ عَنْ شَىْءٍ أَنَا فَاعِلُهُ تَرَدُّدِى عَنْ نَفْسِ الْمُؤْمِنِ ، يَكْرَهُ الْمَوْتَ وَأَنَا أَكْرَهُ مَسَاءَتَهُ »[بخاری ، کتاب الرقاق ،باب التواضع: ۶۵۰۲]

TARJAMA: Hazrat-e-Abu’Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya ki be-shak Allah ta’ala ne irshad farmaya ki Jo mere kisi wali se dushmani karta hai main us se jang karne ka elaan karta hun.Aur mera banda jin chiz ke zari’ye mere qareeb hota hai un me se farz chizen mujhe ziyadah pasand hai, aur mera banda nafli ibadat ke zari’ye mujh se qareeb hota rahta hai yahan tak ki main us se mohabbat karne lagta hun phir jab main us se mohabbat karne lagta hun to main us ka kaan ban jaata hun jis se woh suntan hai aur uski aankh ban jaata hun jis se woh dekhta hai aur us ka haath ban jaata hun jis se woh pakarta hai aur us ka paao ban jaata hun jis se woh chalta hai agar woh mujh se kuchh maangta hai toh main use zarur ata karta hun aur agar woh meri panaah mangta hai to use main apni panaah zarur ata karta hon aur jo kaam mujhe karna hota hai main us me kabhi is tarah mutaraddid nahi hota jaise momin bande ki jaan lene me hota hun , use maut pasand nahi aur mujhe us ki taklif pasand nahi hoti. [Sahi bukhari,Hadith No.6502]
FAAIDA: Is hadis sharif me ye jo kaha gaya ki “main uska kaan ban jaata hun jis se woh sunta hai,Aankh ban jaata hun jis se woh dekhta hai” wagairh to is ka matlab ye nahi hai ki Allah ta’ala us me sama jaata hai jis ki wajah se woh aise kaam kar lete hain jo kisi bhi aam insan se nahi ho sakta balke is ka sahi matlab ye hai ki unhe Allah ta’ala aam logo se ziyadah sun’ne aur dekhne wagairah ki taaqat ata farma deta hai jis ki wajah se woh begair kisi dunyawi zari’ye ke hazaron koos door ki chizon ko bhi dekh lete hain aur wahan ki awaz ko bhi sun lete hain.
AQIDA: Wali chahe jitne bhi bade maqam par pahuch jaaye un se namaz,roza aur shari’at ke dusre qawanin(laws of shari’at) aur ahkam maaf nahi hote hain ki ab unhe namaz padhne ki zarorat nahi ya ab un ke liye ijazat hai ki woh shari’at ke khelaf kaam kare unhe kuchh nahi hoga(نعوذ باللہ من ذالک) kyunki huzur se badh ke koi nahi ho sakta to jab Aap ﷺ ke liye maaf na huwa to dusre ke liye kaise ho sakta hai?Allah ta’ala irshad fermata hai:

وَاعْبُدْ رَبَّکَ حَتّٰی یَاۡتِیَکَ الْیَقِیۡنُ[سورۃ الحجر : ۹۹]

TARJAMA: Aur tum marte dam tak apne rab ki ibadat karte raho.[Surah al-hajar,Aayat No.99]
Is ayat-e-karima me Allah Ta’ala ne saaf lafzon me apne bandon ko hukm diya ki tum log marte dam tak ibadat karte raho to ab agar koi Quran ki is aayat ke khelaf dawa karta hai ki main aise maqam par pahuch gaya hun ki Allah ta’ala ne mere liye ibadat karne ko maaf kar diya hai to woh wali nahi balke jaahil aur shaitan ka khilauna hai.
AQIDA:Karamaat-e-Auliya haq hain.aur woh log jo shri’at ke khelaf kaam karte hain aur wali hone ka bhi dawa karte hain aur apni wilayat ko sabit karne ke liye aisi chiz kar ke dekhate hain jo aam insaano ki taqat se bahar hoti hai toh woh karamat nahi hai balke su’abda bazi aur makkari hai.Karamat ka haq hona Quran aur hadis dono se saabit hai.Allah ta’ala ne Quran sharif me bayan farmaya ki:

قَالَ یٰۤاَیُّہَا الۡمَلَؤُا اَیُّکُمْ یَاۡتِیۡنِیۡ بِعَرْشِہَا قَبْلَ اَنۡ یَّاۡتُوۡنِیۡ مُسْلِمِیۡنَ ، قَالَ عِفْریۡتٌ مِّنَ الْجِنِّ اَنَا اٰتِیۡکَ بِہٖ قَبْلَ اَنۡ تَقُوۡمَ مِنۡ مَّقَامِکَ ۚ وَ اِنِّیۡ عَلَیۡہِ لَقَوِیٌّ اَمِیۡنٌ ، قَالَ الَّذِیۡ عِنۡدَہٗ عِلْمٌ مِّنَ الْکِتٰبِ اَنَا اٰتِیۡکَ بِہٖ قَبْلَ اَنۡ یَّرْتَدَّ اِلَیۡکَ طَرْفُکَ ؕ فَلَمَّا رَاٰہُ مُسْتَقِرًّا عِنۡدَہٗ قَالَ ہٰذَا مِنۡ فَضْلِ رَبِّیۡ ۔[سورۃ النمل :۳۸۔۳۹۔۴۰]

