Umrah kise kahte hain?
Haj ke dino ke elawah me Khaas ibaadato ke saath Allah Ta’ala ke ghar ki ziyarat karne ko Umrah kahte hain.Yani Miqaat se ehraam baandhna,Do rik’at nafil namaz padhna aur umrah ki niyat ke baad Talbiya padhna,Tawaf karna,Saee aur Halq ya Taqseer karaane ko umrah kahte hain.
Jo baaten Umrah me farz aur wajib hain?
Umrah me 2 baaten farz hain.Ye chhoot jaaen to umrah baatil ho jaata hai.
1:Haram ke hudood ke baahar se ehraam baandhna.
2:Tawaf karna.
Umrah me 2 baaten wajib hain. 1:Safa aur Marwa pahaad ke darmiyan daurna.2: Halq yani sar ke baal mondaana Ya Qasar yani sark e baal kam karaana.Agar ye chhoot jaaen to bakra dam ke taur par dena padega.
Ehraam ka tariqa:
Ehraam baandhne se pahle jism ki zaaheri safaai ka khaas ehtemaam karni chaahiye.Nakhoon kaaten,Naaf ke niche aur bagal ke baal saaf karen,Moonchh aur daarhi durust karen us ke baad khoob achchhi tarah se mal kar gusal karen.Khushbo lagaaen,Phir mard sila hua kapda utaar kar begair sili hui ek chaadar ka tahband naaf ke upar se bandh len aur ek chaadar kandho par se oodh len. Aurat apne sile hue kapde hi me ehraam ki niyat karen.
Ehram ki niyat:
Ehraam baandhne ke baad do rik’at namaz ehraam ki niyat se padhe.Salam pherne ke baad Ehraam ki niyat karte hue apni zuban se ye kahen.
اَللَّهُمَّ نَوَيْتُ الْعُمْرَة وَاحْرَمْتُ بِه فَتَقَبَّلْه‘ مِنِّیْ
Allahumma nawaitul umrata wa ahramtu behi fa-taqabbalhu minni.
Ya Allah main ne Umrah ki niyat kiya aur main ne ehraam bandh liya hai to ise meri taraf se qabool farma.
Umrah ki niyat:
Ehram ki niyat karne ke fauran baad mard apne sar se kapda hata le aur aurat saar ko dhaanpe rahne hi ki haalat me umrah ki niyat karen.Umrah ki niyat Huzur Sallallahu alaihe wasallam is tarah se karte the.
اَللَّهُمَّ اِنِّیْ اُرِيْدُ الْعُمْرَة فَيَسِّرْهَالِیْ وَتَقَبَّلْهَا مِنِّیْ وَاَعِنِّیْ عَلَيْهَا وَبَارِکْ لِیْ فِيْهَا نَوَيْتُ الْعُمْرَة وَاَحْرَمْتُ بِهَا ِﷲِ تَعَالٰی
Allahumma inni Uridul umrata fa-yassirha lee wa taqabbalha minni wa a’inni alaiha wa baarik lee feeha. Nawaitul umrata wa ahramtu beha lillahi ta’ala.
Tarjama: Ya Allah maine umrah ka iraada kiya.To ise mere liye asaan karde aur ise meri taraf se qabool farma le aur iski adaaegi me meri madad farma aur is me mere liye barkat ata farma.Main ne umrah ki niyat kiya aur main iske saath Allah ta’ala ke liye ehraam bandha.
Talbiya:
Umrah ki niyat karne ke baad mard zara buland awaaz se aur aurat aahista awaaz se 3 baar Talbiya padhe.Talbiya ke kalme ye hain.
لَبَّيْکَ اَللَّهُمَّ لَبَّيْکَ، لَبَّيْکَ لاَ شَرِيْکَ لَکَ لَبَّيْکَ، اِنَّ الْحَمْدَ وَالنِّعْمَة لَکَ وَالْمُلْکَ، لاَ شَرِيْکَ لَکَ
Labbik!Allahumma Labbaik! Labbaik! Laa shareeka laka Labbaik! Innal Hamda wan-ne’mata laka wal Mulk,Laa shareeka lak.
