Shab-e-Qadar Ki Fazilat



Shab-e-Qadr ek badi azmat aur barkat wali raat hai,Is ke bare me Allah Ta’ala ne Quran Majeed me ek puri surah nazil farmaya aur iski azmat ko khud hi bayan farmaya: Allah Ta’ala ne farmaya:
“Be-shak ham ne is (Quran) ko shab-e-qadr me utaara hai.Aur tum kya jaano ki shab-e-qadr kya hai.Shab-e-Qadr hazaar mahino se behtar hai.Is me farishte aur Roohul-Ameen utarte hain apne rab ke hukm se har kaam ke liye.Woh subah raushan hone tak saraapa salamti ki raat hai”.(Surah Qadr,P:30)
Ye raat ummate Mustafa sallallaho alaihe wasallam ke liye Allah Ta’ala ki taraf se khaas in’aam ki raat hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Be-shak Allah Ta’ala ne meri ummat ko “Shab-e-Qadr” ata kiya aur tum se pahle ye raat kisi ummat ko ata nahi farmaya.(Al-Firdaus bimasurul khitab,Hadees No:647)
Is liye hame chaahiye ki Allah Ta’ala ke is in’aam ka shukr ziyadah se ziyadah ibaadat kar kea da kare,Kyunki is raat ki ibaadat badi khush-naseebi ki baat hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jo shab-e-qadr me imaan ke saath sawab ki niyat se qayaam (ibaadat)kiya,To uske pichhle tamam gunaah maaf kar diye jaaenge.(Sahih Bukhari,Hadees No:2014, Muslim, Hadees No:760)
Is raat ko gaflat aur susti bilkul nahi karni chaahiye balki puri himmat aur ekhlaas ke saath ibaadat-o-riyazat aur zikr wa dua me guzaarni chaahiye taaki is raat ki ziyadah se ziyadah barkate haasil kar saken.Hazrate Anas radhi Allaho anho bayan karte hain ki ek baar jab Ramzan aaya to Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Ye Mahina aa gaya,Aur is me ek aisi raat hai jo hazaar mahino se behtar hai,Jo is se mahroom raha woh har bhalaayi se mahroom raha,Aur uski bhalaayi se mahroom wahi rahega jo haqiqat me mahroom hai. (Ibne Majah,Hadees No:1644)
Shab-e-Qadr kaunsi raat hai?: Hazrat Ubaada bin Saamit radhi Allaho anho bayan kiya ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne hame shab-e-qadr ki khabar dene ke liye tashrif laa rahe the ki (raaste me) do musalman aapas me jhagda karne lage.Is par Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Main aaya tha ki tumhe shab-e-qadr bata dun.Lekin fulan aur fulan ne aapas me jhagda kar liya.Is wajah se is ka ilm utha liya gaya aur ummid hai ki tumhaare haq me yahi behtar hoga.To ab tum log uski talaash (Aakheri 10 dino ki) 9 ya 7 ya 5 (ki raato) me kiya karo.(Sahih Bukhari,Hadees No:2023) dusri hades me hai ki aakheri 10 dino ki taaq raato me karo.(Sahih Bukhari,Hadees No:2017)
Shab-e-Qadar ki Dua: Ummul momenin hazrat Aaisha Siddiqa radhi Allaho anha kahti hain ki main ne arz kiya:Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam! Agar mujhe maloom ho jaae ki kaunsi raat shab-e-qadar hai to main usme kya dua maangu? Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Ye dua karo. : “Allahumma innaka afu’un kareemun tuhibbul afwa fa’fu anni” Ya Allah! Beshak tu maaf karne wala meharban hai aur maaf karne ko pasand farmaata hai,To tu hame maaf farma de.(Tirmizi,Hadees No:3513)
Share.........




Related Topics



Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan



Dawat-E-Quran