Roze Ke Fidya Ke Masail



Mas'ala:Har Roze Ka Fidya Baqadre Sadqae Fitr Hai(Yaani 2 Kilo 50 gm Gehu Ya Uski Qeemat hai.)
Mas'ala:Shaikhe Faani yaani woh Budha jiski Umr Aisi Ho Gayi Ki Ab din par din Kamzor Hi Hota Jaaega Jab WoH Rozah Rakhne Se Aajiz Ho Yaani Na Ab Rakh Sakta Hai Na Aainda Usme Itni Taaqat Aane Ki Koi Ummeed Hai Ki Rozah Rakh Sakega Use Rozah Na Rakhne ki Ijaazat Hai Aur Har Roze Ke Badle Mein Fidya Yaani Dono Waqt Ek Miskeen Ko Bhar Pet Khana Khilana Uss Par Wajib Hai Ya Har Roze Ke Badle Mein Sadqae Fitr Ki Miqdar Miskeen Ko De De.
Mas'ala:Agar Aisa Budha ho jo Garmiyon Mein Garmi Ki Wajah Se Rozah Nahin Rakh Sakta Magar thandi Main Rakh Sakta hai.To Abhi Na Rakhe Aur Inke Badle thandi Mein Rakhna Farz Hai.
Mas'ala:Agar Fidya Dene Ke Baad Itni Taaqat Aa Gayi Ki Rozah Rakh Sakega To Fidya Sadqae Nafl Hokar Reh Gaya Unn Rozon Ki Qaza Rakhe.
Share.........




Related Topics



Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan



Dawat-E-Quran