Zakaat ki Ahmiyat Wa Fazilat



Zakaat ka maana hota hai,Paak hona,Badhna.Ye maali ibaadat hai, is se samaaj ke kamzor logo ki madad hoti hai, Ye ek aisi ibaadat hai jo dil aur rooh ka mail kuchail saaf karti hai aur insaan ko Allah ka mukhlis banda banaati hai.Is ke baare me Allah Ta’ala irshaad farmata hai:

اِنْ تُقْرِضُوا اللّٰهَ قَرْضًا حَسَنًا یُّضٰعِفْهُ لَكُمْ وَ یَغْفِرْ لَكُمْ- وَ اللّٰهُ شَكُوْرٌ حَلِیْمٌ۔

“Agar tum Allah ko achchha qarz doge,Woh tumhare liye uske do-gune kar dega aur tumhe bakhsh dega,Aur Allah qadr farmane wala hilm wala hai”.(Surah Tagabun,Aayat:17)

اَلَّذِیْنَ یُنْفِقُوْنَ اَمْوَالَهُمْ فِیْ سَبِیْلِ اللّٰهِ ثُمَّ لَا یُتْبِعُوْنَ مَااَنْفَقُوْا مَنًّا وَّ لَااَذًىۙ- لَّهُمْ اَجْرُهُمْ عِنْدَ رَبِّهِمْ- وَ لَا خَوْفٌ عَلَیْهِمْ وَ لَا هُمْ یَحْزَنُوْنَ۔

“Woh log jo apna maal Allah ke raaste me kharch karte hain, Phir de kar nahi ehsaan rakhte hain aur nahi takleef dete hain, Unka ajr-o-sawaab unke Rab ke paas hai aur (qayamat ke din) nahi unhe koi dar hoga aur nahi woh gamgeen honge”.(Surah Baqra,Aayat:261)

لَنْ تَنَالُوا الْبِرَّ حَتّٰى تُنْفِقُوْا مِمَّا تُحِبُّوْنَ

“Hargiz tum neki ko nahi paa sakte jab tak ki tum woh chiz (Allah ke raaste me) kharch na karo jis se tum mohabbat karte ho”. (Surah Aal-e-Imran,Aayat:92)

وَ رَحْمَتِیْ وَ سِعَتْ كُلَّ شَیْءٍ- فَسَاَكْتُبُهَا لِلَّذِیْنَ یَتَّقُوْنَ وَ یُؤْتُوْنَ الزَّكٰوةَ

“Aur meri rahmat har chiz ko ghere hue hai,To jald hi main nematon ko unke liye likh dunga jo darte hain aur zakaat dete hain”. (Surah Aaraaf,Aayat:156)
Aur woh log jinhe Allah Ta’ala ne maal-o-daulat se nawaza lekin woh zakaat ada nahi karte hain unke bare me Allah Ta’ala ne irshad farmaya:

وَ الَّذِیْنَ یَكْنِزُوْنَ الذَّهَبَ وَ الْفِضَّةَ وَ لَا یُنْفِقُوْنَهَا فِیْ سَبِیْلِ اللّٰهِۙ-فَبَشِّرْهُمْ بِعَذَابٍ اَلِیْمٍۙ یَّوْمَ یُحْمٰى عَلَیْهَا فِیْ نَارِ جَهَنَّمَ فَتُكْوٰى بِهَا جِبَاهُهُمْ وَ جُنُوْبُهُمْ وَ ظُهُوْرُهُمْ-هٰذَا مَا كَنَزْتُمْ لِاَنْفُسِكُمْ فَذُوْقُوْا مَا كُنْتُمْ تَكْنِزُوْنَ

“Woh log jo sona chaandi jama kar ke rakhte hain aur use Allah ke raaste me kharch nahi karte,Unhe dardnaak azaab ki khush-khabri suna do,Jis din jahannam ki aag me tapaaye jaaenge aur un se unki peshaaniya aur karwate aur pithen daagi jaaengi (Aur un se kaha jaaega) ye woh hai jo tune apne nafs ke liye jama kiya tha to ab chakho jo jama karte the”.(Surah Tauba,Aayat: 34&35)