TARJAMA: (Hazrat-e-Sulaiman alaihissalam ne) kaha:Aye dar’bariyon!tum me se kaun hai jo mere pass us ka takht le aaye, us ke farma bardaar ho kar aane se pahle (yani malka Bilqis ka takht jo 80 gaz chauda aur 40 gaz lamba soone,chandi aur here moti se sajaya huwa tha aur wahan se bahot door tha) ek bade jin ne kaha: “main aap ke majlis khatam karne se pahle use laa kar aap ke pass hazir kardonga aur be-shak main is par taqat-war aur ameen hun.woh shakhs jis ke pass kitab ka ilm tha (yani hazrat-e-Asif bin barkhiya)ne kaha:”main us ko aap ke pass aap ke palak jhipkane se pahle le aaonga phir jab unhone us ko apne pass dikha to kaha ki ye mere rab ke fazl se hai.[Surah Namal,ayat No.38.39.40]
Hadis sharif hai:

عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ - رضى الله عنه –[فی روایۃ طویلۃ]وَكَانَ خُبَيْبٌ هُوَ قَتَلَ الْحَارِثَ يَوْمَ بَدْرٍ ، فَمَكَثَ عِنْدَهُمْ أَسِيرًا وَكَانَتْ تَقُولُ مَا رَأَيْتُ أَسِيرًا قَطُّ خَيْرًا مِنْ خُبَيْبٍ ، لَقَدْ رَأَيْتُهُ يَأْكُلُ مِنْ قِطْفِ عِنَبٍ ، وَمَا بِمَكَّةَ يَوْمَئِذٍ ثَمَرَةٌ ، وَإِنَّهُ لَمُوثَقٌ فِى الْحَدِيدِ ، وَمَا كَانَ إِلاَّ رِزْقٌ رَزَقَهُ اللَّهُ[بخاری ، کتاب المغازی ،باب غزوۃ الر جیع:۴۰۸۶]

TARJAMA: Hazrat-e-Abu’Huraira radhi allaho anho se marwi hai ki Hazrat-e-Khubaib radhi allaho anho ne jang-e-Badar me Haris bin Aamir ko qatal kiya tha (baad me)Hazrat-e-Khubaib radhi allaho anho giriftar ho kar us ke ghar walon ke qaidi ban gaye.Haris(jise Hazrat-e-Khubaib ne qatal kiya tha )us ki ek beti thi jo kaha karti thi ki main ne Hazrat-e-Khubaib se ziyadah achcha aur nek koi qaidi nahi dekha,aur be-shak maine Hazrat-e-Khubaib ko angoor khaate hue dekha jab ki un dino Makka me koi phal nahi milta tha (phalon ka mausam bhi nahi tha)aur waise bhi woh zanjeer me jakre hue the(phir unhen angoor kahan se mila jise woh kha rahe the?) ye woh rizq tha jo Allah ta’ala ne unhen(gaib se)ata fermata tha.[Sahih bukhari,Hadis No.4086]
FAAIDA: Is ke elawah bahut saari hadisen hain jis se auliya Allah ki karamat saabit hain is liye is ke haq hone me koi shak nahi.Lekin woh log jo shari’at ke khelaf kaam karte hain,Namaz,roza se koi matlab nahi rakhte aur wali hone ka dawa karte hain aur woh log apne wali hone ke sabot me aisi chiz’yen bhi dekhate hain jo koi aam insaan nahi kar skata to woh karamat nahi shub’da baazi aur makkari hai aur who shakhs bilkul jhoota hai kyunki KARAMAT sirf usko kaha jaata hai jo muttaqi parhez’gaar musalman se zaahir ho aur Allah ke sach-che wali apni wilayat ka dawa khud se nahi karte aur na hi apni wilayat ko manwaane ke pichhe padte hain balki zarorat ke wqat Allah ta’ala un se aisi baton ko zahir kar deta hai jis se logo ko un ke maqaam o martaba ka pata chal jaata hai.
Share.........




Related Topics



Allah Ta'ala ke baare me islami aqide Ambiya-e-Kiram ke baare me islami aqide Hamare Nabi ﷺ ke baare me islami aqide Farishton ke baare me islami aqide Aasmani Kitabon ke baare me islami aqide Taqdeer ke baare me islami aqide Sahaba ke baare me islami aqide Aakhirat ke baare me islami aqide Qayamat ke baare me islami aqide



Dawat-E-Quran