Suraj Aur Chand Garhan Ki Namaz



Hadees: Hazrat-e-Abu Musa radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke zamaane me ek baar suraj me garhan lag gaya to Aap Sallallaho alaihe wasallam masjid me aae aur bahut lambi namaaz padhi ki main ne pahle kabhi aisa karte nahi dekha.Phir Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Allah Ta’ala kisi ki maut ya zindagi ki wajah se apni ye nishaani zaahir nahi farmaata hai lekin is se apne bando ko daraata hai.Is liye jab aisa kuchh dekho to zikr,dua aur istigfaar ki taraf ghabra kar utho. (Sahi Bukhari,Hadees No.1059)
Mas'ala:Tez aandhi aae ya din me bilkul andhera chha jaae ya raat me khauf-naak raushni ho ya lagaataar bahut ziyadah baarish ho ya aasman laal ho jaae ya bijli gire ya bahut ziyadah taare toote ya koi waba phail jaae ya zalzala aae ya dushman ka khauf ho ya aur koi dahshat-naak baat paai jaae to in sab surato me do rik’at namaaz padhna mustahab hai.
Mas'ala:Suraj Garhan ki namaaz sunnat-e-mo’akkidah hai aur chaand Garhan ki namaaz mustahab.Suraj garhan ki namaaz jama’at se padhna behtar hai,Aur tanha tanha bhi ho sakti hai.
Mas'ala:Garhan ki namaaz usi waqt padhe jab Garhan laga hua ho,aur agar aise waqt me garhan laga jis waqt me namaaz padhna makrooh hai to namaaz nahi padhe balki zikr aur dua me mash-gool ho jaae.
Mas'ala:Ye namaaz aur nafil namaaz ki tarah se do rik’at padhe.Is me nahi azaan hai aur nahi iqaamat aur nahi buland awaaz se tilaawat.Namaaz ke baad dua karte rahe yahan tak garhan khatam ho jaae.
Agar koi shakhs chaahe to do rik’at se ziyadah bhi padh sakta hai aur is surat me chaahe to do rik’at par salam phere aur chaahe to chaar par.
Share.........




Related Topics



Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz-e-Taraweeh ke masaail Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail



Dawat-E-Quran