Qayamat Ke Baare Me Islami Aqide



Ek din aisa aa’ega jis din puri dunya tabah-o-barbaad ho jaayegi,saare insane aur janwar mar jaayenge, zamin, asmaan,chand,suraj,sitaare aur pahaad wagairah sab toot phoot kar fana ho jaayenge.isi din ko Qayamat kehte hain.Ye haq hai aur is ka inkaar karne wala kaafir-o-be’deen hai.
AQIDA:Qayamat ki bahut saari nishaanyan hain jo Qayamat ke hone se pehle zaahir hongi.Hadison me bahut saari nishaanyan bayan ki ga’ee hain,jaise Maal-o-daulat ka khoob ziyadah hona, zina’kaari ka aam ho jaana,Naach gaane aur haraam kaamon ka khullam khulla hona,Auladon ka apne maa baap ki naafarmani karna aur un par hukm chalana, Bad’kaar aur zalil logon ka Qaum ka leader ho jaana,Musaafaton(distances) ka simat jaana,Waqt me barkaton ka khatam ho jaana,ilm ka uth jaana,Jahilon ka fatwa dena aur logon ko gumraah karna wagairah.In ke elawah qayamat ki kuchh badi nishanyan hain jo qayamat se pahle zarur zaahir hongi,woh ye hain. (1)Dajjal ka nikalna.(2)Yajuj majuj ka zaahir hona.(3)Hazrat e Isa alaihissalam ka aasman se utarna.(4) Hazrat-e-imam mehdi ka zaahir hona.(5) Pachchhim,purab aur Arab me zameen ka dhans jaana.(6) Dabbatul’Arz ka nikalna.(7)Suraj ka pachchhim se nikalna. wagairah wagairah.
AQIDA: Jab tak ek bhi Muslaman zamin par zinda rahega us waqt tak Qayamat Qaa’im nah hogi,Yani ki Qayamat sirf kaafiron par aayegi aur saare Muslamn us se pahle hi dunya se khatam hojaayenge.Jaisa ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Dajjal ke bare me ek lambi hadis bayan karte hue farmaya ki: log isi haalat par honge ki ek paakizah hawa chalegi jo logon ki baglon se guzregi jis ke asar se saare musalmano ki rooh Qabz ho jaayegi aur dunyan me sirf bure log hi baaqi rah jaayenge jo aise khule aam zina karyenge jaise gadhe karte hain to unhi logon par Qayamat aayegi.[Sahi Muslim,hadith No.2937]
Sahi Muslim ki ek dusari riwayat ke alfaaz ye hain: phir Allah taala ek paakizah hawa bhejega jis ki wajah se un tamaam logon ka inteqaal ho jaayega jinke dil me raa’ee ke daane ke baraabar bhi imaan hoga aur sirf woh log baaqi rah jaayenge jinke andar koi bhala’ee nahi hogi to woh log apne baap dada ki deen ki taraf laut jaayenge. [Sahi Muslim,hadith No.2907]
AQIDA: Jab qayamat ki chhoti badi saari nishaniya mukammal ho jaayengi,aur dunya me sirf kaafir hi kaafir baaqi rah jaayenge to sab se aakhir me Allah ta’ala hazrat-e-Israfil alaihissalam ko soor (Jo singh ke shakal ki ek chiz hai) phoonkne ka hukm dega to hazrat-e-Israfil alaihissalam Allah ke hukm se soor phoonkyenge,is ki awaaz shuru me dhimi hogi jise log kaan laga kar sunyenge magar dhere dhere tez hoti chali jaayegi aur phir itni tez ho jaayegi ki saare log be-hosh ho kar mar jaayenge aur dunya ki har chiz toot photo kar tabah-o-barbaad ho jaayegi yahan tak ki khud israfil alaihissalam aur soor bhi khatam ho jaayega. Phir Allah ta’ala jab tak chaahega sab ko isi haal par rakhega aur phir jab sab ko dobarah zinda karna chahega to hazrat-e-Israfil alaihissalam ko zinda farmayega aur unhe dobarah soor phoonk ne ka hukm dega,chunancha jab hazrat-e-Israfil alaihissalam dobaarah soor phonkyenge to saare log zindah ho kar apni apni qabron se niklyenge.phir sab logon ko ek jagah jama kiya jaayega aur zindagi bhar ka hisaab liya jaayega.Us din none’muslim ki Allah ta’ala ki baargah me koi shifarish nahi karega aur na hi us ki taraf se kisi ki koi shifarish qabool ki jaayegi,Haan,Musalmano ki shafa’at sab se pahle Huzur farmayenge aur sab se pahle aap hi ki shafa’at qabool ki jaayegi.us ke baad dusre log jaise ambiya, sahaba, auliya, Shuhda,ulma,haaji,Hafiz-e-quran wagairah bhi shafa’at karyenge aur Allah ta’ala un ki shafa’at qabool farmayega aur bahut saare logon ke gunahon ko maaf farma kar jannat ata farmayega.Jaisa ki huzur Sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya: Beshakh meri ummat me se kuchh log ek girooh ki shafat karenge aur kuchh log ek qabile ki shafaat karenge aur kuchh ek zama’at ki aur kuchh ek ek aadmi ki yaha tak ki woh log janaat me dakhil ho jaaenge. [Tirmazi,Hadith No.2627]
Aakhir me jab saare musalman jannat me pahuch jaayenge aur kaafir jahannam me to maut ko jannat aur jahannam ke bich me laa kar zabah kar diya jaayega aur phir aelaan kiya jaayega ki Aye jannatiyon ab tum hamesha jannat me raho aur Aye jahannamiyon tum hamesha ab jahannam mein raho.is se jannatiyon ko khushi par khushi hogi aur jahannamiyon ke gam ki koi inteha na hogi.
Allah ta’ala se dua hai ki Allah ta’ala ham sab ko apne mehboob ﷺ ke sadqe imaan ki maut nasib ata farmaye aur jannat ko ham sab ka aakhiri thikaana banaye.
……………………………………………………..Ameen.

٭٭٭
Share.........




Related Topics



Allah Ta'ala ke baare me islami aqide Ambiya-e-Kiram ke baare me islami aqide Hamare Nabi ﷺ ke baare me islami aqide Farishton ke baare me islami aqide Aasmani Kitabon ke baare me islami aqide Taqdeer ke baare me islami aqide Sahaba ke baare me islami aqide Auliya Allah ke baare me islami aqide Aakhirat ke baare me islami aqide



Dawat-E-Quran