وَ لَا یَحْسَبَنَّ الَّذِیْنَ یَبْخَلُوْنَ بِمَا اٰتٰىهُمُ اللّٰهُ مِنْ فَضْلِهٖ هُوَ خَیْرًا لَّهُمْ- بَلْ هُوَ شَرٌّ لَّهُمْ-سَیُطَوَّقُوْنَ مَا بَخِلُوْا بِهٖ یَوْمَ الْقِیٰمَةِ۔

“ Jo log bakhili karte hain uske saath jo Allah ne apne fazl se unhe diya hai.Woh hargiz ye gumaan na kare ki ye unke liye achchha hai,Balki ye unke liye bura hai.Us chiz ka qayamat ke din unke gale me tauq daala jaaega jis ke saath bakhili kiya”. (Surah Aale Imraan,Aayat:180)
Zakaat ki ahmiyat ka andaaza is se lagaaya jaa sakta hai ki Quran sharif me jagah jagah par Allah Ta’ala ne namaz ke saath iska zikr farmaya hai.Aur Hadees sharif me bhi zakaat dene ki fazilat aur nahi dene walo ke liye sakht azaab bayan kiya gaya hai.Is bare me kuchh hadees pesh hain.
Hadees:Hazrat Abu Huraira Aur Hazrat Abu Saeed radhi Allaho anhuma ne kaha: Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne ek din hame khutba dete hue 3 martabah farmaya: Qasam us zaat ki jis ke haath me meri jaan hai! Phir Aap ne apna sar jhuka liya. Ham log bhi sar jhuka kar rone lage,Ham log nahi jaante the Aap ne kis chiz par Qasam khaayi hai? Phir Aap Sallallaho alaihe wasallam ne sar Mubarak uthaaya to chehre me khushi ke asar the aur aap ki khushi hamare liye sab se ziyadah mahboob thi.Phir Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Jo shakhs 5 farz namaz padhe aur Ramzan ke roze rakhe,Zakaat ada kare aur 7 bade gunaaho (Shirk,Jaadu,Naa-haq qatal,Sood,Yateem ka maal khaa jaana,Jehaad se bhaagna aur paak daaman aurato par tohmat lagaana) se bache,Uske liye jaanat ke sab darwaaze khol diye jaaenge aur us se kaha jaaega ki: Salamti ke saath jannat me daakhil ho jaao.(Sunan Nisaayi,Hadees No:2440)
Hadees:Hazrat Abu Malik Asha’ari radhi Allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya: Achchhi tarah wazu karna aadha imaan hai,Al-hamdulillah kahna mizaan ko bhar deta hai,SubhanAllah aur Allahu Akbar kahna aasman wa zameen ko bhar deta hai.Namaz Noor hai, Zakaat (Imaan ki) Daleel hai,Sabr raushni hai aur Quran Majeed Hujjat hai,Tere haq me ya tere khilaaf.(Sunan Nisaayi,Hadees No:2439)
Hadees:Hazrat Abu Zar radhi Allaho anho kahte hain ki Main Allah ke Rasool Sallallaho alaihe wasallam ke paas aaya,Aap Kaaba sharif ke saaye me baithe hue the,Aap ne mujhe aate dekha to farmaya:Kaaba ke Rab ki Qasam! Qayamat ke din yahi log ghaate me honge.Main ne apne dil me kaha:Shaayad koi chiz mere bare me naazil ki gayi ho.Main ne arz kiya:Mere maa baap Aap par Qurban hon,Kaun log ghaate me honge? To Allah ke Rasool Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Yahi log jo bahut maal wale hain,Siwaaye un logo ke jo aisa aisa kare,Aap ne apne dono haath se lap bhar kar apne saamne,Daaye aur apne baaye taraf ishaara kiya.(Yani har taraf Allah ke raaste me kharch kare) Phir Aap ne farmaya:Qasam hai us zaat ki jis ke qabze me meri jaan hai!Jo bhi aadmi oont aur gaaye chhor kar mara aur us ne uski zakaat nahi di to qayamat ke din woh us se ziyadah bhaari aur mota ho kar aayega aur us shakhs ko apne pairo se kuchlega aur apni singho se maarega,Jab uska aakheri jaanwar guzar jaaega,To phir pahla lauta diya jaaega.(Yani use ye azaab barabar hota rahega) yahan tak ki logo ke darmiya faisala kar diya jaae.(Tirmizi,Hadees No:617)
