Banao Singhar Ke Masaail



Sawal: Insaano ke bane hue baalon ki chotiyan sar me lagana kaisa hai ?
Jawab: Insaano ke bane hue balloon ki chotiyan sar me lagana najaiz o gunah hai, haan! plastic aur kaale dhaage ka istemaal karne me koi harj nahi hai. Hazrat Asma binte Abu Bakr siddiq radhi allaho anha bayan karti hain ki : Ek aurat huzur ﷺ ki baargah me aayi aur arz ki ke : Ya Rassolallah ﷺ meri beti ki shadi hui phir woh bimaar par gayi jiski wajah se uske baal jhar gaye, agar main uske sar me aur baal laga dun to kya mujhe gunah hoga ? Aap ﷺ ne farmaya ke : Baal lagane aur lagwane wali auraton par Allah Ta’ala ne l’anat farmaya hai.(Sunan Nasai Hadees No.5250)
Sawal: Auraton ke liye kis tarah ki khusbu jaaiz hai aur kis tarah ki nahi ?
Jawab: Auroton ke liye woh khusbu behtar hai jiska rang zaahir ho lekin khusbu halki ho. Aur aisi tez khusbu lagana ki chalet hue jsksi bu dusre ko mehsoos ho najaiz o gunah hai, Hazrat Abu Hurairah radhi allaho anho bayan karte hain ki : Rasoolallah ﷺ ne farmaya : Mardon ki khusbu woh hai jiski mehak zaahir aur rang chhupa ho aur auroton ki khusbu woh hai jiska rang zaahir ho aur mehak halki ho(Tirmizi Hadees :2787)Aur Hazrat Ash-ari Radhi allaho anho bayan karte hain ki : Nabi karim ﷺ ne farmaya ke beshak woh aurat jo tez khusbu lagaee phir woh kisi qaum ke paas se guzri ke woh log us khusbu ko mehsoos kare to woh zaaniya hai(Sunan e Nasai Hadis No.5162)
Sawal: Kuch auratein khubsurat dikhne ke liye bhaon ke baal banwaati hain isi tarah daanton ki khubsurti ke liye use raitwati hain iska kya hukm hai ? ye jaaiz hai ya na-jaaiz?
Jawab: Ye sab sakht najaiz o gunah hai Hazrat Abdullah bin masood radhiallaho anho bayan karte hain ki : Rasoolallah ﷺ ne Godna gudwane wali, daanton ko kushada karwane wali, bhaon ke baal nochwane wali auraton par l’anat farmaya(Bukhari hadees No.5931)
Sawal: Sone chandi ke elawah loha, taamba, pital, alumunium aur steel waghairah ke zeweraat istemal karna kaisa hai ?
Jawab: Sone Chandi ke elawah dusre dhaat se bane zeweraat ka istemaal karna najaiz o haraam hai, haan agar uspar sone ya chandi ka paani is tarah chadha diya jaae ke woh sone ya chandi hi ka maloom pade to phir uska istemaal karna jaiz hai. (Sunan Nasai hadees No.5205)
Sawal: Mehndi, Kaanch ki churiyaan, lipstick, sindoor aur nail polish waghairah ka shar-ee hukm kya hai ?
Jawab: Auraton ke liye afzal hai ki woh apne haath me mehndi lagae kyunke Huzur ﷺ ne bagair mehndi lagae aurat ke haath ko pasand nahi farmaya (Sunan Nasai:5089)aur kaanch ki churiya bhi durust hai kyunke shari’at ne is se mana nahi farmaya aur agar apne shauhar ke liye singhar ki niyat se pehnegi to sawab bhi hai kyunki “amal ka daro-madar niyyaton par hota hai” aur agar maa baap hukm de to wajib hai(Fatawa e razwiya jild :22 pg :115)Lipstick, nailpolish jaaiz hai, jab ki usme koi napaak chiz na mili hui ho.Lekin agar woh tah-daar ho to wazu aur gusal ke waqt achchhi tarah saaf kar le,nahi to wazu aur gusal nahi hoga.Aur sindoor musalman auraton ke liye jaaiz nahi hai kyunke ye kafira auraton ki nishani aur tariqa hai.Huzur ﷺ ne farmaya : Jo kisi qaum ki mushabihat ekhtiyar kare woh bhi usi me se hai.
Sawal: Kuchh auraten dusre mardon se mehndi lagwati hain isi tarah kuchh auraten mard dukandaar se churiyan pahan waati hain iska kya hukm hai ?
Jawab: ye sab sakht najaiz o haraam hai.
Sawal: Maathe par bindiyan lagana kaisa hai?
Jawab: Jin jaghon par maathe par bindiya lagana khaas kafira auraton ki nishani hai un jaghon ki auraton ke liye maathe par bindiya lagana durust nahi hai, magar jin ilaaqon me ye khaas gair-mazahab wali auraton ki pehchan nahi hai wahan laga sakti hai koi harj nahi.
Sawal:Auraton ka baal katwana kaisa hai ?
Jawab: Agar baalon ka itna hissa katwaati hain jiski wajah se mardana mushabihat nahi hoti hai to jaaiz hai.lekin itna chhota karwaati hain jis ki wajah se mardon ki mushabihat hoti hai to sakht najaiz o haraam hai,Huzur ﷺ ne aisi auraton par laanat farmayi jo mardon ki mushabihat ekhtiyaar karti hain.
Sawal:Auraton ka sone chandi ke surma daani se surma lagane ka hukm kya hai ?
Jawab: Sone chandi ke bartan, palang, kursi aur dusari chezen jis tarah mardon ke liye haraam hai usi tarah auraton ke liye bhi haraam hai.
Sawal: Auraton ka chhote bachchon ke haath me mehndi lagana kaisa hai ?
Jawab: Najaiz o gunaah hai.
Sawal:Auraton ka apne chhote ladko ke haath me sone ya chandi ka bala pehnana kaisa hai ?
Jawab: Najaiz o gunah hai.
Sawal:Auraton ka bajne wale zeweraat ka pehnna kaisa hai ?
Jawab: Jaaiz hai, jabke muhram ke elawah dusre mardon ke samne na ho.
Share.........




Related Topics



Wazu aur Gusal ke Masaail Namaz ka Mukammal Tariqa Namaz ke Masaail Haiz aur Nafaas ke Masaail Bimari ki wajah se aane wale khoon ke Masaail Libaas ke Ahkam-o-Masaail Nikah aur Talaaq ke Masaail Mutafarriq Masaail



Dawat-E-Quran