Tarjama: Main Hazir hun.Ya Allah main Hazir hun.Main hazir hun,Tera koi shareek nahi,Main hazir hun.Beshak tamam taarifen aur nematen tere liye hain aur Mulk bhi,Tera koi shareek nahi hai.
Talbiya ke baad Darood shareef padh kar ye dua maange.
اَللّٰهُمَّ إنِّیْ اَسْئَلُکَ رِضَاکَ وَالْجَنَّة وَ اَعُوْذُبِکَ مِنْ غَضَبِکَ وَالنَّارِ
Allahumma inni asaluka rizaaka wal jannata. Wa auzubika min gazbika wan-nar.
Tarjama: Ya Allah!Beshak main tujh se teri riza aur Jannat maangta hun aur tere gazab aur Jahannam se teri panaah chaahta hun.
Is ke elawah aur jo bhi dua chaahen maangen.Ab ehraam ki paabandi shuru ho gaee is liye har waqt un paabandiyo ka khayal rakhe aur ziyadah se ziyadah Talbiya padhte rahen.Apne aakhirat ke safar ko yaad karen aur jo bhi gunaah hue hain un sab se dil se tauba karen.Aur dil me Allah ki mohabbat aur dar utaarne ki koshish karte rahen.
Harm-e-Makka me daakhil hone ki dua:
Harm-e-Makka me bade hi adab aur ehteraam ke saath ye dua padhte hue daakhil hon.
اَللّٰهُمَّ اِنَّ هٰذَا حَرَمُکَ وَحَرَمَ رَسُوْلِکَ فَحَرِّمْ لَحْمِیْ وَدَمِیْ وَعَظَمِیْ عَلٰی النَّارِ اَللَّهُمَّ اٰمِنِّیْ مِنْ عَذَابِکَ يَوْمَ تَبْعَثُ عِبَادَکَ وَاجْعَلْنِی مِنْ اَوْلِيَآئِکَ وَاَهْلِ طَاعَتِکَ وَتُبْ عَلَّی اِنَّک اَنْتَ التَّوَابُ الرَّحِيْمُ-
Allahumma inna haaza harmuka wa harma rasulika fa-harrim lahmi wa dami wa azmi alan-naar. Allahumma aaminni min azabika yauma tab’asu ibaadaka waj’alni min auliyaaika wa ahli-ta’atika wa tub alyya innaka antat-tawwabur Raheem.
Tarjama:Ya Allah! Beshak ye tera aur tere piyare Rasool ka haram hai.To mere gosht,khoon aur haddiyo ko Jahannam par haraam karde.Ya Allah to mujhe apne azaab se us din mahfooz rakh jis din to apne bando ko qabr se uthaaega.Aur tu mujhe apne dosto aur farmabardaar bando me shaamil kar le.Aur mujh par karam ki nazar farma.Beshak tu bada hi karam karne wala aur bada meharban hai.
Masjide Haram (Jis ke andar Kaaba sharif hai) me daakhil hone se pahle gusal aur wazu wagairah kar len.Phir khoob ishq-o-mohabbat,Zauq shauq aur aajezi aur inkesaari ke saath Labbaik kahte aur duaen maangte hue pahle siddha pair andar rakhe aur ye dua padhe.
بِسْمِ اﷲِ وَالصَّلٰوة وَالسَّلَامُ عَلٰی رَسُوْلِ اﷲِ اَللّٰهُمَّ افْتَحْ لِیْ اَبْوَابَ رَحْمَتِکَ
Bismillahi Was-salaatu Was-salamu Ala Rasoolillahi,Allahummaf-tah lee abwaaba rahmatik.
Tarjama:Allah ke naam se shuru,Aur Darood-o-Salaam ho Allah ke Rasool Sallallaho alaihe wasallam par.Ya Allah mere liye apni Rahmat ke darwaazo ko khool de.
Phir ye niyat kare ki: Ya Allah!Main jitni der is masjid me rahun utni der ke liye Etekaaf ki niyat karta hun.
Kaaba Sharif par pahli Nazar:
Masjid-e-Haram me daakhil hone ke baad jaise hi Kaaba sharif par pahli nazar pade to ye kahen.
