Kin Maalo Me Zakaat Hai?



Zakaat sirf us maal par farz hai jo badhne wala ho,Jaise tijaarat ka maal ya jaanwar ya sona chaandi aur naqdi.Sona chaandi aur naqdi ko islam ne tijaarat ka zariya qaraar diya hai is liye sona chaandi par har surat me zakaat laazim hai chaahe koi zewar bana kar rakhe ya biscuit bana kar rakhe.Is liye agar woh nisaab ke barabar ho aur us par saal bhi guzar jaae to us par zakaat farz hai.In 4 tarah (Sona, Chaandi,Rupiya,Maal-e-Tijarat) ke maal ke elawah zaati makaan,Dukaan,Gaari,Bartan,Furniture aur dusre gharelu saman,Meel aur kaar-khaana ki machine wagairah agar tijarat ke liye nahi hain to in par zakaat farz nahi hai. Haan agar un me se koi chiz bechne ki niyat se kharida aur uski qimat nisaab ke barabar ya us se ziyadah hai to saal guzarne par us par zakaat farz hogi.
Mas'ala:Property agar kisi shakhs ne kiraaya par dene ki niyat se kharida to is ki value par zakaat farz nahi hoga,Balki jo kiraaya aaega, Us par zakaat hogi,Jab ki woh malik-e-nisaab ho jaae.
Mas'ala:Jo property rahne ke liye kharidi jaaye us par bhi zakaat nahi hai isi tarah woh dukaan jo kaar-o-baar karne ke liye kharidi jaaye uske value par zakaat nahi.
Mas'ala:Agar kisi shakhs ne property kharida aur kuchh niyat nahi ki, Ke bech dega ya khud rahega,To us par bhi zakaat nahi.
Mas'ala:Jo property tijaarat ki niyat se kharidi gayi ki isko bech kar nafa kamaya jaaega.Aisi tamam property agar nisaab ki qimat tak pahunchte ho to un par saal guzar jaane par unke value ka hisaab kar ke 2.5% zakaat dena hoga.
Mas'ala:Agar sawaari tijarat ya bech kar nafa kamaane ki niyat se nahi kharidi to us par zakaat wajib nahi hoti chaahe ek ho ya do ya is se ziyadah.Aur agar tijaarat ki niyat se kharida to woh zakaat ka maal hoga aur us par zakaat laazim hogi.
Share.........




Related Topics



Zakaat Ki Ahmiyat Wa Fazilat Zakaat Farz Hone Ki Sharten Zakaat ke Nisaab Zakaat Ke Masaarif Sadqa-e-Fitr



Dawat-E-Quran