Sajda Sahu Ke Masaail



Jo baaten namaz me wajib hain,Agar un me se koi wajib bhool se chhot jaae to us kami ko pura karne ke liye Sajdah Sahu karna wajib hota hai.Is ka tariqa ye hai ki namaz ki aakheri rik’at me Tahiyyat padhne ke baad daaheni taraf salam pher kar do sajdah kare phir tahiyyat aur Darood wagairah padh kar salam pher de.
Mas’ala 1:Agar kisi ne begair salam phere sajda sahu kar liya tab bhi namaaz ho jaaegi.Magar aisa karna makruhe tanzihi hai.
Mas’ala 2:Agar namaaz me koi farz chhot gaya chaahe jaan bujh kar ho ya bhule se,To ye kami sajda sahu karne se puri nahi hogi.Is liye us namaaz ko dobarah padhna zaruri hai.Aur agar sunnat ya koi mustahab jaise “Aauzu billah, Bismillah, Sana, Ameen aur takbiraate inteqaalat wagairah chhot gaya to sajda sahu wajib nahi hota.Isi tarah se agar ruku ya sajde ki tasbih chhot gaee tab bhi sajda sahu wajib nahi.Magar in sab surato me dohraa lena ziyadah behtar hai.Jaan bujh kar chhota ho ya bhool kar.
Mas’ala 3:Kisi shakhs par sajda sahu karna wajib tha magar woh nahi kiya aur bhool kar salam pher diya aur salam pherne ke fauran baad yaad aaya to fauran sajde me chale jaae aur sajde ke baad tahiyyat wagairah padh kar salam pher de namaaz ho jaaegi.Lekin salam ke baad kisi se baat kar liya ya khada hogaya us ke baad yaad aaya to phir se namaaz ada karna hoga.
Mas’ala 4:Agar ek hi namaaz me ek se ziyadah galtiya ho gaee to un sab kami ko puri karne ke liye wahi do sajde kaafi hain.Yani alag alag galti ke liye alag alag sajda sahu nahi.
Mas’ala 5:Farz ki pahli do rik’ato me Aur nafil wagairah ki kisi bhi rik’at me Surah Faatiha ki ek aayat bhi chhot gaee ya surah se pahle kisi ne do baar Surah Fatiha padha ya surah Fatiha se pahle surah padh liya to in sab surato me sajda sahu karna wajib hoga.
Mas’ala 6:Surah Fatiha padhne ke baad kisi ne surah padha phir surah Fatiha padha to sajda sahu wajib nahi hoga.Isi tarah Farz namaaz ki aakheri rik’ato me do baar surah Fatiha padhne se bhi sajda sahu nahi hoga.Lekin agar kisi ne farz namaaz ki pahli rik’ato me surah faatiha ka ziyadah tar hissa padh liya aur phir se surah fatiha dohraaya to sajda sahu wajib hoga.
Mas’ala 7:Koi shakhs Surah Fatiha padhna bhool gaya aur surah padhne laga aur ek aayat ke barabar padhne ke baad yaad aaya to use chaahiye ki surah chhor kar Surah Fatiha padhe phir surah padhe aur sajda sahu kar le.Isi tarah Surah muakammal karne ke baad ya ruku me jaane ke baad ya ruku se khade hone ke baad yaad aae to phir se Surah fatiha padh kar surah padhe aur ruku dobarah kar le aur aakhir me sajda sahu kare.
Mas’ala 8:Agar koi shakhs namaaz ke arkaan ko itminan se ada karna bhool gaya jaise kisi rik’at me ruku se siddha khada bhi nahi hua tha ki sajde me chala gaya to us par sajda sahu wajib hai.
Mas’ala 9:Farz namaaz me agar koi shakhs do rik’at par baithna bhool gaya to jab tak siddha khada nahi hua ho laut aae.aur is surat me sajda sahu bhi nahi karna hoga.Aur agar siddha khada ho gaya to nahi laute aur aakhir me sajda sahu kar le.Aur agar siddha khada ho kar laut gaya to namaaz ho jaaegi magar woh gunahgaar hua is liye hukm hai ki agar laute to fauran khada ho jaae.
Mas’ala 10:Agar koi shakhs aakheri rik’at me baithna bhool gaya to hukm ye hai ki jab tak us rik’at ka sajda nahi kiya ho laut aae aur sajda sahu kar ke salam pher de.Aur agar us rik’at ka sajda kar liya to sajde se sar uthaate hi woh farz nafil hogaya.Is liye agar chaahe to magrib ki namaaz ke elawah aur dusri namaaz me ek rik’at aur mila le ki jora ho jaae.Aur magrib me nahi milaae ki is me to 4 puri ho gaee.
Mas’ala 11:Agar koi shakhs namaaz ki aakheri rik’at me tahiyyat padhne ke barabar baitha phir bhool kar khada ho gaya to jab tak us rik’at ka sajda nahi kiya ho laut aae aur dobarah tahiyyat padhe begair sajda sahu kare phir tahiyyat wagairah padh kar salam phere.
Mas’ala 12:4 rik’at ya 3 rik’at wali namaaz me dusari rik’at me Tahiyyat padhne ke baad agar kisi ne “Allahumm salle aala Muhammad” itna padh diya to us par sajda sahu karna wajib ho jaaega.Is wajah se nahi ki darood sharif padha balki is wajah se ki tisari rik’at ke qayam me teen tasbih ke miqdaar deri hui.To agar koi shakhs itni deer chup bhi baitha rah jaaega to us par bhi sajda sahu wajib hoga.