اَﷲُ اَکْبَرُ اَﷲُ اَکْبَرُ اَﷲُ اَکْبَرُ- لَآ اِلَهٰ اِلاَّ اﷲُ وَاﷲُ اَکْبَرُ
Allahu Akbar Allahu Akbar Allahu Akbar.Laa ilaaha illallahu wallahu Akbar.
Us ke baad haath uthaa kar Allah paak se khoob dua maange kyunki ye dua qabool hone ka khaas waqt hota hai.Phir Labbaik kahte hue Kaaba sharif ki taraf qadam badhaae aur Hajr-e-Aswad ke bilkul saamne aa kar tawaf ki niyat karen.
Tawaf ki niyat:
Tawaf se pahle mard izteba kar len.Yani apna siddha baazu chaadar se baahar nikal len
aur Hajr-e-Aswad ya uski seedh me bani hui kaali patti ke baaen taraf khade ho kar Kaaba sharif ki taraf chehra kar ke in lafzo me tawaf ki niyat karen.
اَللّٰهُمَّ اِنِّیْ اُرِيْدَ طَوَافَ بَيْتِکَ الْحَرَامِ فَيَسِّرْهُ لِیْ وَتَقَبَّلْهُ مِنِّیْ سَبْعَة اَشْوَاطٍ ِﷲ تَعَالٰی عزّوجل
Allahumma inni uridu tawafa baitikal haram.Fa-yassirhu lee wa taqabbalhu minni.
Tarjama: Ya Allah!Main tere izzat wale ghar ke tawaf ki niyat karta hun.To ise mere liye asaan karde au rise meri taraf se qabool farma.
Tawaf ki niyat karne ke baad kaali patti ke upar aaen aur Hajr-e-Aswad ke aamne saamne ho kar haath kaano tak is tarah se uthaaen ki haath ki hatheliyan Hajr-e-Aswad ki taraf rahe aur kahen.
بِسْمِ اﷲِ وَالْحَمْدُ ِﷲِ وَاﷲُ اَکْبَرُ وَالصَّلٰوة وَالسَّلاَمُ عَلٰی رَسُوْلِ اﷲِ
Bismillahi wal-hamdu lillahi wallahu Akbar,Was-salaatu was-salamu Ala Rasoolillah.
Itna kah kar haath chhod den,Mumkin ho to Hajr-e-Aswad par apna munh rakh kar use choome, nahi to uski taraf ishaara kar ke haath choom len.Aur Allahumma imanam bika wa ittebaa’an li-sunnati nabyyika kahte hue Kaaba tak badhe.
Tawaf ki dua:
Ab kaali patti par khade khade hi apna rukh is tarah se badle ki Kaaba sharif baaen taraf ho.aur niche likhi hui dua padhne ke baad ramal karta (akad kar kandhe hilaate hue) aage badhe jab ki auraten ramal nahi karengi.dua ye hai.
سُبْحَانَ اﷲِ وَالْحَمْدُ ِﷲِ وَلَآ اِلَهٰ اِلاَّ اﷲُ وَاﷲُ اَکْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قَوَّة اِلاَّ بِاﷲِ الْعَلِیِّ الْعَظِيْمِ اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰی سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَّعَلٰی اٰلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَّبَارِک وَسَلِّمْ
Subhanallahi wal hamdu lillaahi wa laa ilaaha illallaahu wallahu akbar. Wa laa haula wala quwwata illa billaahil alyyil azim.Alla humma salle ala saiyedina muhammadin wa ala aale saiyedina muhammadin wa baarik wa sallim.
Note: Agar tawaaf ki dua yaad na ho to phir subhaanallah, al hamdu lillah, Allahu Akbar,istaghfaar ya kalma-e-shahaadat padhte rahen.Is tarah chalte chalte jab aap dobaarah kaali patti par pahunchenge to ek chakkar mukammal hoga. Teen chakkar ke baad Ramal band karden aur baaqi 4 chakkar apni aam raftaar se chalen.
