Sawal:Hamare kuchh gair muslim dost Islam se dil-chaspi rakhte hain aur Quran sharif padhne ka shauq zaahir karte hain.Unhe Quran majid ka tohfa ham de sakte hai ya nahi? Meharbani kar ke jawab thoda jald ata farmae.Allah Ta’ala aap ko dunya aur aakhirat me is ka achhchha badla ata farmae.
Jawab:Quran Majid insaan aur har chiz ke paida karne wale Rab ka aakheri aur muqaddas kalaam hai.Is ka paigam sirf kisi khaas qaum ke liye nahi balki woh puri dunya ke liye hidayat ka zariya hai.Jaisa ki khud Allah Ta’ala ne irshad farmaya ki “Ye Quran tamam logo ke liye hidayat hai.(Surah Baqra,Aayat No.185)
Agar un gair muslim dosto se ye ummid ho ki woh log is muqaddas kitaab ka adab aur taazim karenge to to hidayat ki niyat se unhe Quran sharif tohfa ke taur par diya jaa sakta hai.Aur unhe us ki taalim bhi di jaa sakti hai.Lekin unhe ye bata de ki naha dho kar is ko haath lagaae. Jaisa ki Fatawa Alam giri me hai.
قَالَ أَبُو حَنِيفَةَ: أُعَلِّمُ النَّصْرَانِيَّ الْفِقْهَ وَالْقُرْآنَ لَعَلَّهُ يَهْتَدِي ، وَلَا يَمَسُّ الْمُصْحَفَ ، وَإِنْ اغْتَسَلَ ثُمَّ مَسَّ لَا بَأْسَ ، كَذَا فِي الْمُلْتَقَط
Aur agar un ki taraf se be-adbi ka dar ho to unhe Quran sharif nahi dena chahiye kyunki Quran sharif ka adab har haal me zaruri hai.aur uski be-adbi hone se bachaana imaani fariza hai.Sahi Muslim me hai. Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma bayan karte hain ki Huzur Nabi kareem Sallallaho alaihe wasallam ne Quran sharif ko dushmano ki zameen me le jaane se mana farmaya.Is dar se ki kahen dushmano ke haath na pad jaae.(Aur woh uski beadbi kar baithe.).(Sahi Muslim,Hadis No.4947)
Is liye agar who Quran sharif ka adab kare to unhe de sakte hain.Jaisa ki upar ke bayan se zaahir hua.
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........
Life insurance karaana kaisa hai? Test tube baby ka mas'ala Mobile me Quran sharif ko begair wazu ke chhona kaisa hai? Maa baap me se ek musalman hai,To bachche ka kya hukm hoga?