Hajj ke Faraiz



(1) Ehraam ke saath Hajj ki Niyyat karna.
(2) Wuqoof -e-Arafaat yani 9wi Zil hijja ko Zawaal ke baad se Arafaat me thehrna.
(3) Tawaafe Ziyarat ka aksar hissa yani 4 phere.
(4) Arkaan ki tarteeb.Yani pahle ehram bandhna phir Arfaat mein thaharna phir tawaafe ziyarat karna.
(5) Har farz ko uske waqt par ada karna.


Hajj ke Waajibat



(1) Meeqat se Ehraam bandhna.
(2) Wuqoof -e-Arafaat me sooraj dub jaaye waha tak thehrna.
(3) Wuqoof -e-Muzdalifah.
(4) Muzdalifah me aakar Maghrib wa Isha’ ki namaaz ek saath isha ke waqt me ada karna.
(5) Muzdalifah se Mina aakar Rami e Jimaar karna ya’ni 10wi ko bade shaitaan ko kankariya maarna (Suraj nikalne se zawaal tak ka waqt Sunnat hai.) aur 11wi aur 12wi ko Zawaal ke baad teeno shaitaano ko kankariya maarna.
(6) Bade shaitaan ki Rami ke baad Qurbani karna aur baad me Halaq ya Kasar karana.
(7) Qaarin aur Mutamatti’ par Qurbani waajib hai.
(8) Wuqoof -e-Arfaat ke baad se sar mundane ya baal katrwane tak Jima’a nahi karna.
(9) Tawaafe ziyarat ke pehle 4 chakkar farz aur baaqi 3 chakkar waajib hain.
(10) Saee ya’ni Safa-Marwa ke darmiyan 7 chakkar lagana.
(11) Tawaafe Wida (Tawaafe Rukhsat) karna.(Meeqat ke bahar se aane wale Haajiyo par Waajib hai.)


Hajj ki Sunnaten



(1) Tawwafe Qudoom (Mufrid aur Qaarin ke liye Sunnat hai.)
(2) Tawaafe Farz ya Tawwafe Qudoom me ramal karna.
(3) Saee me Safa-Marwa ke darmiyan jo Milain akhzarain hain unke darmiyan mardo ko daurna.
(4) Hajj ke liye 8wi Zil hijja ko namaaze Fajr ke baad Makka shareef se rawan hona aur Mina me 5 namaaze padhna.
(5) 9wi ki raat Mina me guzarna aur suraj nikalne ke baad Mina se Arfaat ko rawana hona.
(6) Wuqoof -e-Arafaat ke liye Gusl karna.
(7) Arafaat se waapasi me Muzdalifah me raat thehrna aur suraj nikalne se pehle Muzdalifah se mina ki taraf rawana hona.
(8) Qurbani aur Halaq ya taksir ke baad gusl karke ehram utaar dena.
(9) Mabeet ya’ni 11wi, 12wi aur (13wi ko rookna ho to) 13wi raat Mina me guzarna.
Share.........




Related Topics



Haj Aur Umrah ki Fazilat Haj Karna Kis Par Farz Hai? Haj Ki Qismen Haj Karne Ka Tariqa Ehraam Ke Masaail Aurato Ke Haj Ke Baare Me Sawal Jawab Umrah Karne Ka Mukammal Tariqa



Dawat-E-Quran