Aasmani Kitabon Ke Baare Me Islami Aqide



Allah Ta’ala ne insaano ki hidayat ke liye ambiya-e-kiram par chhoti badi bahut saari kitaben naazil farmaya,un me se chhoti kitaab ko sahifa aur badi ko KITAAB kaha jaata hai.4 kitaben bahut mash’hoor hain (1)Tauret,jo hazrat-e-Musa alaihissalam par naazil hui. (2) Zaboor,jo hazrat-e-Dawood alaihissalam par naazil hui.(3) Injeel,jo hazrat-e-Isa alaihissalam par naazil hui.(4)Quran sharif,Jo hamare nabi Mohammad sallallaho alaihe wasallam par naazil hui.
In tamaam kitabon par imaan laana yani un ko haq aur khuda-e-ta’ala ki kitaab maan-na zaruri hai aur in me se kisi ka bhi inkaar karna kufr-o-bedeeni hai.[Surah Aal-e-Imran,Aayat No.184,Surah Nisa,Aayat No.136]
Magar Quran sharif ke elawah jo bhi kitaaben naazil hui un me se kisi ki bhi hifazat ki zimmadari Allah ta’ala ne nahi liya is liye aaj aksar kitaabon ka naam-o-nishaan bhi nahi milta aur jin kitaabon ka naam-o-nishan baqi hai jaise ki Tauret aur injeel wagairah,to in me se koi bhi kitaab apni asal surat me nahi hai balki us me Yahoodiyon aur Isa’iyon ke ulma ne apne dunyawi faaide ke liye ghata badha diya hai aur bahut saari jaghon par radd-o-badal bhi kar diya hai.Is haqiqat ko Allah ta’ala ne khud Quran sharif me kayi jaghon par bayan farmaya hai,un me se kuchh aayaten ye hain.[Surah baqra,Aayat No.75.79,Surah Maaidah,Aayat No.13]
AQIDA:Quran sharif ko Allah Ta’ala ne hazrat-e-jibreel ke zariye Huzur sallallaho alaihe wasallam par naazil kiya aur khud us ki hifaazat ki zimmadari bhi liya is liye is kitaab me koi radd-o-badal nahi hua aur nahi qayamat tak ho sakta hai. Allah ta’ala irshad fermata hai:

اِنَّا نَحْنُ نَزَّلْنَا الذِّکْرَ وَ اِنَّا لَہٗ لَحٰفِظُوۡنَ[سورۃالحجر:۹]

TARJAMA:Beshak Ham ne Quran ko naazil kiya aur beshak ham zarur us ki hifaazat karne wale hain.[Surah Al-hajar,Aayat No.9]

وَ اِنَّہٗ لَکِتٰبٌ عَزِیۡزٌ لَّا یَاۡتِیۡہِ الْبَاطِلُ مِنۡۢ بَیۡنِ یَدَیۡہِ وَ لَا مِنْ خَلْفِہٖ ؕ تَنۡزِیۡلٌ مِّنْ حَکِیۡمٍ حَمِیۡدٍ[سورۃ حم السجدۃ:۴۱۔۴۲]

TARJAMA: Aur beshak woh(Quran) izzat wali kitaab hai,baatil na us ke aage se aa sakta hai aur nahi us ke pichhe se,Ye utaara huwa hai hikmat aur khubiyon wale ki taraf se.[Surah Haamim Al-Sajda,Aayat No.41,42]
Matlab: “Baatil us kea age se aa sakta hai aur na hi us ke pichhe se”is ka matlab ye hai ki nahi us me kuchh badhaya ja sakta hai aur nahi us me se kuchh kam kiya jaa sakta hai yaani kisi bhi tarah us me kuchh bhi change nahi kiya jaa sakta hai,Mufasserin farmaate hain ki Shaitaan bhi us me kisi bhi tarah ki tabdili nahi kar sakta hai.
Upar likhi hui aayaat-e-karima se saabit ho gaya ki Quran sharif me kisi bhi tarah ki kami ya ziyadati nahi hui aur nahi koi chaah ke bhi kar sakta hai kyunki is ki hifaazat ki zimmadari khud Alllah ta’ala ne le liya hai.Is liye agar koi ye kahe ki is Quran me kuchh ghata ya badha diya gaya hai,Ya jaisa Quran naazil huwa tha ab waisa nahi hai to woh Quran sharif ka inkaar karne wala hai aur kafir-o-bedeen hai.
AQIDA:Puri dunya ke insaan-o-jinnat bhi mil kar Quran ki tarah koi kitaab nahi bana sakte,balki us ki sab se chhoti surat ki tarah koi surat bhi nahi bana sakte hain.Allah ta’ala ka farmaan hai.

