Mukhtasar Ahaadis



Hadees 1:Rasool-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Tum me se koi shakhs us waqt tak momin nahi ho sakta hai jab tak ki main us ki nazar me us ke baap, us ke bete aur tamam logo se ziyada piyara nahi ho jaaon.(Sahi Bukhari,Hadis No.15)
.............................................
Hadees 2:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Beshak Allah ne zameen par haraam kar diya hai ki woh nabiyo ke jismo ko khaae.To Allah ke Nabi zinda hote hain aur unhe rizq diya jaata hai.(Ibn-e-Majah,Hadis No.1637)
.............................................
Hadees 3:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Meraaj ki raat main Musa alaihissalam ki qabar ke paas se guzra to dekha ki woh apni qabar me khade namaaz padh rahe the.(Sahi Muslim, Hadis No.2375)
.............................................
Hadees 4:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Har Nabi ki ek Khaas dua hoti hai jise Allah Ta’ala zarur qabool fermata hai.To har nabi ne dunya hi me woh dua maang li.Lekin main ne apni dua ko Qayamat ke din apni ummat ki shafa’at ke liye bacha kar rakh liya.(Sahi Muslim,Hadis No.201)
.............................................
Hadees 5:Hazrat-e-Ibne Abbas radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki: Main ne apne Rab Ta’ala ko dekha.(Masnad-e-Ahmad,Hadis No.2623.2678)
.............................................
Hadees 6:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Qayamat ke din mujh se sab se ziyada qareeb woh shakhs hoga jo mujh par sab se zyada darood padhta hai.(Tirmizi,Hadis No.484)
.............................................
Hadees 7:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Waqt par ada ki hui namaaz Allah Ta’ala ko sab kaamo se zyada pasand hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.527)
.............................................
Hadees 8:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Tum me sab se afzal admi woh hai jo Quran majid sikhe aur sikhaae. (Sahi Bukhari,Hadis No.5027)
.............................................
Hadees 9:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Tum me se koi shakhs us waqt tak mukammal imaan wala nahi ho sakta jab tak ki woh apne bhai ke liye wahi chiz na pasand kare jo apne liye karta hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.13)
.............................................
Hadees 10:Huzur Rahmat-e-Alam Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Allah Ta’ala us shakhs par raham nahi fermata hai jo logo par raham nahi karta hai.(Tirmizi,Hadis No.1922)
.............................................
Hadees 11:Huzur Rahmat-e-Alam Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Apne bhai ko dekh kar muskurana bhi sadqa hai.(Tirmizi,Hadis No. 1956)
.............................................
Hadees 12:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Sab se badi zyadati kisi musalman ki be-izzati karna hai.(Abu Dawood,Hadis No.4876)
.............................................
Hadees 13:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Woh shakhs ham me se nahi jo hamare chhoto par shafqat na kare aur hamare bado ki izzat na kare.(Tirmizi,Hadis No.1920)
.............................................
Hadees 14:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Tum me sab se achhchhe woh hain jin ke akhlaaq sab se achhchhe hain.( Sahi Bukhari,Hadis No.6029)
.............................................
Hadees 15:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jab banda jhhot bolta hai to us ke munh ki bad-boo ki wajah se rahmat ke farishte us se ek mile door ho jaate hain.(Tirmizi,Hadis No.1972)
.............................................
Hadees 16:Hazrat-e-Abu Qtadah Radhi Allaho Anho bayan karte hain ki :Huzur ﷺ se peer (Monday) ke din ke roze ke baare me puchha gaya.(Kyunki Aap hamesha is din ko roza rakha karte the)To Huzur ne farmaya ki:Main isi din paida huwa tha aur isi din quran naazil huwa.(Sahi Muslim,Hadis No.1162)
.............................................
Hadees 17:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jama’at ke saath namaaz padhna akele namaaz padhne se 27 guna ziayada afzal hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.645)
.............................................
Hadees 18:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Beshak Allah ke nazdik logo me ziyada behtar woh hai jo pahle salaam karta hai. (Abu Dawood,Hadis No.5197)
.............................................
Hadees 19:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jab do musalman aapsa me milte hain aur musaafha karte hain to un ke alag hone se pahle hi Allah Ta’ala dono ke gunaaho ko bakhsh deta hai.(Abu Dawood,Hadis No.5212)
.............................................
Hadees 20:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jis ne meri Qabar ki ziyarat ki us ke liye meri shafa’at wajib ho gayi.(Sunan Daar e Qutni,Hadees No:2695)
.............................................
