Zakaat Farz Hone Ki Sharten



No 1:Musalman hona.Zakaat musalman par farz hai,Gair muslim par nahi.
No 2:Baalig hona, Zakaat baalig musalman par farz hai, Nabaalig is hukm se alag hain.
No 3:Aaqil hona. Zakaat Aqal wale baalig musalman par farz hai,Paagal diwaane par nahi.
No 4:Maalik-e-Nisaab hona. Shari’at ne jo nisaab muqarrar kiya hai,Us se kam maal ke maalik par zakaat farz nahi.
No 5:Maal ka sahib-e-nisaab ke tasarruf me hona. Maal maalik ke tasarruf me ho tab hi us par zakaat farz hai.Jaise kisi ne apna maal zameen me dafan kar diya aur jagah bhool gaya aur phir lambe zamaane ke baad woh jagah yaad aayi aur maal mil gaya, to jab tak maal nahi mila tha us zamaane ki zakaat wajib nahi hogi kyunki woh us zamaane me Nisaab ka maalik to tha magar qabza nahi hone ki wajah se pure taur par maalik nahi tha.
No 6:Nisaab ka qarz se khaali hona. Agar kisi ke paas nisaab ke barabar maal to hai magar woh qarz-daar bhi hai aur qarz alag karne ke baad maal nisaab ke barabar nahi to zakaat bhi farz nahi.
No 7:Nisaab ka hajat-e-Asliya se faarig hona. Hajat-e-Asliya ka matlab ye hai ki aadmi ko zindagi basar karne me kuchh chizo ki zarurat hoti hain jaise rahne ke liye makaan,Pahan-ne ke liye kapde aur dusre gharelu chize jaise bartan wagairah, Agarche ye sab samaan zakaat ke nisaab se ziyadah hi qimat ka ho magar is par zakaat nahi,Kyunki ye sab maal aur samaan hajate asliya me aata hai.
No 8:Maal-e-Naami hona.Yani maal badhne wala ho,Chaahe haqiqatan badhe wala maal ho jaise tijaarat ka maal aur charaayi par chore hue jaanwar ya hukman badhne wala ho jaise sona chaandi,Sona chaandi jis shakal me bhi ho us par zakaat farz hai.
No 9:Maal-e-Nisaab ki muddat. Nisaab ka maal pura hote hi zakaat farz nahi hota,Balki woh maal milkiyat me rahe to saal pura hone par us par zakaat farz hoga.
Share.........




Related Topics



Zakaat Ki Ahmiyat Wa Fazilat Zakaat ke Nisaab Kin Maalo Me Zakaat Hai? Zakaat Ke Masaarif Sadqa-e-Fitr



Dawat-E-Quran