Mutafarriq Masaail



Sawal:Kuchh borhi auraten ladkiyon ke salaam ka jawab is tarah se deti hain”Khush raho,Suhagin bani raho,Doodh poot wali raho”wagairah.Ye tariqa sahi hai ya galat?
Jawab:Ye sab dua ke jumle hain.Salaam ke jawab me is tarah ke alfaaz bol dene se salaam ka jawab nahi hoga,jab ki salaam ka jawab dena wajib hai aur nahi dena gunah hai.Is liye hamesha har mard aur aurat ko salaam ke jawab me ”Walaikumussalam”hi kahna chahiye,Haan!us ke baad dua wale jumle bole to aur achhchhi baat hai.
Sawal:Auraten jaanwar wagairah zabah kar sakti hai ya nahi?
Jawab:Jaanwar ke halaal hone ke liye imaan ke saath zabah karte waqt Allah ta’ala ka naam lena shart hai.Mard hone ki shart nahi hai is liye aurat bhi “ Bismillah Allahu Akbar”padh kar jaanwar zabah kar sakti hai.
Sawal:Aksar aisa hota hai ki jab auraten chappal wagairah kharidne jaati hain to mard dukaan-daar us ka pair pakar kar chappal pahna-taa hai aur taarif karta hai ki ye chappal aap ke pair me ziyadah khubsurat lag raha hai,wagairah wagairah.Is ka kiya hukm hai?
Jawab:Mard ke liye kisi dusri aurat ka haath aur pair pakar na sakht najaa’iz aur gunaah hai.Aur aurat ke liye bhi ye jaaiz nahi hai ki woh kisi dusre ko apne haath ya pair pakadne de.Is liye ye durust nahi.Isi tarah auraton ka mardon se apne kapde napwana bhi jaaiz nahi hai.In sab kaamon se bachna bahut hi zaruri hai.
Sawal:Aurat ke liye apne mard peer ka badan dabaana ya us ka haath aur pair choomna kaisa hai?
Jawab:Sakht najaa’iz-o-Haraam aur gunaah hai.Aur jo peer is tarah ke kaam karwata hai ya is ki ijaazat deta hai woh peer hone ke laa’iq hi nahi.Aise peer se mureed hona bhi durust nahi hai.Haan!Chhoti bachchiyon ke liye ye jaa’iz hai.Lekin aaj ke fitne ke zamaane me is se bhi bachna hi behtar hai.
Sawal:Kuchh log apni biwi ko Dewar,Bahnoi,Aur phupha ke ladke wagairah se parda karne ka hukm dete hain.Is par un ki biwiyan gussa hoti hain aur kabhi kabhi in sab baaton ki wajah se shauhar se talaaq bhi maangne lagti hain.Is ka kiya hukm hai?
Jawab:Dewar,Bahnoyi,Phopha,Khaalo,Chacha-zaad,Maamo-zaad,Phuphi-zaad aur Khaala-zaad bhai.Ye sab log aurat ke liye ajnabi ke hukm me hai.Auraton ka un ke saamne begair parde ke jaana,un se baaten karna aur meel milaap rakhna na-jaaiz aur gunaah hai.Aur dusre logon ke muqaable me in se nuqsaan ka dar ziyadah hai ki dusra aadmi ghar me aate hue darta hai aur ye aapsi meel jool ki wajah se koi dar nahi rakhta.Isi liye jab Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne mardon ko gair auraton ke paas jaane se mana kiya to ek Ansaari sahabi ne arz kiya Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Jeth aur dewar ka kiya hukm hai?Tp Aap Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Dewar to maut hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.5232)Yani is me fitna ka imkaan ziyadah hai.Aur shari’at ka hukm dene par jo aurat na-raaz hoti hain aur talaaq maangti hain.Aisi auraton ke baare mein Huzur nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki jo aurat begair shar’ee zarurat ke talaaq maangti hai us par jannat ki khushbu haram hai.(Masnad-e-Ahmad,Jild:5,page No.277)
Sawal:Kuchh log shadi ke baad apne doston ko apni biwi ka munh dekhate hain aur us se mulaaqat wagairah karate hain.To kiya aurat is se inakaar karne ka haq rakhti hai?
Jawab:Jo mard apni biwi ka chehra dusre log ko dekhate hain who ‘Dayyus’ hain.Huzur nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki:Ten shakhs jannat me nahi jaaenge.(1)Maa baap ko taklif dene wala.(2)Dayyus.(3)Aur Mard ban-ne wali aurat.(Al-Mustadrak,Jild”1,page No.72)
Aurat ko mukammal haq hai ki woh is se inkaar kare balki us par wajib hai ki woh zarur aisa kare nahi to khud bhi gunahgaar hogi.Kyunki biwi par shauhar ki baat maan-na zaruri hai magar najaa’iz kaamon me nahi.
Sawal:Kuchh auraten do ten bachche hone ke baad apne shauhar ko ham-bistari ki ijazat nahi deti hain.To kiya aurat ko ye haq haasil hai?
Jawab:Nahi.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki jab koi shauhar apni biwi ko apne bistar par bulaata hai aur woh aane se inkaar karti hai to subah tak us par farishte laanat karte rahte hain.Aur dusri riwayat me hain ki Allah ta’ala us se us waqt tak na-raaz rahta hai jab tak ki us ka shauhar us se raazi nahi ho jaata hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.3237)
