Namaz-e-Ishraaq



Fazilat:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo shakhs fajar ki namaz jama’at se padh kar Allah ka zikr karta rahe yahan tak ki suraj buland ho jaae to woh do rik’at (Namaz Ishraq) padhe to use pure haj aur umrah ka sawab milega.(Tirmizi,Hadees No.584)


Namaz-e-Chaasht



Fazilat:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo shakhs namaz-e-chaasht ki 12 rik’at padhega,Allah Ta’ala us ke liye jannat me sone ka mahal banaaega.(Tirmizi,Hadees No.472)
Hadees:Hazrat-e-Abu Zar radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Admi par us ke badan ke har jod ke badle sadqa hai.(Aur admi ke badan me 360 jor hain) to har tasbih sadqa hai aur har hamd sadqa hai aur “La ilaha illallah” kahna sadqa hai. “Allahu Akbar” kahna sadqa hai.Aur achchhi baat ka hukm dena sadqa hai aur buri baat se mana karna sadqa hai.Aur un sab ki taraf se do rik’at chaasht ki namaz kaafi hoti hain.(Yani jo shakhs chaasht ki namaz do rik’at padh leta hai to us ke har jod ki taraf se sadqa ada ho jaata hai.(Sahih Muslim,Hadees No.720)
Hadees:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Jo shakhs chaasht ki do rik’at namaz paabandi ke saath ada karega to Allah Ta’ala us ke gunaho ko bakhsh dega agarche us ke gunah samandar ke jhaag ke barabar hi kyun na ho.(Tirmizi,Hadees No.474)
Mas’ala:Chaasht ki namaz me ziyadah se ziyadah 12 rik’aat hain aur kam se kam 2.Is ka waqt suraj ke nikalne ke 20 minute baad se le kar zawal tak hai.Aur behtar ye hai ki chauthaai din yani taqriban subah ke 10 ya 10:15 baje padhe.
Share.........




Related Topics



Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail



Dawat-E-Quran