Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan



Mas'ala:Jaan-bujhkar Khaane-Peene, HumBistari karne se Rozah Toot jaata hai.
Mas'ala:Huqqa, Sigaar, Cigerate, Charat(Charas) wagairah Peene se Rozah toot jaata hai.
Mas'ala:Paan ya Tumbaku khaane se Rozah toot jaata hai.
Mas'ala:Chini wagairah aisi Cheezein jo munh Me rakhne se ghul jaati hai, Munh Me rakhi aur Thook nigal gaya, to Rozah toot gaya.
Mas'ala:Daanton ke darmiyaan koi Cheez Chane ke barabar ya zyaada thi use kha gaya ya kam hi thi magar Munh se nikaal kar phir kha liya to dono Surton Me Rozah toot gaya.
Mas'ala:Daanton se khoon nikalkar halaq se neeche utra aur uska mazah halaq Me Mehsoos hua,To Rozah toot gaya.
Mas'ala:Roze Me Daant Ukharwaya aur khoon nikalkar Halaq se neeche utra to Rozah toot gaya.
Mas'ala:Naak Se Dawa Chadhwaya Ya Kaan Me Tel Dala Ya Chala Gaya, Rozah Toot Gaya
Mas'ala:Kaan Me Jaan bujh kar paani daalne se Rozah toot jaata hai(Fatawae Razwiya).
Mas'ala:Kulli kar raha tha ki Be-ikhtiyaar paani Halaq se Utar gaya, Rozah toot gaya.
Mas'ala:Naak Me Paani Chadhaya aur Dimaag tak chadh gaya , Rozah toot gaya.
Mas'ala:Aansu ya Paseena Munh Me chala gaya aur nigal gaya to agar do Qatre se zyaada hai aur uski Namkeeni poore Munh Me Mehoos hui, to Rozah toot gaya.
Mas'ala:Jaan-bujh kar Munh bhar Qai (Ulti) ki to Rozah toot gaya.
Mas'ala:Be-Ikhtiyaar Bhar Munh Qai (Ulti) ho gayi phir use Nigal gaya Rozah Toot Gaya
Mas'ala:Ye Gumaan tha k Subah Nahin hui aur khaya ya piya baad me Maloom hua ki Subah ho chuki thi Rozah nahi hua.
Mas'ala:Ye Gumaan tha ki Suraj Doob gaya Aur Iftaar kar liya Baad me Maloom hua k na Dooba tha Rozah na hua.
Mas'ala:Jiska Rozah toot gaya jaise Galti se Paani Wagairah koi Cheez Halaq Me chala gaya to ab Din ka jitna waqt Baaqi bacha hai use Roze ki tarah Guzaarna Wajib hai.
Mas'ala:Lobaan, Agarbatti wagairah ke Dhue ko Jaanbujhkar Naak Ya Munh se Kheecha , Rozah toot gaya.
Mas'ala:Manjan Ya Toothpaste wagairah kar raha tha aur uske kuchh Ajza Halaq se neeche utar gaye Rozah toot gaya.
Mas'ala:Inhaler (jo ke Dama ke Mariz Aksar Istamaal karte hain) Roze ki haalat Mein Istamaal kiya Rozah toot gaya. Isi Tarah Sardi Ke Inhaler Se Bhi Rozah toot Jaaega.
Mas'ala:Munh Me Rangeen Doda Rakha Jis Ki Wajah Se Thook Rangeen Ho Gaya,Phir Usne Thook Nigal Liya To Roza Toot Jaaega.
Mas'ala:Apni Biwi Ko Chuma Ya Begair Kapde Ke Chhuwa Ya Gale Lagaya Aur Inzaal Ho Gaya To Roza Toot Jaaega.Aur Agar Aurat Ne Mard Ko Chhuwa Aur Mard Ko Inzaal Ho Gaya To Roza Nahi Tootega.
Mas'ala:Aurat Ko Kapde Ke Upar Se Chhuwa Aur Kapda Itna Mota Tha Ki Badan Ki Garmi Mehsoos Nahi Hui To Is Surat Me Roza Nahi Tootega Agarche Inzaal Ho Jaae.
Share.........




Related Topics



Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan



Dawat-E-Quran