Salam karne ka Bayan



Salam karna Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ki sunnat hai aur us ka jawab dena wajib hai Chaahe saamne salam kare ya khat wagairah me salam likh kar bheje ya kisi dusre ki zabani salam kahalwaye.Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Ek musalman ka dusre musalman par 6 Huqooq hain.(1) Jab woh bimaar ho jaaye to us ki ayadat karna.(2) Jab woh mar jaaye to us ke janaze me hazir hona.(3)Jab woh bulaye to us ke pass jana.(4)Jab mile to salam karna. (5)Jab chhinke to jawab dena.(6) Woh saamne ho ya na ho har haal me us ki khair-khahi karna.[Ibn-e-Majah,Hadith No.1433]
Mas'ala:Har musalman ko chahiye ki woh pehle salam karne ki koshish kare.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Allah Ta’ala ke ziyadah qareeb woh shakhs hai jo pahle salam karta hai. (Abu Dawood,Hadis No.5197)
Mas'ala:Salam sirf jaan pehchan ke logon hi ko nahi balki sab se salaam karni chahiye,Woh umar me chhota ho ya bada,Amer ho ya garib.Ek shakhs ne huzur sallallaho alaihe wasallam se puchha ki Ya Rasollah Sallallaho alaihe wasallam! Sab se achchha musalman kaun hai?To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki woh jo khana khilaye aur sab se salaam kare jise pehchanta ho us ko bhi aur jise nahi pehchanta ho us ko bhi.[Sahi Bukhari,Hadith No.28]
Mas'ala:Jab bhi kisi se mulaqat ho to pahle salam karna chahiye phir koi baat.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jab koi shakhs apne bhai se mile to pahle salam kare.Phir un dono ke bich kisi darakht ya diwar ki wajah se parda ho jaae aur phir mile to phir salam kare.(Abu Dawood,Hadis No.5200)
Mas'ala:Jab bahut saare log baithe hon aur un ke pass koi aa kar salam kare to baithe hue logon me se ek shakhs ka jawab de dena kaafi hai.(Abu Dawood,Hadis No.5209)
Mas'ala:Jab koi shakhs ghar me daakhil ho to use chahiye ki woh apne ghar walo ko salam kare.Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne mujh se farmaya ki: Bete! Jab tum apne ghar walo ke paas jaao to unhe salam karo.Is ki wajah se tum par aur tumhare ghar walo par barkat hogi. (Tirmizi,Hadis No.2698)
Hadis:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki woh shakhs ham me se nahi jo hamare gair se mushabehat kare. Tum log yahud-o-nasaara ki mushabehat nahi karo.Beshak Yahudiyo ka salam ungulyo ke ishaare se hota hai.Aur Nasraniyo ka salam haath ke ishaare se.(Tirmizi,Hadis No.2695)
Is hadis se maloom hua ki ungali ya haath ke ishare se salam nahi karni chaahiye.Isi tarah se kuchh log salam ki jagah par “Good morning” aur dusare lafz istemal karte hain.Puri dunya ke liye huzur ke batae hue tariqe se behtar kisi ka tariqa nahi ho sakta hai.Is liye ham musalmano ko wahi tariqa apnana chahiye jo hamare nabi ne bataya hai.
Mas'ala:Kaafir,Mushrik,Yahudi aur Isa'ee wagairah ko salam karna durust nahi.Aur agar woh kare to jawab me sirf "walaikum"kahna chahiye.Jaisa ki Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Yahud-o-Nasaara ko pahle salam nahi karo.(Sahi Muslim,Hadis No.2167) Aur Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jab Ahl-e-Kitab(Yani yahud-o-nasaara)Tum ko salam kare to tum un ke jawab me sirf “walaikum” kaho.[Sahi Bukhari,Hadith No.6258]
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran