Wazu Aur Gusal Ke Masaail



Sawal: Wazu me kitni chizen farz hain? Jinko kiye begair wazu hota hi nahi hai.
Jawab: Wazu me 4 baaten farz hain.
(1)Munh dhona yani peshani pe baal ugne ki jagah se lekar thudi ke niche tak aur ek kaan ki lau se lekar dusre kaan ki lau tak.
(2)Dono hanth kehniyo samet dhona.
(3)Chauthai (1/4) sar ka masah karna yani bhiga hua haath pherna.
(4)Dono paao thakhno samet dhona.
Wazu me ye 4 baaten farz hain yani in me se koi ek chhoot jaaye ya chhor de to wazu hoga hi nahi.
Sawal: Dhone ka matlab kya hai?
Jawab: Dhone ka matlab yeh hai ki jis chiz ko dhoya jaaye uske har hisse par pani bah jaaye yaha tak ke jin chizon ka dhona wazu me farz hai usme se baal barabar jagah bhi sukhi rah gayi ya sirf bhig gaya, pani baha nahi to wazu nahi hoga.
Sawaal: Wazu karne ka mukammal tareeqa kya hai?
Jawab: Wazu karne ka tareeqa yeh hai ki. Pahle Bismillah hir rahman nir rahim padhe, phir miswak kare agar miswak na ho to ungli se daant mal le. Phir dono haath ko gatto tak 3 baar dhoe phle dahine haath par paani daale phir baaye haath par. Dono ko ek sath na dhoe phir dahine haath se 3 baar kulli kare phir baaye haath ki chhoti ungli se naak saaf kare phir daaye haath se 3 baar naak me paani chadhaae, phir pura chehra dhoe yani peshani par baal ugne ki jagah se thudi ke niche tak aur ek kaan ki lau se dusare kaan ki lau tak har hisse par 3 baar paani bahaae uske baad dono haath kehuni samet 3 baar dhoe, ungliyon ki taraf se lekar kehuni ke upar tak paani daale, kehuni ki taraf se na daale. Phir ek baar dono haath se pure sar ka masah kare phir kaano ka aur gardan ka ek ek baar masah kare. Phir dono paaon takhno samet 3 baar dhoe.
Sawal: Agar kisi aurat ne apne dupatte ke upar se masah kiya to wazu hoga ya nahi?
Jawab: Agar dupatta itna patla tha ke baal tak paani ki tari pahuch gayi to wazu hojaaega lekin dupatta utna patla nahi tha ke uske upar se masah karne se baal tar hota to us surat me wazu nahi hoga. Yaani masah me asal baal par bhinga haath pherna hai.
Sawal: Wazu kin cheezon se toot jata hai?
Jawab: (1) Pakhaana aur peshaab karne se.(2) Pakhaana ya peshaab ke raaste se kida ya kisi aur chiz ke nikalne se.(3) Pakhaana ke raaste se hawa ke nikalne se.(4) Badan me kisi bhi jagah se khoon ya peep ke nikal kar bah jaane se. (5)Munh bhar qay (vomit) ke aane se.(6) Is tarah so jaane se ki jism ke jor dhele par jaaye.(7) Behosh ho jaane se.(8) Kisi bhi chiz ke itna nasha ho jaane se ki chalne me paaon lad'khada jaaye.(9)Ruku aur sajde wali namaaz me itni zor se hansne se ki pass ke log sun le.(10) Dukhti Aankh se aansu ke bahne se. In tamaam baton se wazu toot jata hai.
Sawal: Sharm-gaah khul jaane yaa haath se sharm-gaah ki jagah chhune se wazu toot jaata hai ya nahi?
Jawab: Sharm-gaah khul jaane se wazu nahi toot-ta isi tarah sharm-gaah chhune se bhi wazu nahi toot-ta.
Sawal: Bachche ko doodh pilaane se wazu toot-ta hai ya nahi?
Jawab: Bachche ko doodh pilaane se wazu nahi toot-ta hai.
Sawal: Badan par kisi jagah naapaki lag jaane se wazu toot-ta hai ya nahi?
Jawab: Badan par naapaki lag jaane se wazu nahi toot-ta, jaise bachche ne jism hi par pakhaan ya peshab kar diya to us se wazu nahi tootega sirf us naapaki ko dhul liya jaega.
Sawal: Agar kisi ne apni biwi ka bosa liya to kya us se wazu toot jaaega?
Jawab: Sirf bosa lene se kisi ka wazu nahi tootega lekin agar shahwat paida hogayi aur mazi yaani woh paani jo mani ke nikalne se pehle shahwat ke waqt nikalta hai nikal gaya to ab wazu toot jaega.

