Sawal:Mere pados mein ek gair muslim miya aur biwi rahte hain.Biwi ne Islam qabool kar ke apne kaafir shauhar se alag ho gayi.Magar us kaafir shauhar se us ko ek bachcha hai.Jis ka inteqaal howa.To ab kuchh log kahte hain ki.Baap kaafir hai is liye bachche ki namaaz-e-janaza nahi hogi.Aur kuchh log kahte hai ki maa musalman hai is liye namaaz-e-janaza hogi.Kis ki baat sahi hai? Shari’at ki raushani me jawab de.Badi meharbani hogi.
Jawab:Maa baap me se kisi ek ke kaafir hone ki surat me bachcha us ki taraf mansoob hota hai jo deen ke etebaar se behtar ho.Aur is me koi shak nahi ki “Islam” se behtar koi deen nahi.Is liye is surat me bachcha musalman qarar diya jaaega aur us ki namaz-e-janaza padhi jaaegi.Jaisa ki Raddul Muhtaar me hai:
وازا ارتد احد الزوجین عن الاسلام وقعت الفرقۃ بغیر طلاق وولد یتبع خیر الابوین دینا۔"
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........
Life insurance karaana kaisa hai? Test tube baby ka mas'ala Mobile me Quran sharif ko begair wazu ke chhona kaisa hai? Gair-Muslim ko Quran sharif ka tohfa dena kaisa hai?