Hadees 21:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Woh musalman nahi jis ka padosi us ki taklif se mahfuz na ho.(Sahi Bukhari, Hadis No.6016)
.............................................
Hadees 22:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jo aurat is haalat mein inteqaal ki ke us se us ka shauhar raazi tha.To woh jannati hai.(Tirmizi,Hadis No.1161)
.............................................
Hadees 23:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Tum jahaan bhi raho Allah se darte raho.(Tirmizi,Hadis No.1987)
.............................................
Hadees 24:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Dunya ki sab se behtareen chiz “Nek aurat” hai.(Sahi Muslim,Hadis No.1467)
.............................................
Hadees 25:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Yateem bachcho ki parwarish karne wala mere saath jannat me daakhil hoga.(Sahi Bukhari,Hadis No.6005)
.............................................
Hadees 26:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Amaanat daar taajir Qayamat ke din Nabiyo,Siddiqo aur shahido ke saath hoge.(Tirmizi,Hadis No.1209)
.............................................
Hadees 27:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Sach-cha’I neki ki taraf le jaati hai aur neki jannat ki taraf le jaati hai.Aur jhoot bura’ee ki taraf le jaati hai aur bura’ee jahannam ki taraf le jaati hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.6094)
.............................................
Hadees 28:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Ziayada tar log jannat me taqwa aur achhchhe akhalaq ki wajah se jaaenge aur jahannam me ziyada tar log zuban aur sharam-gaah ki wajah se jaaenge.(Al-Mustadrak,Hadis No.7919)
.............................................
Hadees 29:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jis ghar me kutta ya jaan-daar ki tasweer hoti hai,Us me farishte nahi jaate hain.(Sahi Muslim,Hadis No.2106)
.............................................
Hadees 30:Huzur-e-Akram Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Qayamat ke din har shakhs usi ke saath hoga jis se woh dunya me mohabbat karta hoga.(Sahi bukhari,Hadis No.6168)
.............................................
Hadees 31:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Apne aap ko jahannam se bachao agarche khajur ka ek tukda hi sadqa kar ke ho.Agar woh bhi na mile to achhchhi baat hi ke zariye.(Sahi Bukhari,Hadis No.6023)
.............................................
Hadees 32:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jannat me ek kore bhar ki jagah dunya aur us me jo kuchh hai.Un sab se behtar hai. (Sahi Bukhari,Hadis No.6415)
.............................................
Hadees 33:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Har ummat ke liye ek fitna hota hai aur meri ummat ka fitna maal-o-daulat hai.(Al-Mustadrak,Hadis No.7896)
.............................................
Hadees 34:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jo shakhs Allah ta’ala se milne ko pasand karta hai Allah Ta’ala bhi us se milne ko pasand fermata hai.Aur jo pasand nahi karta Allah Ta’ala bhi use pasand nahi karta.(Sahi Bukhari,Hadis No.6508)
.............................................
Hadees 35:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Aadmi ka apna maal wahi hai jo us ne apni maut se pahle apne liye (Allah ke raaste me kharch kar ke) aage bhej diya.Aur jo chhor kar mara woh to us ke waariso ka hai.(Sahi Bukhari,hadis No.6442)
.............................................
Hadees 36:Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ko sab se ziyada pasand woh nek amal tha jis ko insaan hamesha kar sake.(Sahi Bukhari,hadis No.6462)
Hadees 37:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jab tum me se koi kisi aise admi ko dekhe jo shakl-o-surat aur maal-o-daulat me badh ke ho.To use apne se kam darja wale logo ki taraf dhiyan deni chaahiye.(Sahi Bukhari,Hadis No.6490)
.............................................
Hadees 38:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jannat tum se tumhare jute ke tasme se bhi ziyada qareeb hai aur isi tarah se dozakh bhi.(Sahi Bukhari,Hadis No.6488)
.............................................
Hadees 39:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Ziayada bachcha paida karne wali aurato se nikaah karo.Kyunki qayamat ke din main apni ummat ki zyadati par fakhr karonga.(Sunan Nisa’ee, Hadis No.3227)
.............................................
Hadees 40:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jis ne kisi bewa aurat ki taaziyat ki aur use tasalli diya to Allah Ta’ala use jannat me chaadar ata farmaega.(Tirmizi,Hadis No.1076)
.............................................
Hadees 41:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: 3 chizo me kabhi deer mat karo.(1)Namaaz, Jab us ka waqt ho jaae. (2)Janazah, jab haazir ho jaae.(3)Kuwaari ladki ki shadi,Jab koi munasib rishta mil jaae.(Tirmizi,Hadis No.1075)
.............................................
