Aap ﷺ Ka Haj Aur Umrah



Nabuwat ke elaan ke baad Makka sharif me rahte hue Aap ﷺ ne do ya teen haj kiye.Aur hijrat ke baad sirf ek haj 10 hijri me ada farmaya jo haj “Hajjatul Wida” ke naam se mash’hoor hai.(Tirmizi, Hadis No.815)
Haj ke elawah hijrat ke baad Aap ﷺ ne 4 umre bhi ada farmaya. Jaisa ki Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Aap ﷺ ne ek haj aur 4 umre kiya.Ek umra Zil-Qaada me.Dusra umratul Hudaibiya.Tisra woh umra jo aap ne apne haj ke saath kiya.Aur chautha umratul Ja’ranah.(Sahi Bukhari hadis No.815.Sahi Muslim,Hadis No.1253.Tirmizi,Hadis No.815)
Haj 3 tarah ka hota hai.(1)Hajj-e-Ifraad.(2)Hajj-e-Tamattu.(3) Hajj-e-Qiran.Hajj-e-Ifraad ka matlab sirf haj karna hota hai.Aur hajj-e-Tamattu ka matlab ye hota hai ki admi pahle umre ka ehraam baandhe phir umrah ada karne ke baad woh ehraam khol de aur phir haj ka ehraam bandh kar haj ada kare.Aur hajj-e-Qiran ka matlab ye hota hai ki:Haj aur umrah dono ki niyat se ehraam baandhe aur umra ada karne ke baad woh ehraam hi me rahe aur haj ke baad us ehraam se baahar ho.
Ab is baat me ekhtilaaf hai ki Huzur ﷺ ne kaunsa haj kiya tha.Ifraad ya Tamattu ya Qiraan? To is baare me Imaam Azam Abu Hanifa aur Imam Ahmad bin Hambal rahemahumallah ki tahqiq ye hai ki Aap ﷺ ne hajj-e-Qiran kiya tha aur Imaam Shafaee aur Imam Malik ki tahqiq ye hai ki Aap ﷺ ne hajj-e-Ifraad kiya tha.In ke elawah kuchh dusre ulma ki tahqiq ye hai ki Aap ﷺ ne Hajj-e-Tamattu kiya tha.Har ek ki dalil Hadis sharif ki kitaabo me milti hai.Lekin Aap ﷺ ke hajj-e-Qiran karne ki dalil sab se ziyadah muzbut dikhaai deti hai.Kyunki is ke baare me 20 se ziyadah saaf saaf hadisen maujood hain.Yahan par un hadiso me se kuchh pesh kiya jaata hai.Baaqi Allah aur us ke Rasool khoob jaan ne wale hain.
HAdees No:1Hajrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anhuma bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne 4 umre ada farmaya.To chautha umra woh tha jis ka aap ne haj ke saath Qiran kiya.(Abu Dawood,Hadis No.1993-1994)
HAdees No:2Hazrat-e-Saad radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne hajj-e-Qiran kiya aur ham ne bhi aap ke saath hajj-e-Qiran kiya.(Sunan Nisaai,Hadis No.2734)
HAdees No:3Hazrat-e-Hafsa radhi allaho anha bayan karti hain ki:Main ne (Haj ke waqt me)Huzur ﷺ se arz kiya:Kiya wajah hai ki logo ne umre ke baad apna ehraam khol diya lekin aap ne nahi khola?To Aap ﷺ ne farmaya ki:Main ne Qurbani ke jaanwar ke gardan me patta daal diya hai aur apne sar ke baalo ko chipka liya hai.Main us waqt tak umre se halal nahi honga jab tak ki main haj se halaal nahi ho jaaon.(Sahi Bukhari,Hadis No.1566.Sahi Muslim,Hadis No.1229.Abu Dawood,Hadis No.1806)
In hadiso se saaf maloom ho gaya ki Aap ﷺ ne hajj-e-Qiran kiya tha.Kyunki Aap ﷺ umrah se us waqt tak halaal nahi hue jab tak haj se halaal nahi ho gaye.Aur aisa sirf hajj-e-Qiran hi me hota hai.
Is ke elawah aur bhi hadisen hain jis me Aap ﷺ ne apne haj ke baare me farmaya ki mera haj hajje Qiran tha.Lekin is ke bawajood teeno tariqe se haj ke jaaiz hone me koi shak nahi hai. Koi kisi bhi tariqe se kare bilkul jaaiz aur durust hai.Haan woh log jo haj karne ki taaqat rakhne ke baad bhi haj nahi kare un ki badi muzammat aayi hai.Ek hadis sharif me hai ki Huzur ﷺ ne farmaya ki:Jo shakhs taaqat hone ke baad bhi haj nahi kare to us ka koi thikaana nahi hai ki woh yahudi ho kar marega ya isaai ho kar. (Tirmizi,Hadis No.812)
Allahu akbar! Allah Ta’ala ham sab ko imaan aura adab ke saath apna ghar dikhaae aur apne mahboob ﷺ ke dar par bulaae.Ameen.

Share.........




Related Topics



Aap ﷺ ki Namazen Aap ﷺ ke Roze Aap ﷺ Ka Sadqa aur Khairaat Aap ﷺ Ki Taqrir Aap ﷺ Ke Khat Aap ﷺ Ki Wasiyaten Aur Nasihaten Aap ﷺ Ki Aman Pasandi Aap ﷺ ke Mo'jaze Aap ﷺ ka Adl O Insaaf Aap ﷺ Ki Sakhawat Aap ﷺ ka Apni Ummat Se Mohabbat Aap ﷺ ka Husn- e-Akhlaq



Dawat-E-Quran