Haj Aur Umrah Ki Fazilat



Hadees:Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ se puchha gaya ki kaunsa amal sab se afzal hai?To Aap ﷺ ne farmaya ki:Allah aur us ke Rasool par imaan laana.Puchha gaya phir kaunsa hai? To Aap ﷺ ne farmaya ki:Allah ke raaste mein jihaad karna. Puchha gaya phir kaunsa hai? To Aap ﷺ ne farmaya ki:Haj karna.(Sahih Bukhari,Hadis No.1519)
Hadees:Ummul Momenin Hazrat-e-Aaisha siddiqa radhi allaho anha bayan karti hain ki:Main ne Huzur ﷺ se arz kiya ki:Ya Rasoolallah ﷺ ! Aap jihaad ko afzal amal bataate hain.To kya ham jihaad nahi kare? To Aap ﷺ ne farmaya ki:Nahi.(Aurato ke liye) sab se afzal jihaad Maqbool haj karna hai.(Sahih Bukhari,Hadis No.1520)
Hadees:Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Jis ne haj kiya aur haj ke darmiyan koi galat baat nahi bola aur nahi koi gunah ka kaam kiya to woh gunaho se aisa paak ho jaata hai jaise us din tha jis din uski maa ne use janam diya tha.(Sahih Bukhari,Hadis No.1521)
Hadees:Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki: Umrah se umrah tak un tamam gunaho ka kaffara hai jo us ke bich me hue.Aur maqbool haj ka sawab jannat hi hai.(Sahih Bukhari,Hadis No.1773)
Hadees:Hazrat-e-Ibne Abbas radhi allaho bayan karte hain ki: Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Ramazan sharif me umrah karne se haj ka sawab milta hai.(Sahih Bukhari,Hadis No.1782)
Hadees:Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Haj aur umrah muhtaaji aur gunaho ko aise khatam karta hai jaise aag ki bhatti lohe,sone aur chandi ke gandagi ko.(Tirmizi,Hadis No.810)
Hadees:Hazrat-e-Abu Zar radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Hazrat-e-Dawood alaihissalam ne arz kiya:Aye Allah!Jab tere bande tere ghar ki ziyarat ke liye aaenge to tu unhe kya ata farmaega?To Allah Ta’ala ne farmaya ki:Har ziyarat karne wale ka us par haq hai jis ki woh ziyarat karne jaae. Mere un bando ka mujh par ye haq hai ki main unhe dunya mein aafiyat donga aur jab mujh se milenge to un ke gunaho ko maaf kar donga.(Al-Mujamul ausat Lil Tabrani,Hadis No.6037)
Hadees:Hazrat-e-Abu Musa radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Haji apne ghar walo mein se 400 logo ki qayamat ke din shafa’at karega aur gunaho se aisa paak ho jaaega jaisa apne paida hone ke din tha.(Masnad-e-Bazzar,Masnade Abu Musa Ash’ari,Hadis No.3196)
Hadees:Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Haaji ki magfirat ho jaati hai aur haaji jis ke liye istigfaar kare uski bhi.(Majmaul Zawaaid,Hadis No.5278)
Hadees:Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Jo haj karne ke liye nikla aur mar gaya to qayamat tak us ke liye haj karne ka sawab likha jaaega aur jo umrah karne ke liye nikla aur mar gaya to qayamat tak uske liye umrah karne ka sawab likha jaaega.(Masnade Abu Yala,Masnade Abu Hurairah radhi allaho anho,Hadis No.6327)
Share.........




Related Topics



Haj Karna Kis Par Farz Hai? Haj Ki Qismen Haj Karne Ka Tariqa Haj Ke Faraaiz,Wajibaat Aur Sunnaten Ehraam Ke Masaail Aurato Ke Haj Ke Baare Me Sawal Jawab Umrah Karne Ka Mukammal Tariqa



Dawat-E-Quran