Hadees 42:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Momin ki jaan apne qarz me ghira rahta hai jab tak ki us ki taraf se ada nahi kar diya jaae.(Tirmizi,Hadis No.1078)
.............................................
Hadees 43:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Main apne pichhe aise hi dekhta hon jaise apnea age dekhta hon.Aur mujh par tumhare dil ke andar ki haalat bhi chhupi nahi rahti hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.741)
.............................................
Hadees 44:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Beshak main jo jaanta hun,Agar tum jaante to hanste kam aur rote ziyadah.(Sahih Bukhari,Hadees No:6485)
.............................................
Hadees 45:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Mere Sahaba ko bura bhala mat kaho,Agar koi shakhs Uhud pahaar ke barabar sona bhi (Allah ki raah me) kharch kar dale,To unke ek mud galla ke barabar bhi nahi ho sakta aur nahi unke aadhe mud ke barabar.[Sahih Bukhari,Hadees No:3673]
.............................................
Hadees 46:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Allah Ta’ala us bande se khush hota hai jo kuchh khaane ya pine ke baad “Al-Hamdulillah” kahta hai.(Sahi Muslim,Hadis No.2724-Tirmizi, Hadis No.1816)
.............................................
Hadees 47:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Sab se bura us walime ka khaana hai jis me maal daaro ko bulaya gaya ho aur garib logo ko chhor diya gaya ho.(Abu Dawood,Hadis No.3742)
.............................................
Hadees 48:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jis ne badla lene ki taaqat hone ke baad bhi gusse ko pee gaya.To Qayamat ke din Allah Ta’ala use ekhtiyar dega ki jis “Hoor” ko chaahe le le.(Abu Dawood,hadis No.4777)
.............................................
Hadees 49:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Beshak Haya imaan ke taqaazo me se hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.24)
.............................................
Hadees 50:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Raaste se taklif dene wali chiz ko hata dena bhi sadqa hai.(Abu Dawood,Hadees No:5243)
.............................................
Hadees 51:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jab tum ziyada taarif karne wale shakhs se milo to us ke munh me mitti daal do.(Yani us ki baat mat suno).(Sahi Muslim,Hadis No.3002)
.............................................
Hadees 52:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jo dunya me do chehre wala hoga (Yani dogala hoga) Qayamat ke din us ke munh me do aag ki zuban hogi.(Abu Dawood,Hadis No.4873)
.............................................
Hadees 53:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Hasad aur jalan kar ne se bacho kyunki woh nekiyo ko aise khaa jaati hai jaise aag lakdi ko.(Abu Dawood,Hadis No.4903)
.............................................
Hadees 54:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Tum apne marhumin ki achhchha’ee ko bayan karo aur un ki bura’yon se zuban ko band rakho.(Abu Dawood,Hadis No.4900)
.............................................
Hadees 55:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Kisi musalman ke liye jaa’iz nahi ki woh apne musalman bhai se 3 din se zهyada baat chit band rakhe.Un dono me se zهyada achhchha woh hai jo pahle salam kar le.(Abu Dawood,Hadis No.4910)
.............................................
Hadees 56:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Beshak deen khair khaahi karne ka naam hai.(Sahi Muslim,Hadis No.55)
.............................................
Hadees 57:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Beshak Allah Ta’ala bande ki madad karta rahta hai jab tak banda apne bhai ki madad me laga rahta hai.(Abu Dawood,Hadis No.4946)
.............................................
Hadees 58:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: beshak qayamat ke din tum ko tumhare aur tumhare baapo ke naam se pukaara jaaega.To tum achhchha naam rakho.(Abu Dawood,Hadis No.4948)
.............................................
Hadees 59:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Bure akhlaaq wala malik jannat me nahi jaaega.(Tirmizi,Hadis No.1946)
.............................................
Hadees 60:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jo logo ka shukriya ada nahi karta hai woh Allah ka shukr ada nahi karta.(Tirmizi,Hadis No.1955)
.............................................
Hadees 61:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Bewa aur miskeen ke liye koshish karne wala Allah ke raaste me jehaad karne wale ki tarah hai ya us shakhs ki tarah hai jo din me roza rakhta hai aur raat ko jaag kar ibaadat karta hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.5353)
.............................................
Hadees 62:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Woh dua bahut jald qabool hoti hai jo ek shakhs dusare shakhs ke liye us ke pith pichhe karta hai.(Tirmizi,Hadis No.1980)
.............................................
Hadees 63:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Do gaali dene wale ne jo kuchh kaha us ka gunaah shuru karne wale par hai jab ki mazlum had se na guzre.(Sahi Muslim,Hadis No.2587)
.............................................
Hadees 64:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jis ne haq par rahte hue bhi jhagda nahi kiya to us ke liye jannat ke bich me ghar banaya jaaega.(Tirmizi,Hadis No.1993)
.............................................
Hadees 65:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Sab se bura aadmi woh hai jis ki behayai se bachne ke liye,Log us se alag rahe.(Sahi Bukhari,Hadis No.3132)
.............................................
Hadees 66:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jis ke dil me zarra barabar bhi ghamand hoga woh jannat me nahi jaaega. (Tirmizi,Hadis No.1998)
.............................................
Hadees 67:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Qayamat ke din momin ke mizaan-e-amal me “achchhe akhlaaq” se ziyadah wazni koi chiz nahi rakhi jaayegi.[Tirmizi,Hadees No:2002]
.............................................
Hadees 68:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Agar log tumhare saath nek sulook kare to tum bhi un ke saath nek sulook karo.Lekin agar woh tumhare saath zulm kare to tum zulm mat karo.(Tirmizi,Hadis No.2007)
.............................................
Hadees 69:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Mazloom ki bad-dua se bacho kyunki us ke aur Allah ke darmiyan koi parda nahi hota.(Sahi Bukhari,Hadis No.1496)
.............................................
Hadees 70:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Mujhe bahut ziyadah bolne wale,Zuban daraazi karne wale aur takabbur karne wale log bahut napasand hain au raise log qayamat ke din mujh se bahut door honge.[Tirmizi,Hadees No:2018]
.............................................
Hadees 71:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jo jawaan kisi budhe shakhs ki taazim uski umar ki wajah se karta hai to Allah Ta’ala us jawaan ke liye aise shakhs ko paida kar deta hai jo uski budhaape me taazim kare.[Tirmizi,Hadees No:2022]
.............................................
Hadees 72:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Qayamat ke din Allah ke nazdik sab se bura do chehre wala hoga.[Sahih Bukhari,Hadees No:6058]
.............................................
Hadees 73:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jo shakhs Allah ke liye jhuk jaata hai to Allah Ta’ala use buland farma deta hai.(Sahi Muslim,Hadis 2588)
.............................................
Hadees 74:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Ek baap ka apne bete ke liye sab se achhchha tohfa achhchha adab sikhaana hai.(Sho’bul imaan,Hadis No.1553)
.............................................
Hadees 75:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Momin ko job hi taklif pahuchti hai,Allah Ta’ala us ki wajah se us ke gunaah ko mita deta hai.(Sahi Muslim,Hadis No.2572)
.............................................
Hadees 76:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jab koi aisa shakhs tumhe nikah ka paigaam de jis ke deen aur akhlaaq se tum raazi ho to us se apni beti ka nikaah kar do aur agar tum aisa nahi karoge to zameen me fitna aur bada fasaad hoga.[Tirmizi,Hadees No:1084]
.............................................
Hadees 77:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Bad-kaar hain woh auraten jo apna nikah begair gawaaho ke karti hain.[Tirmizi,Hadees No:1103]
.............................................
Hadees 78:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Aurat parde me rahne ki chiz hai.To jab woh ghar se be-parda nikalti hai to shaitaan use ghor kar dekhta hai.(Tirmizi,Hadis No.1173)
.............................................
Hadees 79:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jab koi biwi apne shauhar ko takleef deti hai to “Hoor-e-Ain” me se uski biwi kahti hai: Allah tujhe halaak kare,Isko takleef mat do,Woh to tumhaare paas bas kuchh waqt ke liye hai jald hi who tum se juda ho kar hamaare paas aane wala hai.[Tirmizi,Hadees No:1174]
.............................................
Hadees 80:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jo kisi tang-dast qarz-daar ko mohlat deta hai ya qarz maaf kar deta hai, Allah Ta’ala use qayamat ke din arsh ka saaya naseeb farmaayega, Jab ki us din uske elawah koi saaya nahi hoga.[Tirmizi,Hadees No:1306]
.............................................
Hadees 81:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Do aankho ko jahannam ki aag nahi chhuegi.Ek woh jis ne Allah ke dar se aansu baha’ee aur dusari woh jo raat ko jaag kar Allah ke raaste me pahra deti rahi.(Tirmizi,Hadis No.1639)
.............................................
Hadees 82:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jo sachche dil se shahaadat ki dua karta hai,To Allah Ta’ala use shahido ka martabah ata farmaayega agarche woh apne bistar par inteqal kare.[Sahih Muslim,Hadees No:1909]
.............................................
Hadees 83:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Sab se afzal jehaad zaalim baadshah ke saamne haq baat bolna hai.(Al-Mustadrak,Hadis No.4878)
.............................................
Hadees 84:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Do qatre Allah Ta’ala ko sab se ziyada pasand hain.Ek aansu ka qatra jo us ke dar se gire.Aur dusara khoon ka qatra jo us ke raaste me gire. (Tirmizi,Hadis No.1669)
.............................................
Hadees 85:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Bahut si auraten kapda pahan kar bhi nangi hongi.Woh jannat ki khushbu bhi nahi paaengi jab ki jannat ki khushbu 500 saal ki doori tak jaaegi. (Sahi Muslim,Hadis No.2128)
.............................................
Hadees 86:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Bhau ke baal bana ne aur banwane wali aurato par Allah ne la’anat farmaya.(Sahi Bukhari,Hadis No.5935)
.............................................
Hadees 87:Hazrat-e-Ibne Abbas radhi allaho anhuma ne bayan kiya ki: Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne un aurato par la’anat farmaya jo mardo ki tarah libaas pahanti hain.(Sahi Bukhari,Hadis No.5885)
.............................................
Hadees 88:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jo Allah Ta’ala ki itaa’at ki mannat mane woh Allah ki itaa’at kare aur jo gunaah ke kaam ki mannat mane woh gunaah na kare.[Sahih Bukhari,Hadees No.6696]
.............................................
Hadees 89:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jab tum mayyat ki namaz janaza padh lo to uske liye khuloos dil se dua karo.[Abu Dawood,hadees No:3199]
.............................................
Hadees 90:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Allah ke nazdik behtareen saathi woh hai jo apne saathi ke haq me behtar hai.Aur Allah ke yahan behtareen padosi woh hai jo apne padosi ke haq me behtar hai.(Tirmizi,Hadis No.1944)
.............................................
Hadees 91:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Ek saath mil kar khaaya karo,Alag alag na khaao,Kyunki barkat mil kar khaane se haasil hoti hai.[Ibn-e-Majah,Hadees No:3387]
.............................................
Hadees 92:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jo mujhe apni zubaan aur sharamgaah ki zamaanat (guaranty) de use main jannat ki zamaanat (guaranty) deta hon.(Sahi Bukhari,Hadis No.6474)
.............................................
Hadees 93:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Admi ke Islam ki khoobsurati ye hai ki woh be-faa’ida kaamo ko chhor de.(Tirmizi,Hadis No.2317)
.............................................
Hadees 94:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne Hazrat-e-Anas radhi allaho anho se farmaya ki: bete!Jab ghar me daakhil ho to ghar walo ko salaam kiya karo.Is se tumhare liye aur tumhare ghar walo ke liye barkat hogi.(Tirmizi,Hadis No.2698)
.............................................
Hadees 95:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Tum me se hare k nigra hai,Aur hare k se uski riaaya ke bare me puchha jaayega.[Sahih Bukhari,Hadees No:2554]
.............................................
Hadees 96:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Tohfu ki taqsim me apne aulad ke darmiyan barabari karo.Aur agar main kisi ko kisi par fazilat deta to main betiyo ko beto par fazilat deta.(Tabrani,Hadis No.11997)
.............................................
Hadees 97:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Tumhare liye tumhaare maa baap jannat bhi hai aur dozakh bhi hain.(Ibn-e-Majah,Hadis No.3662)
.............................................
Hadees 98:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Jis ne Allah ke liye dosti kiya aur Allah hi ke liye dushmani kiya Aur Allah hi ke liye diya aur Allah hi ke liye nahi diya to us ne apna imaan mukammal kar liye.[Abu Dawood,Hadees No.4681]
.............................................
Hadees 99:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Jo Allah aur qayamat ke din par imaan rakhta hai use chaahiye ki jab bole to achhchhi baat bole.Nahi to chup rahe.(Sahi Bukhari,Hadis No.6475)
.............................................
Hadees 100:Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Musalman woh hai jis ki zubaan aur haath se dusara musalman mahfuz rahe.(Sahih Bukhari,Hadis No.10)
.............................................
Hadees 101:Huzur Rahmat-e-Alam Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Musalman woh nahi jo khud pet bhar ke khaae aur us ka padosi us ke bagal me bhuka rahe.(Al-Mustadrak,Hadis No.7307)
.............................................
Hadees 102:Huzur Rahmat-e-Alam Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki: Apne bhai ko dekh kar muskurana bhi sadqa hai.(Tirmizi,Hadis No.1956)
.............................................
Share.........




Related Topics



Hadis-e-Nabwi



Dawat-E-Quran