Zakaat Ke Nisaab



Sone me nisaab 7.5 taula (93Garam.312 miligaram) hai.Aur chaandi ka nisaab 52.5 taula (Yani 653 garam 184 miligaram) hai. Rupiya paisa aur maal-e-tijaarat ka nisaab ye hai ki who value me sone ya chaandi ke nisaab ki qimat ko pahunch jaae.
Mas'ala:Agar kisi ke paas thora sa sona hai,Kuchh chaandi hai, kuchh rupiye hain,kuchh tijaarat ka maal hai aur un sab ko mila kar 52.5 taula chaandi ke barabar hai to us par bhi zakaat farz hai.Isi tarah agar kuchh sona hai,kuchh chaandi hai ya kuchh sona hai kuchh naqad rupiya hai,Ya kuchh chaandi hai aur kuchh maal-e-tijarat tab bhi unko mila kar dekha jaaega ki 52.5 taule ki maaliyat banti hai ya nahi,Agar banti hai to zakaat wajib hai.
Mas'ala:Jaanwar agar saal ka ziyadah hissa muft char kar guzaara kare to use “Saaima” kahte hain.In par muqarrar hisaab se saal guzarne par zakaat wajib hogi.Aur agar saal ka aksar hissa qimat se chaara daala jaae to inko “Alufa” kahte hain,In par zakaat nahi.
Mas'ala:Agar zameen bearish ya nahar wagairah ke paani se free sairaab hoti hai to uski kul paida-waar me se daswa hissa wasool kiya jaaega.Ise “Ushr” kahte hain.Aur agar zameen ko rupiya de kar paani diya jaaye to kul paida-waar ka beeswa hissa wasool kiya jaayega.Phal sabzi aur anaaj wagairah sab ka yahi hukm hai.
Share.........




Related Topics



Zakaat Ki Ahmiyat Wa Fazilat Zakaat Farz Hone Ki Sharten Kin Maalo Me Zakaat Hai? Zakaat Ke Masaarif Sadqa-e-Fitr



Dawat-E-Quran