Namaz-e-Eid



Hadees: Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Jab Huzur Sallallaho alaihe wasallam Madina sharif aae to us zamaane me Madina sharif ke log saal me do din khushi manaate the (Ek Mehargaan ke din aur dusri Neerooz ke din)Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne puchha ki ye kaisa din hai? Logo ne arz kiya ki ham log zaaheliyat ke zamaane me in dino me khushi manaate the.To Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Allah Ta’ala ne in ke badle me in se behtar do din tumhe ata farmaya hai.Ek Eid-ul-Fitr ka din aur dusra Eid-ul-Azha ka din.(Sunan Abu Dawood,Hadees No.1134)
Hadees: Hazrat-e-Ibn-e-Abbas Radhi Allaho Anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Eid ki namaz do rik’at padhi, Nahi us se pahle namaz padhi aur nahi baad me.(Sahi Bukhari,Hadees No.964)
Tareeqa:Namaz-e-Eid padhne ka tareeqa ye hai ki:Do rik’at waajib namaz Eid-ul-Fitr ya Eid-ul-Azha ki niyat kar ke kaano tak haath uthaae aur Allahu Akbar kah kar haath baandh le.Phir Sana padhe. Phir kaano tak haath uthaae aur Allahu Akbar kahte hue chhod de. Phir kaano tak haath uthaae aur Allahu Akbar kahte hue chhod de. Phir kaano tak haath uthaae aur Allahu Akbar kahte hue haath baandh le.Yani pahle baar Allahu Akbar kah kar haath baandhe,Uske baad do takbiro me haath chhod de.Aur phir chauthi takbeer me haath baandh le.Is ko is tarah bhi yaad rakh sakte hain ki jahaan par kuchh padhna hai wahan par haath baandh le aur jahan par kuchh nahi padhna hai wahan par haath chhod de.Phir Imam Auzubillah aur bismillah padh kar Surah Fatiha aur koi surah buland awaaz se padhe (Qirat ke waqt imam ke pichhe padhne wale log chup rah kar gaur se imam ki tilawat sune) phir ruku aur sajda kare.Dusari rik’at me imam Pahle Surah Faatiha aur Surah padhe (Aur Muqtadi khaamosh rahe)phir 3 baar kaan tak haath le jaa kar Allahu Akbar kahe aur haath chhod de.Aur Chauthi baar begair haath uthaae Allahu Akbar kahte hue Ruku me chaale jaae aur baaqi namaz puri kare.
Share.........




Related Topics



Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail



Dawat-E-Quran