Anguthi pahan ne ke Masa’il.



Mardo ke liye chandi ki sirf ek anguthi pahan-na jaaiz hai.Jaisa ki Hadis sharif me hai ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne chandi ki ek anguthi banwayi jis me ye naqsh tha. “Muhammad Rasool Allah.”(Sahi Muslim,Hadis No.2092)
Mas’ala:Mardo ke liye sone ki anguthi pahan na jaaiz nahi hai.Jaisa ki Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki: Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne ek shakhs ke haath me sone ki anguthi dekhi to Aap Sallallaho alaihe wasallam ne use utaar kar phenk diya Aur irshad farmaya ki:Kiya tum logo me se koi shakhs apne haath me aag ka angaara lena chaahta hai? (Yani nahi.To is se bacho kyunki sone ki anguthi pahan ne walo ke haath me jahannam ki aag hogi.) Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke jaane ke baad us shakhs se kaha gaya ki:Jaao apni anguthi utha lo aur use bech kar faa’ida uthao.Unhone kaha:Qasam Allah ki! Jis chiz ko Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam ne phenk diya main usko kabhi nahi uthaonga.(Sahi Muslim,Hadis No.2090)
Mas’ala:Anguthi dono haath me se jis me bhi chaahe pahan sakte hain.Kyunki Huzur se dono tarah ki baat saabit hai.
Jaisa ki:Hazrat-e-Abdullah bin Jaafar radhi allaho anho se riwayat hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam apne daahine haath me anguthi pahante the.(Ibn-e-Majah,Hadis No.3648)Aur Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anho se riwayat hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam apne baaye haath me anguthi pahante the aur nagina hatheli ki taraf rakhte the.(Abu Dawood,Hadis No.4227)
In dono hadiso se maloom hua ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne kabhi daahene haath me pahna aur kabhi baaye haath me.Is liye dono jaa’iz hai.Ab rahi baat ki kis unguli me pahan-ni chaahiye.To chhanguliya (Yani sab se chhoti unguli) me pahan-na chaahiye.Jaisa ki Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ki anguthi is ungali me thi.Ye kah kar unhono ne baaye haath ki chhanguli ki taraf ishara kiya.(Sahi Muslim, Hadis No.2095)
Mas’ala:Bich wali aur us se mili hui shahadat ki ungali aur anguthe me nahi pahan na chaahiye.Hazrat-e-Ali radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne mujhe bich wali aur us se mili hui shahadat ki ungali me anguthi pahan ne se mana farmaya.(Sahi Muslim,Hadis No.2078) Aur Ibn-e-Majah ki hadis me anguthe ka lafz bhi aaya hai.(Ibn-e-Majah,Hadis No.3648) Is liye in teeno ungali me nahi pahan na chaahiye.
Mas’ala:Anguthi ke nagine me kisi bhi path-thar ka istemal karna durust hai.Isi tarah anguthi me apna naam ya Allah-o-Rasool ka naam naqsh karaana jaaiz hai.Haan jo naqsh Huzur ki anguthi me tha yani ki “ Muhammad,Allah,Rasool.” Ye naqsh karaana jaaiz nahi hai. Kyunki Huzur ne is se mana farmaya.(Sahi Muslim,Hadis No.2092)
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran