DAWAT-E-QURAN



Allah Ta’ala ka farman hai ki:Tum me se aise logo ki ek jama’at zarur honi chaahiye jo logo ko neki ki taraf bulaaye aur achhchhi baato ka hukm de aur bura’ee se roke.Aur wahi log murad (Yani jannat tak pahuchne wale) hain.(Surah Aal-e-Imran,Aayat No.104)
Is aayat-e-karima ki raushani me ek musalman ka, deeni aur akhlaqi zimmedari hoti hai ki woh apne socity me hone wali bura’iyo ki islaah ke saath saath logo ko neki ki dawat de aur bura’iyo se roke.Ye zimmedaari us waqt aur badh jaati hai jab socity me fashion aur naye-pan ke naam par bura’ee aur be-hayai aur mazhab se doori ka khayal aam hota jaa raha ho.
Aj internet aur dusare zariyo ki bunyad par har naya gunaah aur jurm itni jaldi phail jaata hai ki uska karna jurm bhi nahi lagta. Gunaaho aur jurmo ke bahut zyada phail jaane ki wajah ne naujawano ke zehan se jurm ke ehsaas ko khatam kar diya hai.Jis ki wajah se aj Qaum-e-Muslim apna purana waqaar kho chukka hai.Aur Ma’ashi pasmaandagi ke saath saath akhlaaqi aur ma’asharti zawaal ka bhi shikaar ho chukka hai.
Isi tarah se taalim ke maidan me Musalmano ka jo haal hai. Use bayan karne ki zarurat nahi.Is liye aj taalimi,akhlaaqi aur ma’asharati taru tariqo ko phailana aur use faroog dena waqt ka ek aham taqaaza ban gaya hai.
Waqt ke inhe taqaazo aur zarurato ko dekhte hue socity me sudhaar aur musalmano ko taalim ke maidan me aage badhane ki niyat se 2008 A.D Mutabiq 1430 hijri me Hazrat-e-Allama Maulana Muhammad Imtiyaz Ahmad Qadri Misbahi ne “ DAWAT-E-QURAN EDUCATIONAL AND WELFARE TRUST” qayam kiya jis ke mansube ye hain.
DAWATI MANSUBE:
(1) Quran-o-Sunnat ki sahi taalim logo tak pahuchana aur Islam ki sahi tasweer pesh karna.
(2) Socity me sudhaar ke liye Islami akhlaaq aur kirdaar ko phailaana.
(3) Ulma-e-Ahl-e-Sunnat ki kitaabo ki takhrij aur tahqiq kar ke mukhtalif zubano me chhap kar phailaana.
(4) Neki ko phailaane aur bura’ee ko rokne ke liye har mumkin aur jaa’iz tariqa apna na.
(5) Maujudah daur ke taqaazo ko pura karne wala deeni madarse kholna.
TAALIMI MANSUBE:
(1) Deeni mahaul me behtarin aur khoob se khoob tar taalim ke liye school aur college’s qayam karna.
(2) WBCS,IPS jaise muqaable wale imtehaano ki tayyari ke liye saholat dena.
(3) Taalimi rahnumayi ke liye GUID LINE CENTER qayam karna.
(4) Salaahiyat mand ustaado ki nigraani me behtarin Coching center kholna.
(5) Naye tarz par Madarse qaayim karna jo waqt ke taqaaze ko pura kar sake.
(6) Gharelu etebaar se padhne wale kamzor bachche aur bachchiyo ki madad karna.
(7) Taalim haasil karne ka zehan banane ke liye har mumkin zariya ekhtiyar karna.
MA’ASHRATI MANSUBE:
(1) Samaj ke kamzor aur garib logo ki,dawa,Ration,Thandi ke kapde aur Talimi sahuliyaat ke zariye khidmat karna.
(2) Yateem bachche aur bachchiyon ki har tarah se madad karna.
MAUJUDAH SARGARMIYA:
(1) Mukhtalif Masjido aur culbo me hafta-waari “DARS-E-QURAN” ka ehtamaam.
(2) Shauq rakhne wale logo ko deeni kitaabein dena.
(3) Zarurat mand padhne wale bachcho ke liye wazife ka intezaam karna.
(4) Alag alag topics par zarurat ke mutabiq kitaabein likhwana aur unhe chhaapna.
(5) School aur college’s ke bachcho ko Islami taalim ki maloomat dene ki niyat se summer classes ka ehtemaam karna.
(6) Peace And Humanity Day [12 Rabiul Awwal] ke mauqe se Free Health Checkup Camp,Lagaana.Garib Students ko Scholarship dena.Garib pariwaar ke logo ko ration aur yateem bachcho ko unki zarurat ke samaan dena.Bimar logo ki iyaadat karna aur unhe Gift packet dena.Mahaul ko behtar banaane ke liye paude lagaana.
Allah Ta’ala ki baargah me dua hai ki Allah Ta’ala apne Habib Sallallaho alaihe wasallam ke sadqe hamaari niyato me khuloos aur iraado me kaamyabi ata farmae.Aur is trust ko aam logo ke liye hidayat ka zariya banae aur tamaam membero aur madad karne walo ke liye nijaat ka zariya banae. ………………………………………………………Ameen




Dawat-E-Quran