Musaafir Ki Namaz Ka Bayan



Shari’at me musafir us shakhs ko kaha jaata hain jo kam se kam 92 kilometre ki doori tak jaane ke iraade se apni abaadi se bahar nikla.
Mas'ala:Agar 92 k.m ki doori tak jaane ke iraade se nikla aur darmiyan me zimni taur par rukne ka iraada kiya tab bhi musaafir hoga.Aur agar is iraade se nikla ki 50 k.m ki doori tak jaata hun phir wahan se 42 k.m ya us se ziyadah ki doori tak jaaunga to musaafir nahi hoga.
Mas'ala:Ek jagah jaane ke do raaste hain ek se musaafir hoga aur dusre se nahi,To jis raaste se jaaega usi ka etebaar hoga,Nazdik wale se gaya to musaafir nahi aur door wale se gaya to musaafir hoga.
Mas'ala:Musaafir jab basti ki abaadi se baahar ho jaae,Shahar me hai to shahar se,Gaaon me hai to gaaon se aur shahar wale ke liye ye bhi zaruri hai ki shahar ke aas paas jo abaadi shahar se mili hui hai us se bhi baahar ho jaae tab namaz me qasar kare.
Mas'ala:Airport ya railway station wagairah abaadi se baahar ho to wahan par qasar kiya jaaega,nahi to nahi.
Mas'ala:Musafir par wajib hai ki woh namaz me Qasr kare yani Zuhar,Asar aur Isha ki 4 Rik’at wali farz namaz ko 2 Rik’at padhe.
Mas'ala:Agar kisi ne jaan bujh kar puri 4 rik’at padh liya aur dusri rik’at me baitha to farz ada ho gaya aur aakhir ki 2 rik’at nafal ho gayen lekin aisa karne wala gunahgaar hua use chaahiye ki tauba kare,Aur agar dusri rik’at me nahi baitha to farz ada nahi hua.
Mas'ala:Zuhar,Asar aur Isha ki 4 rik’at wali farz namaz ke elawah aur kisi namaz me Qasar nahi hai.Sunnato ka mas’ala ye hai ki agar mauqa ho to puri padhe nahi to maaf hain.
Mas'ala:Musafir jab tak kisi jagah par 15 din ya us se ziyadah rukne ki niyat na kare ya apni abaadi me wapas na aa jaae, Qasar karta rahe.
Mas'ala:Musafir agar kisi muqeem ki iqteda me namaz padhe to us surat me woh apne imam ki pairwi kare yani puri padhe qasar na kare.
Mas'ala:Safar me qaza hui namaz ko ghar aane ke baad ada kare to qasar ke saath hi ada karna zaruri hai.Isi tarah ghar par rahte hue jo namaz qaza hui agar use safar ki haalat me ada kare to puri padhe.
Share.........




Related Topics



Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail



Dawat-E-Quran