عَنِ ابْنِ عُمَرَ رضي ﷲ عنهما قَالَ: فَرَضَ رَسُوْلُ ﷲِ صلی الله علیه وآله وسلم زَکَاةَ الْفِطْرِ صَاعًا مِنْ تَمْرٍ أَوْ صَاعًا مِنْ شَعِیْرٍ عَلَی الْعَبْدِ وَالْحُرِّ وَالذَّکَرِ وَالْأُنْثَی وَالصَّغِیْرِ وَالْکَبِیْرِ مِنَ الْمُسْلِمِیْنَ وَأَمَرَ بِهَا أَنْ تُؤَدَّی قَبْلَ خُرُوْجِ النَّاسِ إِلَی الصَّلَاةٌِ
“Hazrat Abdullah bin Umar radhi Allaho anho bayan karte hain ki Allah ke Rasool Sallallaho alaihe wasallam ne sadqa-e-fitr ko farz farmaaya hai.Ek Saa’ khajoor ya ek Saa’ Jau,Har gulam aur azaad mard aur aurat,Chhote aur bade musalman ki taraf se aur hukm farmaya ki ise namaz-e-eid ke liye nikalne se pahle hi ada kar diya jaaye.(Sahih Bukhari,Hadees No:1432)
عَنْ أَبِي سَعِیْدٍ الْخُدْرِيِّ رضی الله عنه یَقُوْلُ: کُنَّا نُخْرِجُ زَکَاةَ الْفِطْرِ صَاعًا مِنْ طَعَامٍ أَوْ صَاعًا مِنْ شَعِیْرٍ أَوْ صَاعًا مِنْ تَمْرٍ أَوْ صَاعًا مِنْ أَقِطٍ أَوْ صَاعًا مِنْ زَبِیْبٍ۔
Hazrat Abu Saeed khudri radhi Allaho anho farmaate hain ki ham log sadqa-e-fitr ek saa’ khaana nikala karte ya ek saa’ jau ya ek saa’ khajoor,Ya ek saa’ paneer ya ek saa’ kishmish me se. (Sahih Bukhari ,Hadees No:1435)
عَنِ الْحَسَنِ قَالَ: خَطَبَ ابْنُ عَبَّاسٍ رَحِمَهُ ﷲُ فِي آخِرِ رَمَضَانَ عَلَی مِنْبَرِ الْبَصْرَةِ فَقَالَ: أَخْرِجُوْا صَدَقَةَ صَوْمِکُمْ فَکَأَنَّ النَّاسَ لَمْ یَعْلَمُوْا فَقَالَ: مَنْ هَاهُنَا مِنْ أَهْلِ الْمَدِیْنَةِ قُوْمُوْا إِلَی إِخْوَانِکُمْ فَعَلِّمُوْهُمْ فَإِنَّهُمْ لَا یَعْلَمُوْنَ. فَرَضَ رَسُوْلُ ﷲِ صلی الله علیه وآله وسلم هَذِهِ الصدقة صَاعًا مِنْ تَمْرٍ أَوْ شَعِیْرٍ أَوْ نِصْفَ صَاعٍ مِنْ قَمْحٍ عَلَی کُلِّ حُرٍّ أَوْ مَمْلُوْکٍ ذَکَرٍ أَوْ أُنْثَی صَغِیْرٍ أَوْ کَبِیْرٍ. فَلَمَّا قَدِمَ عَلِيٌّ رضی الله عنه رَأَی رُخْصَ السِّعْرِ قَالَ: قَدْ أَوْسَعَ ﷲُ عَلَیْکُمْ فَلَوْ جَعَلْتُمُوْهُ صَاعًا مِنْ کُلِّ شَيْئٍ
Hazrat Hasan se riwayat hai ki Hazrat Abdullah bin Abbas radhi Allaho anhuma ne Ramzan ke aakhir me basra ke member par khutba dete hue farmaya ki:Apne rozo ka sadqa nikalo,Log kuchh nahi samjhe to unhone farmaya ki jo log yahan madina sharif ke rahne wale hain woh apne bhaiyo ke paas jaae aur unhe bataaye, kyunki woh nahi jaante ki sadqa-e-fitr ko muqarrar farmaya hai ki ek saa’ khajoor ya jau aur nisf saa’ gehu,Har azaad,Gulam,Mard,Aurat,Chhote aur bade ki taraf se. Jab Hazrat Ali radhi allaho anho tashrif laaye aur anaaj ki ziyadati dekha to farmaya “ Allah Ta’ala ne tumhe ziyadah ata farmaya hai,Isliye tum log har chiz ka ek saa’ kar lo.(Abu Dawood,Hadees No:1622)
Mas'ala:Har maalik e nisaab par apni taraf se aur apne na'baligh aulad ki taraf se sadqa fitr dena zaroori hai.
Mas'ala:ye kabhi bhi ada kiya ja sakta hai magar namaz e eid se pehle pehle ada karna sunnat hai (bukhari hadith 1503 muslim hadith 984)
Mas'ala:Sadqa e fitr ki mikdaar ek saa khajoor ya kishmish ya panerr ya jau ya nisf saa gehun hai. maujuda wazan ke etebaar se 2 kilo 45 gram gehun ya 4 kilo 90 gram jau ,khajoor,kishmish,paneer hai, agar rupaye paise ki shakl me dena chaahe to inhi me se kisi ek ki qimat ke aitebaar se ada karna hoga .
Mas'ala:Aam taur par dekha jaata hai ki sabhi log chaahe woh kitna hi maal-daar kyun na ho 2 kg 45 garaam gehu ki qimat hi sadqa-e-fitr me ada karte hain. Is me koi shak nahi ki is se fitra ada ho jaayega,Lekin jab Allah Ta’ala ne apne fazl se nawaza hai to use bhi chaahiye ki woh apna sadqa-e-fitr us ke hisaab se ada kare jis me garibo ka ziyadah faaida ho.
Share.........
Zakaat Ki Ahmiyat Wa Fazilat Zakaat Farz Hone Ki Sharten Zakaat ke Nisaab Kin Maalo Me Zakaat Hai? Zakaat Ke Masaarif