Aap ﷺ Ke Khat



Aap ﷺ ne hijrat ke saatwi saal apne zamaane ke alag alag baadshaho ke naam khat likha aur un logo ko Islam laane ki dawat diya.Woh saare khat hadis sharif aur Seerat ki kitaabo me maujood hain.Aap ﷺ ke khato ko padh kar ziyadah tar baadshaho ne Islam qabool kar liya.Aur jin logo ne nahi kiya us ka anjaam bada hi bura hua.Yahan par un khato me se sirf ek khat pesh kiya jaa raha hai jo Aap ﷺ ne us waqt ke super power Iraan ke baadshah “Khusru Parwez” ko Hazrat-e-Abdullah bin Huzaafa Sahmi radhi allaho anho ke haath se bheja tha.Us khat ka tarjama ye hai:
“ Bismillahir rahmanir Rahim.
Ye Khat Muhammad Rasoolallah(ﷺ) ki taraf se Iraan ke baadshah Kisra ke naam hai.
Salaamti ho har us shakhs par jis ne hidayat ki pairwi kiya aur Allah aur uske Rasool par imaan le aaya aur ye gawahi diya ki Allah ek hai aur uska koi sharik nahi aur uske elawah koi ibaadat ke laaiq nahi.Aur beshak Muhammad uske bande aur Rasool hain.
Aye Kisra!Main tumhe Allah par imaan laane ki dawat deta hun. Kyunki main Allah ka Rasool hun tamaam logo ki taraf,Ki main un ko waqt par sahi baat bata dun.Aur nahi maan ne walo par dalil ko pura kar dun.Islam qabool kar le salamat rahega.Agar tu Islam qabool karne se inkaar karega to teri gardan par saare majusiyo ki gumrahi ka gunah hoga.”
Jab Kisra ne ye khat padha to gusse se kaanpne laga aur is khat ko phaar kar tukde tukde kar diya aur gustakhi karte hue kaha ki:Mera ek gulam mujhe is tarah ka khat likhne ki himmat karta hai.Jab Huzur ﷺ ko uski ye harkat batayi gayi to Aap ﷺ ne farmaya ki usne mere khat ko tukde tukde kar diya hai.Allah ne us ki hukumat ko tukde tukde kar diya hai.
Kisra ne mulke Yaman ke governer “Baazaan”ko ek hukm-naama likha aur apne us governer se kaha ki:Tumhare elaaqe me ek shakhs ne nabowat ka dawa kiya hai.Tum fauran us ke haath me hathkadi daal kar mere paas bhej do.Baazaan ne apne wazir “Baanwiyah”ko iraan ke ek shakhs ke saath Madina bheja jis ka naam “Khar-khasrah” tha.Aur us ne Huzur ke naam ek khat bhi likha jis me usne huzur se kaha ki:Aap un dono shakhso ke saath jise main ne bheja hai,fauran Kisra ke darbaar me haazir ho jaaiye.
Jab ye log Taaif pahunche to in logo ki mulaaqaat Makka ke kuchh kaafir sardaaro se hui.Jab in sardaaro ko ye sab haalaat maloom hui to ye log bade khush hue ki ab musalmano ka muqaabla Iraan ke baadshah Kisra se hai ab ye log jald hi khatam ho jaaenge.Baanwiya aur Khar-khasrah wahan se chal kar Madina pahuche.Huzur ﷺ ne un logo ka isteqbaal (Wellcom) kiya aur in logo ke khaane aur rahne ka achhchha intezaam farmaya.Phir ek subah un logo ko huzur ﷺ ne apne paas bulaya aur un logo se guftago kiya.Baanwiyah ne kaha: Iraan ke baadshah ne hamare baadshah ko aap ko giriftaar karne ka hukm diya.Aur us ne ye zimmedari ham dono ke supurd kiya hai.Is liye aap hamare saath chalne ke liye fauran tayyar ho jaaiye.Agar aap aasaani ke saath hamare saath challenge to Baazaan aap ke liye Iraan ke baadshah se aap ke haq me sifaarish kar dega jis se aap ko faaida hoga.Nahi to is ka anjaam bahut hi bura hoga.Aap ﷺ ne un logo ki baato ko sun kar muskuraya aur mohabbat bhare andaaz me un logo ko bhi Islam qabool karne ki dawat diya.Un logo ne ye bhi kaha ki agar aap chalne ke liye tayyar nahi to kam se kam Baazaan ko jawabi khat hi likh dijiye.Aap ﷺ ne un logo se farmaya ki Jaao abhi aaram karo kal subah phir mulaaqaat hogi.
Raat ko Hazrat-e-Jibrail huzur ki baargah me haazir hue aur arz kiya ki Ya Rasoolallah ﷺ !Allah Ta’ala ne us ghamandi Khusru Parweez par uske bete Sherwiyah ko taaqat diya.Us ne raat ko falan waqt us ke pet me chhura ghonp kar uska kaam tamaam kar diya hai.Jab subah ke waqt Baanwiyah aur khar-Khasrah haazir hue to Aap ﷺ ne farmaya ki:Jaa kar apne baadshah Baazaan ko khabar de do ki mere Rab ne uske Rab Kisra ko qatal kar diya hai us waqt jab ki raat ke saat pahar guzar chuke the.Us ke bete Sherwiyah ne uski chhati par chadh kar uske pet ko phaar daala hai.Woh log kahne lage ki aap ko maloom hai ki aap kiya kah rahe hain?Ham apne baadshah ko bata denge to woh aap ko badi saza dega.Aap ﷺ ne farmaya ki Haan,Jaa kar ye saari baat use bata do aur use ye bhi bata dena ki mera deen aur meri hukumat Kisra ke mulk ki aakheri sar had tak pahunchegi. Use meri taraf se ye bhi kah dena ki agar tum Islam qabool kar loge to tumhara mulk aur tumhaare saazo saamaan tumhaare paas hi rahne diya jaaega.
Ye log waapas ho kar jab apne baadshah Baazaan ko puri baat bataya to Baazaan ne kaha ki:Ye kisi baadshah ki baat nahi lagti balki ye Nabi ki baat maloom hoti hai.Agar un ki bataai hui khabar sahi hui to saare baadshaho se pahle un par main imaan laaunga.Kuchh hi dino ke baad Sherwiyah ki taraf se use khat mila jis me us ne apne baap ko qatal kar dene ki khabar diya tha aur Baazaan ko hukm diya tha ki woh ab use Iraan ka baadshah maane.Ye khat padhne ke baad Baazaan ko mukammal yaqin ho gaya ki Muhammad ﷺ Allah ke sachche Rasool hain.Is liye usne aur Iraan ke kayi logo ne Islam qabool kar liya aur is ki khabar huzur ko bheja.(Talkhis:Ziyaun Nabi,Vol:4,Page No.180 to 207)

Share.........




Related Topics



Aap ﷺ ki Namazen Aap ﷺ ke Roze Aap ﷺ Ka Haj Aur Umrah Aap ﷺ Ka Sadqa aur Khairaat Aap ﷺ Ki Taqrir Aap ﷺ Ki Wasiyaten Aur Nasihaten Aap ﷺ Ki Aman Pasandi Aap ﷺ ke Mo'jaze Aap ﷺ ka Adl O Insaaf Aap ﷺ Ki Sakhawat Aap ﷺ ka Apni Ummat Se Mohabbat Aap ﷺ ka Husn- e-Akhlaq



Dawat-E-Quran