Kisi Din Ki Mubarak-Baad Dena Kaisa Hai?



Sawal:Juma ki Mubarak baad dena,Ya Janam din ki Mubarak baad dena ya new year ya aur koi khushi ke din ki Mubarak baad dena,kaisa hai?
Jawab:“Mubarak-baad” ye ek du aka jumla hai.Jis ka matlab hota hai ki “Allah Ta’ala aap ko barkat naseeb farmaaye.” Juma ke din, Kisi ka Janam din ya aur koi bhi khushi ka din,Ye sab hamare liye Allah ta’ala ki nemat hoti hai.Is liye aise mauqe par Mubarak-baad dene me koi harj nahi hai.Kyunki in chizo se Quran-o-hadees me kahi mana nahi kiya gaya hai,Jis ki wajah se najaaiz kaha jaae. Jab bhi Allah Ta’ala ki taraf se koi nemat mile,hamare liye barkat hi hoti hai,Is liye jo Mubarak-baad dena chaahe woh de sakte hain aur jo nahi de tab bhi koi baat nahi.Lekin shari’at ke etebaar se ye mana nahi hai.
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........




Related Topics



Taali Bajaana Kaisa Hai? Kis Rang Ka Libaas Pahanna Mana Hai? Marriage Anniversary Aur Birth-Day Manaa-naa Kaisa hai?



Dawat-E-Quran