Mas’ala 13:Agar kisi ne Tahiyyat ki jagah surah Fatiha padh diya to woh sajda sahu kare.
Mas’ala 14:Vitr ki namaaz me agar dua-e-qunoot padhna bhool gaya ya dua-e-qunoot padhne ke liye jo takbeer kahi jaati hai woh takbeer kahna bhool gaya to us par bhi sajda sahu hai.
Mas’ala 15:Juma aur Eidain ki namaaz me galti hui aur badi jama’at hai to behtar ye hai ki sajda sahu nahi kare.
Mas’ala 16:Imam ne zor se qirat ki jaane wali namaaz me ek aayat ke barabar aahista qirat kiya ya aahista qirat ki jaane wali namaaz me ek aayat ke barabar zor se qirat kiya to sajda sahu wajib hai.Aur sirf ek kalma jaise “Al-hamdu” zor se ya aahiste se padha to maaf hai.
Mas’ala 17:Akele namaaz padhne wale ne agar sirri namaaz me zor se qirat kiya to sajda sahu wajib hoga aur jehri namaaz me aahista kiya to nahi.
Mas’ala 18:Agar muqtadi se iqteda ki haalat me koi galti hui to us par sajda sahu nahi hai.
Mas’ala 19:Woh muqtadi jis ki kuchh rik’ate chhoti hui hain aur us se akele padhte waqt galti hui to imam ke salam pherne ke baad jab apni namaaz ko puri kare to aakhir me sajda sahu kare.
Mas’ala 20:Jis shakhs ko namaaz ki rik’at ki ginti me shak hua jaise ki 3 rik’at hui ya 4 wagairah wagairah.To agar aisa baalig hone ke baad pahli baar hua hai to salam pher kar ya koi aur kaam kar ke namaaz tor de ya jidhar ziyadah dil jame us ke mutabiq namaaz puri kar le.Magar har haal me us namaaz ko phir se ada kare.Aur agar aisa shak pahli baar nahi hua balki is se pahle bhi kaee baar ho chukka hai to agar galib-e-guman kisi taraf ho to us ke mutabiq amal kare nahi to kami ki jaanib ekhtiyar kare.Yani 3 aur chaar me shak hua to 3 hi maane aur 2 aur 3 me shak hua to 2 maane.Aur tisari aur chauthi dono rik’at me baithe kyunki tisari rik’at ka chauthi hone ki gunjaaish hai aur chauthi rik’at me tahiyyat padh kar sajda sahu kare. Aur gumaan-e-gaalib ki surat me sajda sahu nahi hai,Lekin agar us ne sochne me 3 tasbih ke miqdaar waqt laga diya to us par bhi sajda sahu zaruri hoga.
Mas’ala 21:Namaaz puri karne ke baad agar kisi ko shak hua to us ka koi etebaar nahi.Aur agar yaqeen hai to phir se namaaz ada kare.
Mas’ala 22:Agar imam ko qirat me bhool ho,To muqtadi luqma de sakta hai.Lekin luqma dene wala qirat ki niyat nahi kare balki luqma dene ki niyat se woh alfaaz kahe.Aur fauran hi luqma dena makruh hai.Thoda intezaar karna chaahiye ki shayad imam khud hi nikal le.Isi tarah imam ke liye bhi makruh hai ki woh muqtadi ko luqma dene par majbur kare,Unhe chaahiye ki woh koi dusri surah shuru kar de ya itna padh chuka ho ki jis se namaaz ho jaaegi to ruku me chala jaae.
Mas’ala 23:Koi shakhs der se masjid pahuncha aur jab aaya to us waqt kuchh rik’at ho chuki thi aur imam ruku me ya qaadah me tha.To us ko chaahiye ki sidhe khade hone ki haalat me takbeer-e-tahrima kahe phir dusri takbeer kahte hue imam ke saath mil jaae. Agar kisi ne pahli hi takbeer kahte hue ruku ki had tak jhuk gaya to us ki namaaz nahi hogi.
Mas’ala 24:Agar dua-e-qunoot padhna bhool gaya aur ruku me chala gaya to hukm ye hai ki ab woh qayam ki taraf nahi laute aur nahi use ruku me padhe.Lekin agar woh qayam ki taraf laut aaya aur dua-e-qunoot padha aur dobarah ruku nahi kiya to namaaz ho jaaegi lekin is surat me woh shakhs gunahgaar hoga.Aur agar sirf surah fatiha padh kar ruku me chala gaya tha to laute aur surah aur dua-e-qunoot padh kar phir ruku kare aur aakhir me sajda sahu kar le.Isi tarah agar surah fatiha padhna bhool gaya tha to laute aur surah fatiha,surah aur qunoot padh kar phir ruku kare.
Mas’ala 25:Agar kisi shakhs ne bhool kar vitr ki pahli ya dusri rik’at me dua-e-qunoot padh liya to tisri me bhi padhe.
Mas’ala 26:Dusri rik’at me pahli rik’at se upar wali surah padhna makrooh-e-tahreemi aur gunah hai.Magar bhool kar aisa hua to na gunaah hai aur nahi is se sajda sahu laazim hota hai.
Mas’ala 27:Agar sajda sahu wajib nahi tha aur akele namaz padhne wale ne kar liya to uski namaz ho jaaegi.Aur agar imam ne aisa kiya to jo log shuru se imam ke saath namaz me hain un sab ki namaz ho jaaegi aur jin logo ki kuchh rik’aat chhuti hui hain un ki namaz nahi hogi.
Share.........




Related Topics



Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail



Dawat-E-Quran