Baap aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Apne bachcho ke liye ek achhchha baap hone ki haisiyat se hamara un ke saath kaisa sulook hona chahiye aur hamari kiya zimmedariyan hain.Is baare me Huzur ﷺ ki zindagi hamare liye sab se behtarin namuna hai.
Aap sallallaho alaihe wasallam apni auladon se badi mohabbat farmate the aur un ki tamaam zaruri'yaat puri karte the lekin mohabbat aur ulfat ke baa'wajood unhen kabhi bhi galat raaste par chalne ki ijazat nahi dete the aur hamesha shari'at ke mutabiq zindagi guzarne ki taakid farmate the.Hazrate imam Hasan radhi allaho anho ke bach'pane me huzur ki baargah me sadqe ka khajoor aaya to us me se ek khajoor Hazrat-e-imam Hasan ne khaane ke liye utha liya,achanak huzur ki nazar padi to Aap sallallaho alaihe wasallam ne fauran un ke haath se khajoor le liya aur unhen samjhate hue kaha ki Beta! Nabi ki auladon ke liye sadqe ki koi chiz khana jaa'iz nahi hai.
Hame bhi chahiye ki ham apne bach'chon ki achhi tarbi'yat kare aur un ke andar bach-pan hi se shari'at ki pabandi karne ki aadat dale kyunki tarbi'yat ka asal zamana bach-pan hi ka zamana hota hai Aap Sallallaho alaihe wasallam ne irshada farmaya ki: Jab tumhari aulad ki umar 7 saal ki ho jaae to use namaaz padhne ka hukm do aur jab 10 saal ki ho jaae (aur nahi padhe)to maar kar padhao aur un ke bistar alag kardo.(Sunan Abu Dawood,Hadis No.495.Tirmizi,Hadis No.407)
Magar Aaj bahut saare log jab apne bach'chon ko shari'at ke khilaaf kaam karte dekhte hain ya galat baat bolte hue sunte hai to use samjhane ke bajaye ye kah kar chhor dete hain ki "Abhi to ye bach'cha hai bada ho kar khud samajh jaayega"Ye huzur ka tariqa nahi hai.
Dekha gaya hai ki jo bach'che bachpan me sirf ek do rupye churata tha bada ho kar laakhon rupiye churata hain aur kabhi kabhi is ke liye logo ki jaan bhi le leta hain.Aur is tarah se woh dusro ke liye bhi bura hota hain aur apni zaat ke liye bhi.
Huzur nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki woh tohfe(gifts) jo ek baap apne bach'chon ko deta hai un me sab se achchha tohfa "Nek adab"sikhana hai. (Al-Mustadrak llil-haakim,Hadith No.7679)
Aur Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Allah ki Qasam!Agar tum me se koi apne bachche ko adab sikhae to ye har din do kilo sadqa karne se behtar hai.(Al-Mustadrak,Hadis No.7680)
Is liye hame apne bach'chon ki tarbiyat ka khaas khayal rakhna chahiye. Ek baap jo apni bachcho ki achhchhi tarbiyat nahi kar sake woh kabhi bhi ek achhchha baap nahi ho sakta.
Share.........




Related Topics



Beta aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Shauhar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Malik aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Bhai aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Rishtedaar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Padosi aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Garibo ki madad aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Business aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Dawat-E-Quran