Tawaaf aur Ijtebaa ka ikhtetaam:
Saat chakkar hone ke baad ek martaba phir istelaam ya istelaam ka ishaara karke tawaf khatam karden aur ijtebaa bhi khatam karden yaani siddha kaandha bhi dhak len.
Do Rik’at Namaaz:
Maqaam-e-ibraaheem par jaa kar jahaan asaani se jagah mil saken do rika’t waajib namaaz adaa karen phir dua maange.
Maqaame Multazam:
Us ke baad aap maqaame multazam (hajar-e-aswad se baab-e-kaaba tak ki 8 fit diwaar ) par jaa kar dua karen, ye dua Qabool hone ki khaas jagah hai aur huzoor sallallahu alaihe wa sallam yahaan badi aajezi ke saath diwaar se lipat lipat kar dua maangte the.
Aabe zam zam peene ki dua:
Maqam-e-multazam se faarigh hone ke baad zam zam ke paas aaen aur Kaaba shareef ki taraf munh kar ke Bismilla padh kar khade khade teen saans me jitna paani pee saken piyen phir Al-hamdulillaah kahe aur ye dua padhen.
اَللّٰهُمَّ اِنِّیْ اَسْئَلُکَ رِزْقًا وَّاسِعًا وَّ عِلْمًا نَافِعًا وَّشِفآءَ مِّنْ کُلِّ دَآءٍ
Alla humma! inni as aluka rizqan waasian ilman naafian wa shifaa am min kulli daa.
Tarjama:Ya allah main tujh se wase’e rizq aur faaida pahunchaane wala ilm aur har bimaari se shifa maangta hun.
Saee’e ki niyat:
Aabe zam zam peene ke fauran baad ya phir thoda sa araam karne ke baad safaa Aur Marwa me saee’e ke liye pahle hajare aswad par aaen aur pahle ki tarah istelaam ke baad safaa ki jaanib rawaana hon dil me saee’e ki niyat karen aur zubaan se ye dua karen.
اَللّٰهُمَّ اِنِّیْ اُرِيْدُ السَّعْیَ بَيْنَ الصَّفَا وَالْمَرْ وَة سَبْعَة اَشْوَاطِ لِّوَجْهِکَ الْکَرِيْمِ فَيَسّرْهُ لِیْ وَتَقَبَّلْهُ مِنِّیْ
Allaahumma inni ureedus sa’eya bainas safaa wal marwati sab’ata ashwaatil liwajhikal kareemi fayassir-hu lee wa taqabbal-hu minni.
Tarjama:Ya Allah main safaa aur marwa ke darmayaan Sirf teri khushnoodi ke liye saat chakkaron se saee’e karne ka iraada karta hun. To use mere liye aasaan kar de aur meri taraf se use qubool farma.
Saee’e(har chakkar) Shuru karne ki dua:
Jab niyat aur dua se faarigh ho jaaen to phir khaana-e-kaaba ki taraf munh kar ke aur dono haath uthaa kar har chakkar ke shuru me apni zubaan se ye alfaaz ada karen.
بِسْمِ اﷲِ اَﷲُ اَکْبَرُ وَ ِﷲِ الْحَمْدُ
Bismillahi Allahu Akbar wa lillahil hamd.
Tarjama:Allah ke naam se shuru karta hun. Allah sab se bada hai aur tamaam ta’ereefen Allah hi ke liye hai.
Safa aur Marwa par chadhne ki dua:
اِنَّ الصَّفَا وَالْمَرْوَة مِنْ شَعَآئِرِ اﷲِ فَمَنْ حَجَّ الْبَيْتَ اَوِاعْتَمَرَ فَلاَ جُنَاحَ عَلَيْهِ اَنْ يَّطَّوَّفَ بِهِمَا وَمَنْ تَطَوَّعَ خَيْرًا فَاِنَّ اﷲَ شَاکِرٌ عَلِيْمٌ
Innas Safa Wal Marwata min Sha’airi Allahi Faman Hajjal Bayta Awi’Tamara fala Junaha Alayhi Ayyattawwafa bihima wa-man tatawwa’a khairan fa’innallaha shakirun Alim.
