Ehraam Ke Masaail



Ehraam Ka Matlab:Ehraam ka maana hota hai haraam karna.Us kapde ko jo saare haji log pahante hain “Ehraam” is liye kahte hain ki us ke pahante hi bahut saari baaten jo pahle halal thi haraam ho jaati hain. Jo musalman ehraam pahanta hai us ko Muhrim kaha jaata hai.Aur agar aurat ho to use muhrima kaha jaata hai.
Ehraam ki haalat me jo baaten haraam hain woh ye hain:(1)Sila hua kapda pahan-naa.(2)Sar mein topi pahan-naa,Ya rumaal wagairah baandhna.(3)Sar par kapde ki gathri uthaana.(4) Dastaana pahan naa.(5)Aise moze ya joote pahan naa jis se pair ke bich ka hissa jo ubhra rahta hai chhup jaae.(Is liye hawaai chappal munasib hota hai.) (6) Jism,Kapde ya baalo mein khushbu lagaana.(7)Biwi ke saath ham bistari karna.Isi tarah shahwat ke saath chumna aur gale lagaana. (8)Buri aur gandi baaten bolna ya kisi bhi tarah ka koi gunaah ka kaam karna.Ye sab aam haalat mein bhi haraam hota hai aur ehraam ki haalat mein aur zyada sakht haraam hota hai.(9)Kisi se dunyawi ladaai aur jhagda karna.(10)Kisi bhi jaanwar ka shikaar karna ya kisi bhi tarah us par madad karna.(11) Apna ya dusre ka naakhun kaatna. Ya dusre se katwaana.(12)Sar ya daarhi ke baal kaatna,Bagal ke baal banana,Balki sar se le kar pair tak kahen se koi bhi baal badan se alag karna.(13) Wasma ya mehandi ka khizaab lagaana.(14)Zaitoon ka tel ya Til ka tel chaahe begair khushbu wala hi kyun nahi ho,baalo ya jism par lagaana.(15)Kisi ke sar ka baal kaatna ya saaf karna,Chaahe woh ehraam mein ho ya nahi ho.Haan jab ehraam se baahar hone ka waqt aagaya to woh ab apna ya dusre ka sar saaf (Mond) sakta hai. (16) Joon maarna ya phenkna,Kisi ko maarne ke liye ishaara karna,Us ko maarne ke liye kapda dhona ya dhoop mein daalna ya baalo mein kisi tarah ka dawa lagaana yani kisi bhi tarah usko halaak karne ka zariya ban naa. Ye saari baaten ehraam mein haraam hoti hain.Aur agar koi ehraam ki haalat mein in mein se kuchh kar le ya bhule se ho jaae ya kisi majburi ki bunyad par use karna hi pad jaae to galti ke etebaar se us ka alag alag kaffara hota hai jis ka ada karna zaruri hota hai.
Ehraam ki haalat me jo baaten makrooh hain woh ye hain:(1)Jism ka mail chhodaana.(2)Baal ya jism saabun wagairah se dhona.(3)Kanghi karna.(4)Is tarah se khujlaana ki baal tootne ya joon girne ka dar ho.(5) Kurta wagairah pahan ne ki tarah kandho par daalna.(6)Jaan bujh kar khushbu songhna.(7)Khushbu wale phal ya patta jaise lemu aur Podina wagairah songhna,Haan inke khaane mein koi harj nahi hai.(8)Koi aisi chiz khaana ya pina jis mein khushbu padi ho aur use nahi pakaai gaee ho aur nahi uski khushbu khatam hogaee ho.(9) Kaaba sharif ke gilaag ke andar is tarah se daakhil ho jaana ki gilaaf sharif sar yam unh se lage.(10)Naak ya munh ka koi bhi hissa kapde se chhupaana.(11)Takiya par munh rakh kar oondhe letna.Ye aam haalat mein bhi mana hai ki hadis sharif mein is tarah se sone ko jahannamiyo ka tariqa bataya gaya hai.(12)Begair sila hua kapda jise mein paiwand lagi ho ya rafu kiya gaya ho use pahan naa. (13) Taawiz agarche begair sile hue kapda mein lapeta gaya ho use baandhna.(14)Sar yam unh par patti baandhna.(15) Begair kisi majburi ke badan par patti baandhna.(16)Lungi ya chaadar ke kinaaro ko baandh lena.(17) Rupiye paise rakhne ki niyat se jeb wala belt baandhne ki ijaazat hai.Magar sirf tahband ko kasne ki niyat se belt ya rassi wagairah baandhna makruh hai.