ُِوَمَنْ يَكْفُرْ بِاللَّهقُلۡ لَّئِنِ اجْتَمَعَتِ الۡاِنۡسُ وَالْجِنُّ عَلٰۤی اَنۡ یَّاۡتُوۡا بِمِثْلِ ہٰذَا الْقُرْاٰنِ لَا یَاۡتُوۡنَ بِمِثْلِہٖ وَلَوْ کَانَ بَعْضُہُمْ لِبَعْضٍ ظَہِیۡرًا [سورۃ الاسراء:۸۸]

TARJAMA: (Aye Nabi) Aap kah dijiye ki agar saare insaan aur jinnat is Quran ki tarah(koi aur kitaab)mil kar laane ke liye jama ho jaaye(phir bhi)is ki tarah nahi laa sakte agarche un me se ek dusre ka madad gaar ho jaaye. [ Surah Isra,Aayat No.88]

اَمْ یَقُوۡلُوۡنَ افْتَرٰىہُ ؕ قُلْ فَاۡتُوۡا بِسُوۡرَۃٍ مِّثْلِہٖ وَ ادْعُوۡا مَنِ اسْتَطَعْتُمۡ مِّنۡ دُوۡنِ اللہِ اِنۡ کُنۡتُمْ صٰدِقِیۡنَ [سورہ یو نس :۳۸]

TARJAMA: Kiya ye kahte hain ki unho ne ise bana liya hai?tum kaho us ke jaisi ek surah bana kar le aao,aur Allah ko chhod kar jo mil sake sab ko bula laao agar tum sachche ho.[Surah Yonus,Aayat No.38]
Faaida:Quran Allah ta’ala ki kitaab hai.Is ki sab se badi dalil yahi hai ki puri dunya ke jinnat-o-insaan bhi mil kar is kitaab ki tarah koi kitaab ya is kitaab ki kisi surah ke jaisi surah nahi bana sakte hain.kyunki inssano ki banayi hui chizon aur Allah ta’ala ki banayi hui chizon me yahi farq hai ki insaan ki banayi hui chiz ki tarah dusra insaan bana sakta hai jaise Computer, Hawayi jahaaz,Train aur Mobile wagairah ye sab kisi insaan ne banaya phir is ki tarah balki is se bhi behtar hazaaron insaan bana rahe hain aur banate rahyenge,Magar Alllah Ta’ala ki banayi hui chizon ki tarah koi insaan nahi bana sakta jaise Zameen, Aasmaan, Chand, Suraj,Machhli,Makhkhi,Machhhar,Jugno wagairah ye sab Allah ta’ala ki banayi hui chizen hain is liye Aaj tak koi in ki tarah na bana saka hai aur nahi bana sakta hai.
AQIDA:Quran sharif ki har aayat par imaan laana zaruri hai ek aayat ka bhi inkaar karna kufr-o-bedeeni aur halakat-o-barbadi ka zariya hai.Allah ta’ala irshad fermata hai:

