Shauhar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Aap Sallallaho alaihe wasallam apni biwiyo ke liye dunya ke sab se achhchhe shauhar the.Yahi wajah thi ki Aap Sallallaho alaihe wasallam ke ghar me zaaheri aur dunyawi etebar se itni tangi hoti thi ki kabhi kabhi ek ek mahina cholha nahi jalta tha aur sirf paani aur chhohare par guzar hota tha.Us ke baad bhi Aap Sallallaho alaihe wasallam ki biwiya aap ke saath rahne ko puri dunya par hukumat karne se behtar samajhti thi.
Aj jab ki bahut saare ghar miya aur biwi ke aapasi jhagde aur roz roz ke tu tu main main ki wajah se jahannam ban chuke hain.Zarurat hai ki ham in jhagdo ko khatam karne ke liye Huzur ki seerat ko apnaein.Jo dunya aur aakhirat dono jagah kaamyabi dilane wali hai.
Aap ﷺ ka apni biwiyo ke saath mohabbat ka sulook:(1) Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Ek baar main aur Huzur ﷺ ne daur lagaaya to main huzur se aage nikal gayi.Phir jab mera wazan kuchh badh gaya to phir ek baar ham ne daur lagaaya to huzur mujh se aage nikal gaye.To Aap ﷺ ne mujh se farmaya:Aye Aaisha!Ye us din ka badla hai.(Abu Dawood,Hadis No.2578)
Note:Huzur ﷺ se koi bhi shakhs kisi bhi maamle me aage nahi badh sakta magar pahli baar Aap ﷺ ne sirf mohabbat ke taur par jaan bujh kar pichhe rah gaye.
(2) Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Main aur Rasoolallah ﷺ ek hi bartan se gusal karte to kabhi main pahle paani utha leti aur kabhi Rasoolallah ﷺ .(Sahi Bukhari,Hadis No.261)
(3) Ummul Momenin Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Main ek piyale se paani peti to Rasoolallah ﷺ apna hont usi jagah rakh kar paani pite jahan se main piti.(Sahi Muslim,Hadis No.300)
Apni biwiyo ke saath agar ham bhi is tarah se mohabbat ka sulook kare to phir jhagda khud khatam ho jaaega.Magar kuchh log apni biwiyo se har waqt jang karne ke liye tayyar rahte hain.Aur baat baat me unhe maarte pite aur bura bhala sunaate rahte hain.Un logo ko Huzur ki ye hadis dil ki gahraiyo se padhni chaahiye. Aap ﷺ ne irshad farmaya ki:Mukammal imaan wale momin woh hain jo apne akhlaaq me achhchhe hon.Aur tum me sab se achhchha woh hai jo apni biwiyo ke haq me achhchha hai. (Tirmizi,Hadis No.1262)
Aur Aap ﷺ ne irshad farmaya ki:Koi Musalman mard kisi musalman aurat se dushmani nahi rakhe.Agar woh kisi ki kisi ek aadat se naraaz hota hai to uski dusri aadat se khush ho jaae.(Sahi Muslim,Hadis No.1469)
Hazrat-e-Moaawiya bin Hidah radhi allaho anho bayan karte hain ki: Main ne Huzur ﷺ se puchha ki Ya Rasoolallah ﷺ !Ham me se kisi par uski biwi ka kiya haq hai? To Aap ﷺ ne farmaya ki:Jab tum khaao to use bhi khilaao,Jab tum pahno to use bhi pahnao,Us ke munh par nahi maaro,Use bure lafz nahi kaho aur use apne se alag nahi karo magar (sakht zarurat ho to)ghar hi me.(Abu Dawood, Hadis No.2142)
Share.........




Related Topics



Beta aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Baap aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Malik aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Bhai aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Rishtedaar aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Padosi aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Garibo ki madad aur Seerat-e-Mustafa ﷺ Business aur Seerat-e-Mustafa ﷺ



Dawat-E-Quran