Bhau ke baal banwane,Tattoo karaane aur Naqli baal lagwane ka Mas’ala



Hadis: Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ne Tattoo karwane wali, Daanto ko retwa kar kushadah karwane wali,Bhau ke baal nuchwane wali aur Allah ki paida ki hui chizo me tabdili karne wali aurato par la’nat farmaya.(Bukhari,Hadis No.5931.Muslim,Hadis No.2125. Nisa’ee,Hadis No.5253)
Hadis:Hazrat Asma binte Abu Bakar siddiq radhi allaho anha bayan karti hain ki : Ek aurat Huzur ﷺ ki baargah me aayi aur arz ki ke : Ya Rassolallah ﷺ ! meri beti ki shadi hui phir woh bimaar pad gayi jiski wajah se uske baal jhar gaye, agar main uske sar me aur baal laga dun to kya mujhe gunah hoga ? Aap ﷺ ne farmaya ki : Baal lagane aur lagwane wali auraton par Allah Ta’ala ne la’nat farmaya hai. (Sunan Nasai Hadees No.5250)
Hadis:Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho ne jab ye bayan kiya ki:Tatto karwane wali,Bhau ke baal nochne aur nochwane wali aur khubsurati ke liye daanto ko kushadah karwane wali aurato par Allah ne la’nat farmaya hai.To Qabila bani Asad ki ek aurat ne kaha ki aap aisi baate kar rahe hain.Jab ki is me se kuchh baaten to aap ki biwi ke andar bhi paayi jaati hain.Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho ne un se farmaya ki ghar ke andar jaa kar meri biwi ko dekh lo. Woh ghar me gayi aur phir wapas aayi to aap ne puchha ki kiya dekha?Un hone kaha ki kuchh nahi.To Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho ne farmaya ki:Agar us me ye baat hoti to mere saath nahi rahti.(Yani shari’at ke khilaf kaam karne wali aurato ke liye mere ghar me koi gunja’ish nahi hai.). (Sahi Muslim,Hadis No.4886)
In Hadiso se maloom hua ki Bhau ke baal banana ya banwana, Tatto karana, Insaano ke bane hue balloon ki chotiyan sar me lagana sakht naja’iz aur gunah hai.
Afsos!Aaj musalman auraten ye sab kaam khoob shauq se karti hain magar un ke ghar walo ki peshani par bal bhi nahi aata.Balki is ke liye woh apne ghar ki aurato ko rupiya aur paise bhi dete hain.Allah Paak raham farmae………………………Ameen
Share.........




Related Topics



Khaana khaane ke Adaab Pani wagairah pine ke adaab Libaas ke ahkaam aur adaab Tel,Khushbu aur kanghi ke masaail-o-Adaab Ghar se nikalne aur daakhil hone ka tariqa Anguthi pahn-ne ke Masaail Sone chandi ke zewar ke Masaail Loha,Taamba,Pital aur dusre dhaat ke zewar ke ahkaam Mehandi,Kaanch ki churiyan aur sendoor wagairah ka sharyi hukm Safeed baalon ko rangne ka mas'ala Hajamat banwaane ke Masaail-o-Adaab Nakhun kaatne ke Masaail-o-Adaab Pakhaana aur peshab karne ke Masaail-o-Adaab Bimar ki eyaadat ke fazaail aur masaail Bachcho ki paidaaish ke baad ke kaam Jhaar phoonk aur dua ta'wiz ke Masaail Jute aur chappal pahn-ne ke Masaail-o-Adaab Chhink aur jemaahi ke Masaail-o-Adaab Ham-bistari ke Masaail-o-Adaab Peer ke andar kin baato ka hona zaruri hai? Sone,Baithne aur chalne ke Masaail-o-Adaab Dusre ke ghar me daakhil hone ke Masaail-o-Adaab Salam karne ke Masaail Musaafha karne,gale milne aur bosa lene ke Masaail Maa baap ya kisi buzurg ka haath pair chumne aur unki taazim ke liye khade hone ka Mas'ala Mannat ke Ahkaam-o-Masaail Qasam ke Ahkam-o-Masaail Gibat,Chugli,Hasad aur jalan ke Ahkaam



Dawat-E-Quran