Aap ﷺ Ki Wasiyaten Aur Nasihaten



Har qaum aur mazhab ke maan ne wale log apne peshwa aur rahnumao ki wasiyato aur nasihato ka khaas khayal rakhte hain aur us par amal karne ko har haal me zaruri samajhte hai.Is me koi shak nahi ki Allah Ta’ala ne musalmano ko apne mahboob ﷺ ki surat me jaisa Rahnuma ata farmaya dunya ki kisi qaum ko nahi mila aur nahi kisi ko mil sakta hai.Aur ye haqiqat hai ki ham apne Rab ke is ehsaan ka shukr apna sab kuchh luta kar bhi nahi kar sakte hain.To kam se kam itna har musalman par zaruri hai ki,Kuchh nahi sahi to apne us mahboob paigamber ﷺ ,Jin ke sadqe me hame do jahan ki nematen haasil hui.Aur jin ke nazre karam ke ham dunya aur aakhirat me muhtaaj hain aur jo hamari ummido aur aarzuo ke markaz hain.ham un ki nasihato par zarur amal kare taaki ham unki nazre karam ke mustahiq ho sake.Isi garaz se yahan par Aap ﷺ ki kuchh wasiyaten aur nasihatein pesh ki jaati hain.
Aurato ke fitne se bachne ki wasiyat:Aap ﷺ ne jis tarah aurato ke saath achhchha sulook karne ki taakid farmaya usi tarah se un ke fitne se bhi bachne ki khaas taakid kiya aur apni ummat ko un se daraaya. Aap ﷺ ne farmaya ki:Main ne apne baad mardo ke liye aurato se bada koi fitna nahi chhora.(Ibne Majah,Hadis No.3998)
Aur Aap ﷺ ne farmaya ki jo shakhs mujhe apni un do chizo ki zamaanat de jo uske dono jabro ke darmiyan hai aur jo dono taango ke darmiyan hai.(Yani zuban aur sharamgaah)to main us ko jannat ki zamaanat deta hun.(Sahi Bukhari,Hadis No.6474.Tirmizi,Hadis No.2408)
Aj agar ham aurato ke saath najaaiz ta’alluqaat ke nuqsaan ka andaza lagana chaahe to ye mumkin nahi hai.Kyunki aurato ki behayaai aur mardo ki be-raah rawi ne puri dunya ko gunaho se bhar diya hai.Laakho logo ki zindagiya barbaad ho chuki hai aur laakho ghar tabaah ho chuke hain.Isi liye Aap ﷺ ne is ke baare me khaas taakid kiya aur irshad farmaya ki:Khabar daar!Tum dunya se bacho aur aurato se bacho.(Ibne Majah,Hadis No.4000) aur irshad farmaya ki:Har subah ko Allah ke do farishte pukaar kar kahte hain. Logo!Barbaadi hai mardo ke liye aurato se aur aur aurato ke liye mardo se.(Ibne Majah,Hadis No.3999)
Maal aur daulat ke fitne se bachne ki wasiyat:Maal aur daulat ka fitna bhi bada khatarnaak fitna hai.Ek insaan maal aur daulat ke laalach me phans kar woh tamaam kaam kar guzarta hai jo uski dunya aur aakhirat dono ki barbaadi ka sabab ban jaata hai.Isi liye huzur ﷺ ne dunya se jaane se sirf kuchh dino pahle is fitne se bachne ka khaas hukm irshad farmaya aur us ke anjaam se daraaya.Aur Aap ﷺ ne farmaya ki:Mujhe is baat ka dar nahi hai ki tum log mere baad shirk karne lagoge.Haan mujhe is baat ka dar hai ki tum log dunya jama karne me ek dusre se muqaable karoge.Is wajah se tum halaak hoge jaise pahle ki qaumen halaak hui.(Sahi Muslim,Hadis No.2296.Ibne Majah,Hadis No.3997)
