Kaffarah Ka Bayan



Rozah Todne ka Kaffara ye hai ki Ek Raqba (Loundi ya Gulaam) Aazaad kare aur ye na ho sake jaise iss Zamaane Me Gulaam milte hi Nahi to lagaataar 60 Roze rakhe, agar ye bhi na kar sake to 60 Miskeeno ko Bhar-Bhar pet Dono waqt Khana Khilaaye. Aur Roze rakhne ki soorat Me agar Beech Me Ek Din ka Rozah Bhi choot gaya to Ab se 60 Roze Rakhe pehle ki Ginti Nahi, 59 rakh chuka tha aur 60’va na rakh saka , Bimaari wagairah kisi Uzr se to phir se 60 Roze Poore lagaatar rakhe. Pehle Roze Shumaar na honge Albatta Aurat ko agar Haiz ki Wajah se jitne Naaga(Gap) hue Ye Nahin Geene jaaenge yaani pehle ke Roze aur Haiz ke baad wale Roze Dono Milkar 60 ho jaane se Kaffara Adaa ho Jaaega.


Kaffarah Lazim Hone Ki Sharten



Rozah Todne Se Kaffara Laazim Hone Ki Chand Shartein Hain Jab Ye Sab Paai Jaaengi Tab Kaffara Laazim Hoga Warna Nahin.
1)Ramzaan Ke Mahine Me Ramzaan Ka Rozah Adaa Karne Ki Niyyat SE Rozah Rakha Ho.
2)Rozah daar Muqim Ho Musaafir Nahin.
3)Mukallaf(Aaqil-o-Baalig) Ho, To Agar Bachche Ya Paagal Ne Toda To Kaffara Nahin.
4)Raat Hi Se Rozae Ramzaan Ki Niyyat Ki Ho. To Agar Din Me Niyyat Ki Phir Use Tod Diya To Kaffara Nahin.
5)Rozah Todne ke baad koi aisa kaam nahi hua ho jo Roze ke Khilaaf Ho. jaise Aurat ko Haiz wa Nifaas Aa gaya ho, ya Rozah Todne ke baad itna Bimaar ho gaya ho ki use Rozah na Rakhne ki Ijaazat ho to Kaffara Laazim na hoga.
Share.........




Related Topics



Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail Nafli Rozo Ka Bayan



Dawat-E-Quran