Namaz-e-Taraweeh Ke Masaail



Mas'ala:Taraweeh Mard Wa Aurat Sabke Liye Sunnat-E-Muakkida Hai Iska Chhorna Jaaiz Nahi Hai.
Mas'ala:Taraweeh ki namaz me kul 20 rik’aten hain.Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Nabi kareem ﷺ Ramzan me viter ke elawah 20 rik’at taraweeh padha karte the.(Musannaf ibne abi shaiba,Hadees No.7692) Tamam sahaba ka bhi isi par amal tha.
Mas'ala:Taraaweeh ka waqt isha ke farz padhne ke baad se subha sadiq nikalne tak hai.
Mas'ala:Taraaweeh Me jama’at sunnat-e- kifaya hai ki agar masjid ke sab log chhor denge to gunehgar honge .
Mas'ala:Agar isha tanha padhli agarche Taraaweeh ba-jamaat padhi to vitr tanha padhe.
Mas'ala:Muqtadi ko ye jaaiz Nahi ke baitha rahe jab imaam rukoo karne ko ho to khadha ho jaae ki ye munafiqeen se mushabahat hai , Allah T’aala irshaad farmata hai “ Munafiq jab namaaz ko khade hote hain to thake ji se . (surre nisa aayat no 142).
Mas'ala:Taraaweeh Ramzan ki har Raat Me bees(20) rakat sunnat-e-muakkida hai kuchh log ye karte hai ki chhe (6) din ya das (10) Din Me poora Quran sharif sun kar poore ramzan Taraaweeh Nahin padhte woh gunehgar aur fasiq hain. Woh ramzan-ul-mubaraq ki Baaqi raaton Me bhi Taraaweeh padhe.
Share.........




Related Topics



Namaz ki ahmiyat wa fazilat Namaz padhne ka tariqa Namaz ke sharayat wa faraaiz Namaz ke wajibaat aur sunnaten Namaz ke makruhaat aur mufsidaat Sajda sahu ke masaail Qiraat me galti ke masaail Musaafir ki namaz ka bayan Bimar shakhs ki namaz ka bayan Namaz Tahiyatul wazu aur Masjid Namaz-e-Ishraaq aur Chaasht Namaz-e-Tauba aur Tahajjud Salatut Tasbeeh Namaz-e-Hajat Namaz-e-Istikhaara Eid ki namaz Suraj gahan aur chand gahan ki namaz Namaz-e-Janaza ke masaail



Dawat-E-Quran