Mannat Ke Ahkam-o-Masa’il.



Mannat hi ko arbi zuban me nazr kaha jaata hai.Kisi kaam ki niyat kar ke jo us par wajib nahi tha us ko apne upar wajib kar lene ko Nazr kahte hain.Jaise kisi ne kaha ki Agar mera falaan kaam ho jaaega ya main falaan mushkil se nikal jaaonga to do rik’at namaaz padhonga ya sadqa karunga ya roza rkhunga wagairah.To kaam ho jaane ke baad us nazr ko pura karna zaruri ho jaata hai.Allah Ta’ala ne irshad farmaya ki: وَلْیُوۡفُوۡا نُذُوۡرَہُمْTum apni mannato ko puri karo.(Surah Hajj,Aayat No.29) Aur Allah Ta’ala ne irshad farmaya ki:
یُوۡفُوۡنَ بِالنَّذْرِ وَ یَخَافُوۡنَ یَوْمًا کَانَ شَرُّہٗ مُسْتَطِیۡرًا
Tarjama:Nek log woh hain jo apni mannat puri karte hain aur us din se darte hain jis ki buraai phaili hui hai.(Surah Dahar,Aayat No.7)
Nazr kya hai? Nazr haqiqat me ek tarah ki ibaadat hai.Is liye nazr sirf aisi hi chiz ki maan na durust hai jis chiz ka ta’alluq Allah Ta’ala ki ibaadat se ho.Aur us se sirf Allah Ta’ala ka taqrrub haasil karne ki niyat honi chaahiye.Agar kisi ne Allah ke elawah ke liye nazr maana ya kisi aisi chiz ki nazr maana jis ka Allah Ta’ala ki ibaadat se koi ta’alluq nahi to ye durust nahi hai aur aisi nazr ko pura karna bhi nahi hai.
Hadis:Hazrat-e-Imran bin Husain radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne bayan farmaya ki:Mannat ki do qism hai.Jis ne ibaadat ki mannat maani woh Allah ke liye hai,use pura kiya jaae aur jis ne gunaah ki mannat maani woh shitaan ki wajah se hai use pura nahi kiya jaae.(Sunan Nisaai,Hadis No.3845)
Hadis:Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam khutba de rahe the ki ek shakhs ko khada dekha.To us ke baare me Aap Sallallaho alaihe wasallam ne puchha.To logo ne kaha ki Ye Abu israail hai is ne mannat maani hai ki khada rahega baithega nahi,Apne upar saaya nahi karega,Kisi se baat nahi karega aur roza rakhega.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki us se kah do ki saae me jaae,baithe, baithe,baat kare aur apne roze ko pura kare.(Sahi Bukhari,Hadis No.6704)
Dekhiye! Us shakhs ne 4 chizo ki mannat maani thi.(1) Baithega nahi. (2) Apne upar saaya nahi karega.(3)Kisi se baat nahi karega.(4)Roza rakhega.Un 4 chizo me se sirf ek aisi chiz thi jis ka ta’alluq Allah Ta’ala ki ibaadat se tha yani roza baaqi 3 chizo ka Allah Ta’ala ki ibaadat se koi ta’alluq nahi tha to Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne un 3 chizo ki mannat puri karne se mana farma diya jin ka Allah Ta’ala ki ibaadat se koi ta’alluq nahi tha.Aur sirf roza jo Allah Ta’ala ki ek ibaadat thi use pura karne ka hukm diya.Is se maloom hua ki mannat sirf aisi hi kaamo ki maan ni chaahiye jin ka Allah Ta’ala ki ibaadat se ta’alluq ho.Jaise namaaz padhne,Roza rakhne,Haj aur umrah ya Etekaaf aur sadqa wagairah karne ki mannat.
Mas'ala:Mannat ki do surat hain.Ek ye ki kisi kaam ke karne ko kisi chiz par mauqoof rakhe jaise kisi ne kaha ki:Agar main rozgaar se lag gaya to main roza rakhonga.Dusra ye ki koi shart nahi lagaai jaae.Jaise kisi ne kaha ki main ne Allah ke liye do din roza rakhne ki mannat maani.pahli surat yani jis me kisi chiz ke hone ki shart lagaya to uski bhi do surate hain.Agar aisi chiz ki shart lagaya jis ke hone ki khaahish hai,Jaise us ne kaha ki agar mera ladka sehat-yaab ho jaaega to main roza rakhonga ya khairaat karonga.aisi surat me jab woh shart puri ho jaaegi yani us ka ladka sehat-yaab ho jaaega to jo kaha tha wahi kaam karna zaruri hoga aisa nahi ho sakta ki kaha tha ki roza rakhonga aur ab woh kisi faqeer ko khaana khila de.Aur agar aisi shart lagaaya tha jo nahi honi chaahiye jaise kisi ne kaha ki agar main tum se baat kiya to mujh par itne roze hain.Is surat me agar shart paai gaee,Yani ki baat kar liya to ab use ekhtiyar hai ki chaahe to jitney roze rakhne ke liye kaha tha utna roza rakh le aur chaahe to qasam ka jo kaffarah hai woh ada kar de.
Mas'ala:Aur jis mannat me kisi chiz ki shart nahi ho to jo mannat maana tha usi ko pura karna zaruri hai. Agar haj ki mannat maana tha to haj aur agar etekaaf ki mannat maana tha to etekaaf.
Mas'ala:Agar kisi ne ye mannat maana ki main juma ke din 1000 rupiye falaan falaan faqeero ko khairaat donga aur us ne jumeraat hi ke din unhe faqeero ko ya dusre faqeero ko de diya to uski mannat puri ho gaee.Yani khaas unhe faqeero ko dena zaruri nahi hai aur nahi juma ke din zaruri hai.
Mas'ala:Kuchh jaahil aurate jo apne ladko ke kaan ya naak chhidaane ya bachcho ki chotiya rakhne ya muharram ke mahine me faqeer wagairah banana ki mannat maan leti hain.Ye sab bilkul hi galat hai aur agar kisi ne maan hi liya ho to use pura nahi kiya jaae.
Mas'ala:Agar kisi ne haj ya umrah ya aur kisi nek karne ki mannat maana aur use pura karne se pahle hi inteqaal kar gaya to ab us ke ghar wale par uski taraf se mannat puri karna zaruri nahi hai.Lekin agar karde to behtar hai aur uski taraf se mannat puri ho jaaegi.Jaisa ki hazrate Abdullah bin Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki: Hazrat-e-Saad bin Ubaadah radhi allaho anho ne Huzur Sallallaho alaihe wasallam se arz kiya ki:Meri walidah ek mannat maani thi aur woh mannat puri karne se pahle hi inteqal kar gaee.To Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Tum un ki taraf se mannat puri kar do.(Sahi Muslim,Hadis No.1638).
Mas'ala:Mannat ya qasam me “In sha Allah” kah dene se us ka pura karna wajib nahi hota.Jaise kisi ne kaha ki agar main exam me pass ho gaya to in sha allah 1000 rupiye sadqa karunga.Phir agar pass ho gaya to us par 1000 rupiye sadqa karna wajib nahi hoga.Haan agar kare to achchhi baat hai.
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Bhau ke baal banwaane,Tatto karwane aur banawati baal lagaane ka mas'ala Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran