Sawal:Mard aur aurat ke liye kaala kapda pahan-na kaisa hai,Chaahe ek ho ya dono?
Jawab:Aurat ke liye har qism ke kapde jaaiz hain.Aur mardo ko “Kasum,Kesar aur khaalis laal rang” ke kapde pahan-na mana hai.Hadees sharif me hai ki: Huzur Nabi Kareem Sallallaho alaihe wasallam ke paas se ek shakhs guzra,Jis ke badan par do laal rang ke kapde the,Us ne Aap Sallallaho alaihe wasallam ko salam kiya, To Aap Sallallaho alaihe wasallam ne use jawab nahi diya.(Abu Dawood,Hadees No.4069)
Aam dino me kaale rang ka kapda pahan-na jaaiz balki mustahab hai chaahe ek ho ya dono,Haan! Muharram ke mahine me shiyo se mushaabihat ki bina par kaale rang ka kapda pahanna jaaiz nahi hai.Raddul Mohtar me hai:
ویستحب الأبیض وکذا الأسود لأنہ شعار بني العباس، ودخل علیہ الصلاة والسلام مکة وعلی رأسہ عمامة سوداء. کما في الشرعة اھ
(رد المحتار، کتاب الحظر والإباحة، فصل في اللبس،ج ٩ ص ٥٠٥/دار عالم الکتب:الریاض
Sadrus shariya Mufti Amjad Ali farmaate hain: Safeed kapde behtar hai ki hadees me iski taarif aayi hai aur kaale kapde bhi behtar hai ki Huzur Sallallaho alaihe wasallam fath-e-makka ke din jab Makka me tashrif laaye to sar-e-aqdas par kaale rang ka imaama tha.[Bahaar-e-Shari’at,Jild 3,Hissa 16,Page No.412]
Ala hazrat alaihirrahmah farmaate hain ki: Aurat ko har qism ka rang jaaiz hai,Aur mard ke liye do rango ka mana hai.Mu’asfar aur Mu’zafar yani kasum aur kesar, ye dono mardo ko najaaiz hai,Aur khaalis laal rang bhi munaasib nahi hai.Kyunki hadees me ise pasand nahi kiya gaya hai.
Baaqi sab rang jaaiz hain, Haan! Agar kisi khaas wajah se mana ho jaae to dusri baat hai.Jiase Maatam ki wajah se kaala kapda,Isi tarah muharram me hare rang ka kapda,Jo jaahilo ka tariqa hai.[Fatawa Razwiya,Jild 22,Page No.185]
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........
Taali Bajaana Kaisa Hai? Kisi Khaas Din Ki Mubarak-baad Dena Kaisa Hai? Marriage Anniversary Aur Birth-Day Manaa-naa Kaisa hai?