اَفَتُؤْمِنُوۡنَ بِبَعْضِ الْکِتٰبِ وَتَکْفُرُوۡنَ بِبَعْضٍ ۚ فَمَا جَزَآءُ مَنۡ یَّفْعَلُ ذٰلِکَ مِنۡکُمْ اِلَّا خِزْیٌ فِی الْحَیٰوۃِ الدُّنْیَا ۚ وَیَوْمَ الْقِیٰمَۃِ یُرَدُّوۡنَ اِلٰۤی اَشَدِّ الْعَذَابِ ؕ وَمَا اللہُ بِغَافِلٍ عَمَّا تَعْمَلُوۡنَ[سورۃ البقرۃ:۸۵]

TARJAMA: Kya tum kitaab ke kuchh hisse par imaan laate ho aur kuchh ka inkaar karte ho,Jo bhi aisa karta hai to us ki saza dunya me ruswaayi hai aur Qayamat ke din use sakht azaab ki tarf pher diya jaayega,Aur jo kuchh tum karte ho Allah us se gaafil nahi hai.[Surah baqra,Aayat No.85]
AQIDA:Quran sharif ki aayaton me koi ekhtilaf nahi hai.Jaisa ki khud Allah ta’ala ne irshad farmaya ki:

اَ فَلَا یَتَدَبَّرُوۡنَ الْقُرْاٰنَ ؕ وَلَوْ کَانَ مِنْ عِنۡدِ غَیۡرِ اللہِ لَوَجَدُوۡا فِیۡہِ اخْتِلَافًا کَثِیۡرًا [سورۃ النساء:۸۲]

TARJAMA: Kya woh log Quran me gaur nahi karte hain,agar woh Allah ke elawah ke pass se hota to zarur us me bahut ekhtilaf paate.[Surah Nisa,Aayat No.82]
Faaida: Quran sharif ki kuchh aayaton se hame maloom hota hai ki Izzat aur taaqat Sirf Allah ke liye hai isi tarah kuchh aayaton se maloom hota hai ki Gaib ka ilm sirf Allah ta’ala ko hai, Phir dusri aayaton se maloom hota hai ki Izzat aur taaqat Allah ke saath us ke rasoolon , farishton aur momino ko bhi hai isi tarah gaib ka ilm rasoolon ko bhi hai. To is ka matlab ye nahi hai ki Quran sharif ki ek aayat galat aur dusri sahi hai ya dono me ekhtilaaf hai.balki sirf hamari samajh me ekhtilaf hai haqiqat me nahi.Kyunki jin logon ko Allah ta’ala apne fazl se Quran ke ilm me maharat ata farmaya un logon ne wazeh kar diya hai ki Jahaan par ye hai ki Izzat aur taqat ya gaib ka ilm sirf Allah ko hai wahan par matlab ye hai ki “Begair kisi ke diye khud se izzat-o-taqat aur gaib ka ilm sirf Allah ta’ala ko hai”aur jahaan par ye hai ki izaat-o-taaqat Allah ke saath us ke rasoolon,farishton aur momino ke liye bhi hai to us ka matlab ye hai ki “in logon ko bhi hai magar khud se nahi balki Allah ke ata karne se hai” is liye dono tarah ki aayaton me koi ekhtilaf nahi.
Is baat ko hamesha yaad rakhe ki Quran sharif ki aayaton me koi ekhtilaf nahi hai jaisa ki khud Allah ta’ala ne upar wali aayat me farma diya . Aur agar kisi jagah par hame aisa lagta hai to yaqenan ye hamari samajh hi ki galti hai aisi surat me hame ulma se is ka hal maloom karni chahiye.kyunki Allah ta’ala ne irshad farmaya ki: Agar tum nahi jaante ho to jaan ne walo se puchho.[Surah Nahal,Aayat No.43]

Share.........




Related Topics



Allah Ta'ala ke baare me islami aqide Ambiya-e-Kiram ke baare me islami aqide Hamare Nabi ﷺ ke baare me islami aqide Farishton ke baare me islami aqide Taqdeer ke baare me islami aqide Sahaba ke baare me islami aqide Auliya Allah ke baare me islami aqide Aakhirat ke baare me islami aqide Qayamat ke baare me islami aqide



Dawat-E-Quran