Ek dusre mauqe par Aap ﷺ ne farmaya ki:Logo par ek aisa zamaana aaega ki woh is baat ki parwah nahi karenge ki un ke paas maal haraam zariye se aaya ya halaal zariye se.Aur Aap ne farmaya ki:Har ummat ke liye ek fitna hota hai aur meri ummat ka fitna maal hai.(Al-Mustadrak,Hadis No.7896)
Kitaab aur sunnat par amal karne aur Ahle sunnat wa jamaa’at ke saath rahne ki wasiyat:Aap ﷺ ne baar baar apni ummat ko is baat se khabar daar kiya ki mere baad log alag alag firqo me bat jaaenge aur apni tarah tarah ki gumrahiyo ki wajah se jahannam me jaaenge.Is liye tum har haal me kitaab o sunnat par amal karna aur Ahle sunnat wa jamaa’at ke saath rahna aur apne deen ko dunya ke thode se rupiye paise ke badle me nahi bechna kyunki yahi woh maslak hoga jis ki pairwi karne wale sidhe raaste par honge aur jannat me jaaenge.
Aap ﷺ ne Kitaab(Quran) aur sunnat ke baare me taakid karte hue irshad farmaya ki:Aye logo!Main ne tum me do chizen chhora hai, Agar tum un ka daaman mazbuti se thaame rahoge to tum kabhi gumrah nahi hoge.Un me se ek Allah ki Kitaab hai aur dusri tumhare nabi ki sunnat hai.(Al-Mustadrak,Hadis No.318-319)
Sunnat ke saath saath Aap ﷺ ne Jama’at ke saath rahne ka bhi taakid kiya Aur farmaya ki:Qasam hai us zaat ki jis ke qabzao qudrat me Muhammad ki jaan hai.Meri ummat zarur 73 firqo me bat jaaegi to un me se sirf ek jannati hoga aur baaqi 72 firqe jahannami honge. Puchha gaya ki Ya Rasoolallah ﷺ !Woh ek jannati kaun hoga? To Aap ﷺ ne farmaya ki:Woh jama’at hai.(Ibne Majah,Hadis No.3992-3993)
Isi tarah se Aap ﷺ ne ek dusre mauqe par farmaya ki:Tum log musalmano ki badi jama’at ki pairwi karna kyunki jo us se alag hoga woh jahannam me daala jaaega.
Aur farmaya ki:Jo shakhs ek baalisht barabar bhi jama’at se alag hua usne Islam ki Rassi ko apni gardan se utaar phenka.
Aur farmaya ki:Mere baad aise aise log honge.Jab tum aise logo ko dekho jo jama’at se alag ho rahe ho to tum unhe qatal kar do.Kyunki jama’at se alag hone wala aisa hai jaise meri ummat se alag ho gaya. Beshak Allah ki madad jama’at ke saath hai aur jama’at se alag hone wale ke saath shaitan hai.(Shoabul Imaan,Hadis No.7106)
Khud Allah Ta’ala ne bhi musalmano ki badi jama’at ke saath rahne aur sunnat ki pairwi karne hi ko sahi raasta qaraar diya.Jaisa ki Allah Ta’ala ne irshad farmaya ki:Aur jo mukhalifat kare Rasool ki is ke baad ki hidayat zaahir ho chuki aura Aam musalmano ke raaste ke elawah kisi dusre raaste ki pairwi kare to us ko ham pher denge jidhar woh phira aur use jahannam me daal denge aur woh kiya hi buri jagah hai.(Surah Nisa,Aayat No.112-115)
In tamaam aayat aur hadiso se maloom ho gaya ki:Musalmano ki sab se badi jama’at Ahle sunnat wa jama’at hi ke saath rahne me bhalaai hai.Is ke elawah aur koi raasta nahi hai jo insaan ko nijaat dila sake.

Share.........




Related Topics



Aap ﷺ ki Namazen Aap ﷺ ke Roze Aap ﷺ Ka Haj Aur Umrah Aap ﷺ Ka Sadqa aur Khairaat Aap ﷺ Ki Taqrir Aap ﷺ Ke Khat Aap ﷺ Ki Aman Pasandi Aap ﷺ ke Mo'jaze Aap ﷺ ka Adl O Insaaf Aap ﷺ Ki Sakhawat Aap ﷺ ka Apni Ummat Se Mohabbat Aap ﷺ ka Husn- e-Akhlaq



Dawat-E-Quran