Jo baaten ehraam ki haalat me jaaiz hain woh ye hain:(1)Miswak karna.(2)Anguthi pahan naa.(3)Begair mail chhudaae gusal karna.(4) Kapde dhona.(5) Sar ya badan is tarah se khujlaana ki baal nahi toote.(6)Chhatri lagaana ya kisi chiz ke saae mein baithna.(7) Chaadar ke aanchalo ko tahband mein ghurasna.(8) Toote hue naakhun ko alag karna.(9)Phunsi tod dena.(10)Aankh mein jo baal nikle use alag karna.(11) Khatna karna.(12) Saanp, Bichchho, Khatmal,Machchhar Makhkhi aur dusre taklif dene wale jaanwaro ko maarna.(13) Sar yam unh ke elawah kisi aur jagah par patti baandhna.(14) Sar ya gaal ke niche takya rakhna.(15) Kaan kapde se chhupana.(16) Sar ya naak par apna ya dusre ka haath rakhna.(Kapda ya Rumal nahi rakh sakte)(17)Sar par galle wagairah ki bori uthana jaaiz hai lekin kapde ki gathri uthaana haraam hai. Hann,Aurat dono utha sakti hai.(18)Kadwa tel,Ya baadam aur Naaryal ka tel jis me khushboo nahi daali gaee ho us ka baalo aur jism par lagaana jaaiz hai.(19)Paaltu jaanwar jaise oont,gaae,bakri aur murgi wagairah ko zebah karna,us ka gosht pakaana aur khaana jaaiz hain.(Bahare shari’at,Vol:1,Page No.1081)
Mard aur aurat ke ehraam me Farq:Ehraam ke tamaam masa’il me mard aur aurat dono ka ek hi hukm hai jaise jis tarah mard ke liye naakhun kaatna haraam hai usi tarah aurat ke liye bhi haraam hai.Lekin kuchh baato me mard aur aurat ke darmiyan farq hai.Woh baaten ye hain.
(1)Mard ke liye sila hua kapda pahan na haraam hai.Jab ki aurat ke liye jaaiz hai.Aj kal aurato ke ehraam ke naam par sila silaaya hua scarf milta hai.Maloomat nahi hone ki wajah se bahut saari auraten usi ko apna ehraam samajhti hain.Jab ki aisa kuchh bhi nahi hai.Un ke liye ye hukm hai ki jis tarah hamesha sila hua kapda pahanti hai usi tarah ehraam ki haalat me bhi pahne.Haan agar koi aurat us scarf ko jo ehraam ke naam par milta hai.Begair zaruri samjhe hue pahne to pahan sakti hai us me koi harj nahi hai kyunki aurato ke liye har tarah ke sile hue kapde pahan na jaaiz hai.(2) Sar chhupaana.Ehraam ki haalat me bhi aurato ke liye zaruri hai.jab ki mard ke liye haraam hai. (3) Aurato ke liye sila hua taawiz gale ya baazu me baandhna aurato ke liye jaaiz hai.(4)Kaaba sharif ke gilaaf me is tarah daakhil hona ki gilaaf sar par rahe munh par nahi aae.Kyunki ehraam me munh par kapda daalna aurato ke liye bhi haraam hai.(5)Aurate P CAPE wala naqaab bhi pahan sakti hai.Magar ye ehtiyaat karna zaruri hai ki chehre se touch nahi ho.
Share.........




Related Topics



Haj Aur Umrah ki Fazilat Haj Karna Kis Par Farz Hai? Haj Ki Qismen Haj Karne Ka Tariqa Haj Ke Faraaiz,Wajibaat Aur Sunnaten Aurato Ke Haj Ke Baare Me Sawal Jawab Umrah Karne Ka Mukammal Tariqa



Dawat-E-Quran