Farishton Ke Baare Me Islami Aqide



Farishte bhi insaano ki tarah ek makhlooq hain magar who noor se paida kiye gaye hain, na woh mard hain na aurat hain, na kuchh khaate hain na pite hain.Allah taala ne unhen ye taaqat bakhshi hai ki woh jo shakal chaahe ban jaayen.Allah ta’ala ne farishton ko alag alag kaamon par lagaya hai,kuchh farishte bandon ke achhe aur bure amal likhne ka kaam karte hain jin ko “Kiraman Katebeen” kaha jaata hai,Aur kuchh farishte qabr me murdon se sawal karne ka kaam karte hain un ko “Munkar Nakeer” kaha jaata hai aur kuchh farishte Huzrur ﷺ ki baargah me musalmano ke darood-o-salam pahunchane ka kaam karte hain.Is ke elawah aur bhi bahut se kaam hain jo farishte karte hain.
AQIDA:Farishte gunahon se masoom hote hain,woh sirf unhe kaamon me lage rahte hain jo Allah ta’ala ne un ke supurd kiya hai aur us me zarrah barabar bhi kami nahi karte hain.Jaisa ki Allah ta’ala ne irshad farmaya:

لَّا یَعْصُوۡنَ اللہَ مَاۤ اَمَرَہُمْ وَ یَفْعَلُوۡنَ مَا یُؤْمَرُوۡنَ[سورۃ التحریم:۶]

TARJAMA: Woh farishte Allah ka hukm nahi taalte aur sirf wahi kaam karte hain jis ka unhe hukm diya jaata hai. [Surah Tahrim,Aayat No.6]

وَ قَالُوا اتَّخَذَ الرَّحْمٰنُ وَلَدًا سُبْحٰنَہٗ ؕ بَلْ عِبَادٌ مُّکْرَمُوۡنَ ، لَا یَسْبِقُوۡنَہٗ بِالْقَوْلِ وَ ہُمۡ بِاَمْرِہٖ یَعْمَلُوۡنَ[سورۃ الانبیاء:۲۶۔۲۷]

TARJAMA: Aur kaafiron ne (Farishton ke bare me) kaha ki Rahmaan ne ladka banaya hai.Allah is se paak hai, balki woh farishte us ke izzat wale bande hain,woh baat me aage nahi badhte hain aur woh sirf wahi kaam karte hain jin ka unhe hukm diya jaata hai.[Surah ambiya,Aayat No.26,27]
In aayaton se maloom huwa ki farishte gunahon se masoom hote hain aur woh sirf wahi kaam karte hain jo unhe Allah ta’ala hukm deta hai aur un se is me koi bhool chok bhi nahi hoti,is liye jo shakhs kisi farishta ke bare me kahe ki unhone galti se ye kaam kardiya ya un se bhool chook me ye kaam ho gaya jaise ki Hazrat-e-Jibrail ko Allah ka paigam le kar Hazrat-e-Ali ke pass jaana tha magar woh galti se Huzur ﷺ ke pass le kar chale gaye to woh quran ka inkaar karne wala aur kaafir hai.
AQIDA: Farishton ke hone ko maan-na zaruri hai aur jo shakhs farishton ko na maane aur kahe ki farishta koi chiz nahi,woh to bas neki ki taaqat ka naam hai to woh kaafir hai.kyunki khud Allah ta’ala ne farmaya ki:

ُِوَمَنْ يَكْفُرْ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ وَالْيَوْمِ الْآَخِرِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَالًا بَعِيدًا} [النساء: 136]

TARJAMA: Aur jo inkaar kare Allah ka,us ke farishton ka,us ki kitaabon ka,us ke rasoolon ka aur aakhirat ke din ka to woh bahut door ki gumrahi me pada. [Surah Nisa,Aayat No.36]
Share.........




Related Topics



Allah Ta'ala ke baare me islami aqide Ambiya-e-Kiram ke baare me islami aqide Hamare Nabi ﷺ ke baare me islami aqide Aasmani Kitabon ke baare me islami aqide Taqdeer ke baare me islami aqide Sahaba ke baare me islami aqide Auliya Allah ke baare me islami aqide Aakhirat ke baare me islami aqide Qayamat ke baare me islami aqide



Dawat-E-Quran