Bhai aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Huzur ﷺ ki shari’at ke etebaar se har musalman dusre musalman ka bhai hai.Aur ek achhchha bhai wahi hai jo apne bhai hone ka haq ada karta hai.Aap ﷺ ne khud un huquq ko ada farmaya.Chunancha Aap ﷺ ke sage bhai to nahi the magar jab Aap ne apne chacha zaad bhai Hazrat-e-Ali radhi allaho anho ko tangi me dekha to Aap ﷺ ne apne chacha Abu Talib se darkhast kar ke un ki parwarish ki zimmedari apne sar le liya aur un ki parwarish farmaya.(Ziyaun Nabi,Vol:2,Page No.229-230)
Aur Apni ummat ko bhi apne bhaiyo ke saath hamdardi,pyar, muhabbat aur ulfat karne aur bhai hone ke taqaazo ko pura karne ka paakiza dars diya.Yahan par aap ﷺ ki un paakiza dars me se kuchh pesh kiya jaata hai.Padhye aura mal bhi kijiye.
(1)Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Ek musalman dusre musalman ka bhai hai.To jo shakhs apne bhai ki zarurat ko puri karta hai.Allah ta’ala uski zarurat ko puri farmata hai.Aur jo shakhs apne kisi musalman bhai ki koi dunyawi mushkil ko hal karta hai Allah ta’ala uski qayamat ki mushkilo me se koi mushkil hal farmaaega.Aur jo shakhs apne musalman bhai ke aibo ko chhupata hai Allah Ta’ala qayamat ke din us ke aibo ko chhupaaega.(Sahi Bukhari,Hadis No.2310)
(2) Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Allah Ta’ala apne bande ki madad karta rahta hai jab tak banda apne bhai ki madad karta rahta hai.(Sahi Muslim,Hadis No.2699)
(3) Hazrat-e-Abu Zar radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Tumhara apne musalman bhai se muskura kar milna bhi sadqa hai.(Tirmizi,Hadis No.1956)
(4) Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Tum me se koi bhi shakhs us waqt tak mukammal iman wala nahi ban sakta jab tak ki woh apne bhai ke liye wahi chiz nahi pasand kare jo apne liye karta hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.13)
(5) Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Tum apne bhai ki madad karo chaahe woh zaalim ho ya mazlum.Ek shakhs ne arz kiya Ya Rasoolallah ﷺ ! Agar woh mazlum ho to main uski madad karonga lekin mujhe ye bataiye ki agar woh zaalim ho to main uski madad kaise karonga?To Aap ﷺ ne farmaya ki use zulm karne se rok kar. (Sahi Bukhari, Hadis No.2311)
(6) Hazrat-e-Abu Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki:Musalman musalman ka bhai hai.Woh nahi us se khayanat karta hai aur nahi us se jhoot bolta hai aur nahi use zalil karta hai.Har musalman par dusre musalman ki izzat,us ka maal aur us ka khoon haraam hai.(Aap ﷺ ne dil ki taraf ishara karte hue farmaya ki) Taqwa aur parhezgaari yahan hai.Kisi insaan ke bure hone ke liye itna hi kaafi hai ki woh apne kisi musalman bhai ko haqeer samjhe.(Tirmizi,Hadis No.1927)
Aj ke is bedhang socity me jab ki har bhai apne bhai ke khoon ka piyasa bana hua hai.Aur har ek dusre ko zalil aur ruswa karne ke pichhe para hua hai.Baat baat me ladaai jhagda aur gaali galuj karna ek dilchasp kaam ban chukka hai.Bhai bhai ka haq maar raha hai.Jis ki wajah se puri socity ek azib dard aur karb se karaah raha hai.Aisi surat me agar saare bhaiyo ko in mushkilo aur uljhano se koi nikaal sakta hai to woh sirf huzur ki seerat ko apnana hai.Allah ta’ala ham sab ko huzur ki seerat apnane ki taufiq ata farmae.Ameen.
Share.........




Related Topics



Beta aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Baap aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Shauhar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Malik aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Rishtedaar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Padosi aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Garibo ki madad aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Business aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Dawat-E-Quran