Gusal Ke Masaail



Sawal: Gusal me kitni baaten farz hain?
Jawab: Gusal me 3 baaten farz hain.
(1)Kulli karna. Yaani hont se halaq ki jar tak har jagah paani pahuchana.
(2)Naak me paani daalna, yaani naak ke dono nathno ke narm haddi tak paani pahuchana ke andar ke tamaam hisse dhul jaaye.
(3)Tamaam jaaheri badan yaani sar ke baalon se lekar paaon ke talwon tak jism ke har har hisse, har har rongte par paani bahana. Gusal me ye teeno baaten farz hain. Agar inme se kisi ek me bhi kami hui to gusal nahi hoga. Yaha tak ke jism ka koi bhi hissa baal barabar bhi sukha rah gaya ya wahan par paani nahi baha to gusal nahi hoga aur gusal nahi hoga to na-paak ki na-paak hi rahengi. Isliye gusal me khaas kar un jaghon par paani dhiyan se bahana chahiye, jahan par paani khud se na bahne ka andesha ho, jaise gardan aur kaan ke bagal ki jagah jo baalon se dhaka rahta hai. Dhalki hui pistaan ke niche ki jagah, anguthi pehni hon to anguthi ke niche ki jagah wagairah.
Sawal: Kya gusal me auraton ko baal ka juda kholna zaruri hai?
Jawab: Nahi gusal me auraton ko baal ka juda kholna zaruri nahi hai jabke paani baal ke jar tak pahuch jaaye.
Sawal: Kin suraton me gusal karna farz hojaata hai?
Jawab: (1) Shahwat ke saath mani ke maqaam-e-khaas se nikal jaane se gusal farz hojata hai. Mani us safed gaarhe paani ko kehte hain jo makaam-e-makhsoos se shahwat ke baad nikalta hai. (2) Ehtelaam yaani sone ki haalat me mani ke nikalne se bhi gusal farz hojati hai, shahwat ho ya na ho. (3) Makaam-e-makhsoos me mard ke ajw-e-khaas ke hashfa yani sar ke daakhil hone hi se dono par gusal farz hojaati hai, kisi ki mani nikle ya na nikle. (4) Haiz yaani mahwaari ka khoon band hone ke baad gusal farz hojata hai, isi tarah nifaas yaani bachche ki paidaish ke baad jo khoon aata hai uske khatm hone ke baad bhi gusal farz hota hai.
Sawal: Gusal karna kab sunnat hai?
Jawab: Juma, Eid, Baqra –Eid, Arfa yaani 9wi zilhijje ke din, aur ehraam baandhte waqt gusal karna sunnat hai.
Sawal: kin suraton me gusl karna mustahab hai?
Jawab: Waqufe Arfa, waqufe muzdalfa, haram shareef me haazeri ke liye, rauza-e-Rasoolallah ﷺ ki haazeri ke liye, tawaf ke liye, mina me daakhil hone se pahle, jamron par kankariyaan maarne se pahle, shab-e-baraat me, Shab-e-qadr me, Murda nahlaane ke baad, safar se waapsi ke baad, naya kapda pahan-ne ke liye, istihaaza yaani bimari ke khoon band hone ke baad, badan par najasat lagi ho aur ye na maloom ho ki kis jagah hai to in sab suraton me gusl kar lena mustahab hai.
Sawal: Kuchh auraten na-paak hone ke baad gusal karne me susti karti hain aur ek do din na-paak hi rah jaati hain to kya isme koi harj hai?
Jawab: yeh bahut hi buri aadat hai. Na-paak hone ke baad gusal karne me der nahi karni chahiye, kyunki Nabi-e-Akram ﷺ ne irshaad farmaya ki: Us ghar me Allah ﷻ ke farishte nahi jaate hain jis ghar me na-paak admi rahta hai. Aur ek dusri hadis me hai ki:Beshak Allahﷻ paak hai aur paakizgi ko pasand karta hai. Allah suthra hai aur suthrepan ko pasand farmata hai. (Tirmizi Hadith no. 2799). Is liye na-paak rahna musalmaan ke shaan ke laaeq nahi, aur kisi ne gusal karne me itni der kardi ki namaaz qaza hogayi to woh sakht gunahgaar hogi.
Sawal: Agar koi aurat raat me napaak ho jaae to kya usi waqt nahana zaruri hai?
Jawab: Nahi usi waqt nahana zaruri nahi hai. Yaani agar fauran nahi nahayi to gunahgaar nahi hogi, haan! lekin itni deer ki ke fajar ki namaz qaza ho gayi to ab gunahgaar hogi.
Sawal: Ek aurat ka dusri aurat ke saamne nahan kaisa hai?
Jawab: Jis tarah mard ko dusre mard ke saamne satr-e-aurat khol kar nahana najaa’iz aur gunaah hai usi tarah ek aurat ka bhi dusri aurat ke saamne satr khol kar nahan gunah hai.
Sawal: Agar kapde ya badan par kahi naapaki lag jaaye to use paak krne ka tareeqa kya hai?
Jawab: Badan ya kapde par agar aisi naapaki lag gayi jo daldaar hai jaise paakhana ya gobar wagairah to use itni martaba paani se dhoye ki woh naapaki badan ya kapde se alag ho jaaye, agar ek hi baar paani bahane se alag ho gaya to ek hi baar me paak hojaaega, lekin is surat me teen baar dho lena behtar hai. Aur agar naapaki khatam hone ke baad kapde par uska daag laga rah gaya to us se koi farq nahi parta kapda paak hogaya. Aur agar naapkai patli ho jaise peshab wagairah to teen martaba dhone aur teeno martaba taaqat ke saath nichodne se kapda paak hojaega.
Share.........




Related Topics



Namaz ka Mukammal Tariqa Namaz ke Masaail Haiz aur Nafaas ke Masaail Bimari ki wajah se aane wale khoon ke Masaail Banao Singhaar ke Masaail Libaas ke Ahkam-o-Masaail Nikah aur Talaaq ke Masaail Mutafarriq Masaail



Dawat-E-Quran