Sawal:Life insurance karaana kaisa hai?
Jawab:India me Life insurance yani zindagi bima karaana jaaiz hai.Magar har shakhs ko ijaazat nahi,Sirf usi ko ijaazat hai jis ko apni maujoodah maali haalat ke saath 3 saal ki muqarrarah ya uske baad ki muddat tak 3 saal ki tamaam Qist jama karne ka yaqeen ho. Aur jis shakhs ki maali haalat aisi nahi hai to uske liye Bima policy ki ijaazat nahi hai.
Bahrul Uloom Mufti Abdul Mannan Rahmatullah alaihe farmaate hain ki:Jiwan bima apni asal ke etebaar se Juwa hai.Is me nafa aur nuqsaan dono ka khatra hai,Is liye ye haraam hai. Lekin Ala Hazrat farmaate hain ki: Company ke sab maalik gair-muslim hon aur us Bima karaane wale ko kisi qism ki shari’at ke khilaaf paabandi laazim nahi ho aur musalman ka usme faaida hi faaida ho to yahan India me uski ijaazat hai.(Fatawa Bahrul Uloom,Jild,4,Page No.96)
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........
Test tube baby ka mas'ala Mobile me Quran sharif ko begair wazu ke chhona kaisa hai? Gair-Muslim ko Quran sharif ka tohfa dena kaisa hai? Maa baap me se ek musalman hai,To bachche ka kya hukm hoga?