Haj Ki Qisme



Hajj ada karne ke 3 tareeqe hain :
(1)Hajje Ifraad
(2)Hajje Tamattu’
(3)Hajje Qiraan

(1) Hajje Ifraad



Meeqat aur haram sharif ke had ke andar rahne wale log Hajje Ifraad karte hain. Is me sirf Hajj ka Ehram baandha jaata hai aur is me Umrah shmil nahi hota hai.
Mufrid (Hajje Ifraad karne wale) par Qurbani waajib nahi balke mustahab hai. (Agar mufrid ki niyaat Qurbani karne ki hai to qurbani karne ke baad Halaq yani sar ke baal saaf karaae ya taqsir yani baal katwaae aur Ehram utaar de.)


(2) Hajje Tamattu’



Meeqat ke bahar se aane wale Hajje tamattu’ ada kar sakte hain. Is me Meeqat se pehle sirf Umrah ki niyyat ki jaati hai. Umrah ada karne ke baad Halaq ya taqsir karwa ke Ehram khol diya jaata hai aur Zil Hijja ke 8wi taarikh tak Makka shareef me qayam kiya jaata hai. Zil Hijja ke 8wi taarikh ko phir se Masjide Haram se Ehram baandh kar Hajj ki niyyat ki jaati hai.

(3) Hajj e Qiraan



Ye Hajj sab se afzal hai aur is ka sawaab sab se ziyada hai.Is me Umrah aur Hajj ka ehram ek saath baandha jaata hai yani dono ki niyyat ek saath ki jaati hai.
Hajje Qiraan karne wala Umrah ke baad jo pehla tawaaf karta hai use ‘Tawaafe Qudoom’ kehte hain, jo Sunnat hai. Tawwafe Qudoom ke saath Saee karne ka irada ho to pehle 3 phero me Ramal (Yani bahadaro ki tarah chalna)aur Iztiba(Yani Ehraam ki chadar ko sidhi bagal se nikaal kar is tarah ulte kandhe par daalna ki siddha kandha khula rahe) bhi karen.
Qiraan karne wale ko Umrah pura hone par Halaq ya taqsir nahi karana hai aur Ehram bhi nahi utarna hai. Qiraan karne wale ko Ehram ki haalat me hi hone ki wajah se use 8wi Zil Hijja ko Hajj ka Ehram baandhne ki zaroorat nahi.
Qiraan karne wala10 Zihl Hijja ko shaitaan ki Rami karne ke baad Qurbani kare aur Halaq ya taqsir karaae. Is ke baad Ehram ki pabandi khatm ho jaati hai. Yaha tak ehram ki tamam pabandiya jaari rahegi.
Hajje Qiraan karne wale se koi Jurm (galti) ho jaye to use Dugna jurmana (kaffara) ada karna hoga.
Share.........




Related Topics



Haj Aur Umrah ki Fazilat Haj Karna Kis Par Farz Hai? Haj Karne Ka Tariqa Haj Ke Faraaiz,Wajibaat Aur Sunnaten Ehraam Ke Masaail Aurato Ke Haj Ke Baare Me Sawal Jawab Umrah Karne Ka Mukammal Tariqa



Dawat-E-Quran