Sawal:Shauhar aur biwi ke darmiyan hone wali poshidah baton ko apne dosto ya sahelyon se batana kaisa hai?
Jawab:Sakht najaa’iz aur gunaah hai.Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki:Qayamat ke din Allah ke nazdik sab se bura shakhs woh hoga jo apni aurat ke paas jaa kar ham-bistari karta hai.Phir us ke raaz ko dusaron se bata deta hai.(Sahi Muslim,Hadis No.1437)
Sawal:Woh kaun log hain jin se parda karna auraton ke liye durust nahi hai?
Jawab:Auraton ke liye sirf un logon se parda karna durust nahi hai jin se nasabi ta’alluq ki wajah se kabhi kisi surat me nikaah karna jaa’iz nahi hai.Jaise Baap,Dada,Nana,Bhai,Bhatija,Bhanja,Chacha,Mamo,Beta,pota aur nawasa.In ke elawah jin se nikaah karna kabhi durust ho agarche abhi kisi wajah se najaa’iz hai jaise bahnoee jab tak bahan us ki nikaah me hai.Ya chcha,Mamo,Khala,Phophi ke bête,Jeth aur Dewar wagairah se parda karna wajib hai.(Fatawa Razwiya,Jild 22,Page No.235)
Sawal:Saas ka apne damaad se parda karna durust hai ya nahi?
Jawab:Woh tamaam mard jin se aurat ka nikaah hamesha ke liye haram hai.Magar haram nasab ki wajah se nahi ho balki doodh ke rishte ki wajah se ho jaise doodh ke rishte se baap,dada,nana,bhai.bhatija,bhanja,chcha,mamo, beta,pota aur nawaasa.Ya damaadi rishte ki wajah se haram ho jaise sasur, saas, damaad aur bahu.In sab se parda karna aur nahi karna dono durust hai.Magar aaj ke fitne ke zamaane me jawaani ki haalat me parda karna hi munaasib hai.Khaas kar ke doodh ke rishte me, kyunki aaj awaam ke khayaal me is rishte ka ehtaraam bahut kam hota hai.
Sawal:Kuchh auraten apne ghar ke andar jama ho kar is tarah buland awaaz se milaad sharif pardhti hain ki un ki awaaz baahar tak jaati hai.To is tarah se auraton ka milaad sharif padhna kaisa hai?
Jawab:Auraton ka is tarah se kuchh padhna ki awaaz gair maharam bhi sune sawaab nahi balki gunaah hai.Mahfal me ho ya tanhaayi me.Isi liye auraton ko haj ke dauraan buland awaaz se talbiya yani Labbaik Allahumma Labbaik kahne aur azaan wagairah dene ki ijaazat nahi hai.(Fatwa Razwiya,Jild:22,Page No.242)
Sawal:Auraton ka mazaar sharif par jaana kaisa hai?
Jawab:Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne auraton ke haalaat dekhte hue apne zamaane me farz namaaz ada karne ke liye masjid jaane se mana farma diya jise saare sahaba aur sahaabiya jo khud huzur ke zamaane me masjid me namaaz padhti thi maana aur woh sab apne gharon me namaaz padhne lagein.Aur Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha ne farmaya ki:Aaj auraton ne jo haal bana liya hai agar huzur hote to un ko masjid jaane se aise hi mana kar dete jaise bani-Israa’il ki auraton ko mana kar diya gaya tha.(Sahi Bukhari,Hadis No.869.Sahi Muslim,Hadis No.445) Jab farz ada karne ke liye auraton ka masjid me jaana durust nahi to mazaar par jaane ki ijaazat kaise ho sakti hai jo ki farz aur wajib bhi nahi.Is liye auraton ka mazaar par jaana hargiz durust nahi hai agarche shauhar ijaazat de.
Sawal:Kuchh auraten Safar ke mahine ki aakheri Budh(Wednesday)Manaati hain aur ye kahti hain ki is din Huzur Sallallaho alaihe wasallam bimaari se shifa-yaab hue the.Is ki kiya haqiqat hai?
Jawab:Is ki koi haqiqat nahi hai.Ye jehaalat hai.Mahine ki aakheri Budh ko aisa kuchh nahi howa tha.
Sawal:Kuchh auraten muharram ke mahine me zeb-o-zinat nahi karti,na hi kaajal aur surma lagaati hain aur na hi chaar-paayi par soti hain.Ye sab kaisa hai?
Jawab:Ye sab jehaalat hai.Shari’at ki taraf se ye sab chizen mana nahi hai.
Sawal:Shauhar ka naam le kar bulaana kaisa hai?
Jawab:Shauhar ka naam le kar pukaarna achhchhi baat nahi hai.Lekin ye jo mash’hoor hai ki is se nikaah tot jaata hai bilkul galat hai.Aisa kuchh nahi hai.
Share.........




Related Topics



Wazu aur Gusal ke Masaail Namaz ka Mukammal Tariqa Namaz ke Masaail Haiz aur Nafaas ke Masaail Bimari ki wajah se aane wale khoon ke Masaail Banao Singhaar ke Masaail Libaas ke Ahkam-o-Masaail Nikah aur Talaaq ke Masaail



Dawat-E-Quran