Namaz-e-Haajat



Hadees: Hazrat-e-Huzaifa radhi allaho anho bayan karte hain ki Jab Huzur Salllallaho alaihe wasallam ko koi khaas maamla pesh aa jaata to Aap Salllallaho alaihe wasallam namaz padhte the.(Sunan Abu Dawood,Hadees No.1319)
Hadees:Huzur Salllallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jab kisi ko koi zarurat pesh aa jaae Allah se ya kisi bande se to achchhi tarah se wazu kare phir do rik’at namaz padh kar Allah Ta’ala ki hamd aur taarif kare aur Nabi Salllallaho alaihe wasallam par darood bheje phir ye dua padhe.

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْحَلِيمُ الْكَرِيمُ سُبْحَانَ اللَّهِ رَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ أَسْأَلُكَ مُوجِبَاتِ رَحْمَتِكَ وَعَزَائِمَ مَغْفِرَتِكَ وَالْغَنِيمَةَ مِنْ كُلِّ بِرٍّ وَالسَّلاَمَةَ مِنْ كُلِّ إِثْمٍ لاَ تَدَعْ لِى ذَنْبًا إِلاَّ غَفَرْتَهُ وَلاَ هَمًّا إِلاَّ فَرَّجْتَهُ وَلاَ حَاجَةً هِىَ لَكَ رِضًا إِلاَّ قَضَيْتَهَا يَا أَرْحَمَ الرَّاحِمِينَ

"Laa-ilaaha Illallahul halimul karim.Subhan allahi rabbal arshil azeem. Al-hamdu lillahi rabbil aalameen.As’aluka moojibaati rahmatika wa azaaima magfiratika wal-ganimata min kulli birrin was-salamata min kulli ismin laa tad’a lee zamban illa gafar-tahu wa laa hamman ilaa faraj-tahu wa laa haajatan hia laka rizan ilaa qazaitaha Ya Arhamar raahemeen".(Tirmizi,Hadees No.478)
Hadees:Hazrat-e-Usman bin Hanif radhi allaho anho bayan karte hain ki:Ek andha shakhs Huzur Salllallaho alaihe wasallam ke paas aaya aur arz kiya ki Ya Rasool allah Salllallaho alaihe wasallam!Mere liye dua kar dijiye ki Allah Ta’ala mujhe thik kar de.To Aap Salllallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Agar chaaho to dua kar dun aur chaaho to tum sabr kar lo aur ye tumhare liye behtar hoga.Unhone kaha ki dua kar dijiye.To Aap Salllallaho alaihe wasallam ne un se farmaya ki jaao! Achchhi tarah se wazu kar ke do rik’at namaaz padho aur us ke baad is tarah se dua maango.

اللَّهُمَّ إِنِّى أَسْأَلُكَ وَأَتَوَجَّهُ إِلَيْكَ بِمُحَمَّدٍ نَبِىِّ الرَّحْمَةِ یَا مُحَمَّدُ إِنِّى قَدْ تَوَجَّهْتُ بِكَ إِلَى رَبِّى فِى حَاجَتِى هَذِهِ لِتُقْضَی اللَّهُمَّ فَشَفِّعْهُ فِىَّ

Allahumma inni As’aluka wa atawajjahu ilaika bi-nabiyeka Muhammadin nabiyer Rahmati Ya Muhammadu inni Qad tawajjahtu bika ilaa rabbi fee haajati haazehi li-tuqza lee.Allahumma fashaffe’hu fiyya.
Hazrat-e-Usman bin Hanif radhi allaho anho bayan karte hain ki:Khuda ki Qasam! Abhi ham log usi jagah the aur baaten hi kar rahe the ki woh shakhs (namaz aur dua se faarig ho kar)hamare paas aaya to aisa maloom ho raha tha ki woh kabhi andha tha hi nahi. (Sunan Ibn-e-Majah,Hadees No.1385.Tirmizi,Hadees No.3578)
Share.........




Related Topics



Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail



Dawat-E-Quran