Hadees:Hazrat Abdullah bin Umar radhi Allaho anhuma bayan karte hain ki:Do aurate Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke paas aayiun ke haatho me sone ke do kangan the to Aap ne un se farmaya:Kya tum dono iski zakaat ada karti ho? Unhone arz kiya:Nahi,To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne un se farmaya: Kya tum pasand karogi ki Allah tum dono ko aag ke do kangan pahnaaye? Unhone arz kiya nahi,Aap ne farmaya:To tum dono inki zakaat ada karo.(Tirmizi,Hadees No:637)
Hadees:Hazrat Abu Huraira radhi Allaho anho se riwayat hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jise Allah Ta’ala ne maal diya aur usne uski zakaat ada nahi ki to qayamat ke din uska maal nihaayat zahrile ganje saanp ki shakal ekhtiyar kar lega.Uski aankho ke paas do kale nuqte honge,Phir woh saanp uske dono jabron se use pakar lega aur kahega ki main tera maal aur khazaana hun,Uske baad Aap Sallallaho alaihe wasallam ne ye aayat padhi “ Aur woh log ye gumaan na kare ki Allah Ta’ala ne unhe jo kuchh apne fazl se diya hai,Woh us par bakhili se kaam lete hain ki unka maal unke liye behtar hai,Balki woh bura hai jis maal ke maamle me unho ne bakhili kiya hai,Qayamat ke din uska tauq bana kar unki garden me daal diya jaaega”. (Sahih Bukhari,Hadees No:1403)
Hadees:Hazrat Abdullah bin Mas’ood radhi Allaho anho se riwayat hai ki Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jo shakhs apne maal ka haq (Zakaat)ada nahi karta hai,Qayamat ke din woh maal uske gale me ganje saanp ki surat me tauq bana diya jaaega,Woh us se bhaage ga lekin woh uske pichhe daurega,Phir Aap Sallallaho alaihe wasallam ne ye aayat padhi “ Jo log Allah ke diye hue maal me bakhili karte hain woh ye nahi samjhe ki woh maal unke liye behtar hai balki woh unke liye bahut hi bura hai.Jis maal ke saath unhone bakhili kiya, Qayamat ke din woh unke gale me tauq banaya jaaega.(Sunan Nisaayi,Hadees No:2443)
Hadees: Hazrat Abdullah bin Mas’ood radhi Allaho anho se riwayat hai ki Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Jo bhi sone aur chaandi ka maalik ho aur un me se (Ya unki qimat me se) unka haq (Zakaat) ada nahi karta,To jab qayamat ka din hoga (unhe) un ke liye aag ki takhtiya bana diya jaaega aur unhe jahannam ki aag me garam kiya jaaega aur phir us se unke pahlu,Uski peshaani aur uski pith ko daaga jaaega, Jab woh takhtiya thandi ho jaaengi to unko dobarah garam kiya jaaega,Us din barabar ye azaab uske saath hota rahega jis ki miqdaar 50 hazaar saal ki hogi,Yahan tak ki bando ke darmiyan faisla kar diya jaaega,Phir woh jannat ya jahannam ki taraf apna raasta dekh lega.(Sahih Muslim,Hadees No:2290)
Share.........




Related Topics



Zakaat Farz Hone Ki Sharten Zakaat ke Nisaab Kin Maalo Me Zakaat Hai? Zakaat Ke Masaarif Sadqa-e-Fitr



Dawat-E-Quran