Tarjama:Beshak Safa aur Marwa Allah ki nishaniyon me se hain.To jo shakhs Allah ke ghar ka haj ya umrah kare to us par koi gunaah nahi ki in dono (ke darmiyan) chakkar lagaae,Aur jo shakhs apni Khushi se koi neki kare to yaqinan Allah bada qabool farmane wala aur jaan ne wala hai.
Safa se utarne ki dua:
Safa ya Marwa se utarte waqt ye dua padhe.
اَللّٰهُمَّ اسْتَعْمِلُنْی بِسُنَّة نَبِيِّکَ صلی الله عليه وآله وسلم وَتَوَقَّنِیْ عَلٰی مِلَّتِه وَاَعِذْنِیْ مِنْ مُّضِلاَّتِ الْفِتَنِ بِرَحْمَتِکَ يَا اَرْحَمَ الرَّاحِمِيْنَ-
Allahumma!Ista’miluni bisunnati nabyyika Sallallahu Alaihe wasallam Wa Tawaffani ala millatehi Wa A’izni mim-Muzallatil fitani Bi-rahmatika Ya Arhamar raahemin.
Tarjama:Ya Allah mujhe apne Nabi ki sunnat ki pairwi karne wala bana de.Aur mujhe un ke deen par maut nasib farma aur mujhe apni rahmat se gumraah karne wale fitno se apni panaah ata farma.Ay sab se ziyadah raham karne wale.
Marwa ki taraf chalet hue ye dua karen:
Safa ki sidhiyo se utarte hi Marwa ki taraf safar shuru ho jaata hai.Is liye Marwa ki taraf chalet hue ye dua padhe.
سُبْحَانَ اﷲِ وَالْحَمْدُ ِﷲِ وَلاَ اِلٰهَ اِلاَّ اﷲُ وَاﷲُ اَکْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّة اِلاَّ بِاﷲِ الْعَلِيِّ الْعَظِيْمِ
Subhanallahi Wal-Hamdulillahi Wa-Laa-ilaaha illalahu Wal-llahu Akbar.Wa laa haula Wa laa Quwwata illa billa-hil Alyyil Azeem.
Tarjama:Allah paak hai.Sab taarifen Allah ke liye hain.Aur Allah ke siwa koi ibaadat ke laaeq nahi hai.Aur Allah sab se bada hai.Neki karne aur gunaah se bachne ki taaqat nahi,Magar Allah ki madad se jo bahut buland shaan aur azmat wala hai.
Note:Agar ye dua zubani yaad na ho to phir “Subhanallah,Al-Hamdulillah, Allahu Akbar,Istigfaar (Astagfirullah) Ya koi bhi Darood sharif padhte rahen.
Mas’ala::Safa se Marwa tak jaane ko ek chakkar aur Marwa se Safa tak aane ko dusara chakkar kahte hain.Is tarah saatwaan chakkar Marwa par khatam ho jaata hai.Har phere me jab Safa ya Marwa par pahunche to haath uthaa kar Qibla ki taraf munh kar ke dua karen.Saatwe phere ke baad Sa’ee khatam ho gaee,Ab phir haath utha kar Qibla ki taraf mu munh kar ke dua karen.
Halq Ya Taqseer:Jab Safa aur Marwa ki daur mukammal ho jaae to ab Misjid-e-Haram se baahar aa jaaen aur mard hazraat Halq yani sar chhilaae ya Taqseer yani baal chhota karwaae aur Aurat sar ke pichhle hisse se sirf ek pore ke barabar baal kaat len.
Ab Umrah mukammal ho gaya Aur Ehraam ki paabandi khatam ho gaee,Apne Hotel par jaa kar ehraam utaar den.
Allah paak se dua hai ki Allah paak ise apne Mehboob Sallallahu alaihe wasallam ke sadqe apni baargaah me qabool farmae.Ameen………….
Share.........
Haj Aur Umrah ki Fazilat Haj Karna Kis Par Farz Hai? Haj Ki Qismen Haj Karne Ka Tariqa Haj Ke Faraaiz,Wajibaat Aur Sunnaten Ehraam Ke Masaail Aurato Ke Haj Ke Baare Me Sawal Jawab