Jab umrah karne ka iraada ho,To sab se pahle apni niyat ko durust kar lijiye,Allah ki riza ke elawah aur koi bhi niyat na rakhe. Aur isi jazbe ke saath pura umrah kare. Selfi,Vedios wagairah bana kar parchaar karna,Dosto ko send karne se parhez Karen.
(1)Jis din Umrah par jaana ho us se ek din pahle apne badan ki achchhi tarah safaayi kar le. Naaf ke niche aur bagal ke baal wagairah saaf kar le,Naakhun wagairah kaat len.
(2)Dubai ya jahaan se bhi ehraam baandhna ho,Ehraam baandhne se pahle waqt ho to istinja wagairah haajat se faarig ho kar gusal kar le nahi to Miswak kar ke achchhi tarah wazu kar le. Phir ehraam baandh kar 2 rik’at namaz padh le . Uske baad sar se chaadar hata kar
(3)Umrah ki niyat kare. (Aurat apne normal kapde hi me namaz padh kar umrah ki niyat kare, Umrah ki niyat karne ke baad apna chehra na chhupaaye.)
Umrah ki Niyat: Ya Allah maine umrah ka iraada kiya.To ise mere liye asaan karde aur ise meri taraf se qabool farma le aur iski adaaegi me meri madad farma aur is me mere liye barkat ata farma.Main ne umrah ki niyat kiya aur main iske saath Allah ta’ala ke liye ehraam bandha.
(4)Phir 3 martabah Talbiyah padhe aur dua kar le. Uske baad Ka’ba sharif pahunchne tak ziyadah se ziyadah talbiyah padhte rahe.
(5)Jab Masjid-e-Haram me daakhil ho to etikaaf ki niyat kar le.Phir nazar jhuka kar chalte rahe.Aur Ka’ba sharif par jab pahli nazar pade to 3 baar “La ilaaha illallahu wallahu Akbar” Aur darood sharif padh kar dua maange.(Is waqt maangi hui dua zarur qabool hoti hai) Uske baad Hajr-e-Aswad jis ki pahchaan ke liye Green Light lagi hui hai.Us taraf aaye aur Hajr-e-Aswad se pahle Mard Izteba kar le yaani chaadar sidhe haath ki bagal ke niche se nikaal kar us ke dono palle ulte kandhe par is tarah daal le ki siddha kandha khula rahe.Phir Tawaf ke liye niyat kare.(Is tarah se, Ya Allah!Main tere izzat wale ghar ke tawaf ki niyat karta hun 7 chakkar.To ise mere liye asaan karde aur ise meri taraf se qabool farma)
(6)Phir Hajr-e-Aswad ki taraf chehra kar ke takbir aur istelaam kare. (Takbir aur istelaam ka matlab ye hai ki Hajr-e-Aswad ke aamne saamne ho kar haath kaano tak is tarah se uthaaen ki haath ki hatheliyan Hajr-e-Aswad ki taraf rahe aur kahen. “Bismillahi wal-hamdu lillahi wallahu Akbar,Was-salaatu was-salamu Ala Rasoolillah.” Itna kah kar haath se hajr-e-aswad ki taraf ishaara kar ke haath ko choom len.)
(7)Hajre Aswad se tawaf shuru kare.(Pahle ke 3 chakkar me Ramal kare aur baaqi 4 me normal chaal chale.Har chakkar ke shuru me istelaam kare,Aur aakhir me istelaam par khatam kare.Yani chakkar 7 honge aur istelam 8 honge. Aur jab tawaf mukammal ho jaae to kandha dhak le,Khula na rakhe.)
(8)Maqaam e Ibrahim ke pichhe 2 rik’at wajib ut tawaf namaaz padhe.
(9)Multazam ke saamne dua kare.
(10)Zam Zam piye aur us ke baad dua kare.
(11)Hajr-e-Aswad ke saamne takbir aur istelaam kare.
(12)Safa pahaad par jaa kar Kaaba sharif ki taraf chehra kar ke dua kare .Phir Saee ki niyat kare. Aur Saee shuru kare jab chalte chalte Green light ke paas aaye to mard thoda daur kar chale aur aurat normal chale. Marwah par pahunche to yahan bhi ka’ba sharif ki taraf munh kar ke dua kare.Yahan par ek chakkar mukammal hua.(Yani safa se marwah ek chakkar hota hai.Phir Marwah se safa 2 chakkar, Istarah 7 chakkar lagaayen.)
(13)Saee ke baad 2 rik’at namaz padhe aur dua kare.
(14)Sar mundwaae ya baal katarwa le.
Umrah Mukammal ho gaya.
Share.........
Haj Aur Umrah ki Fazilat Haj Ki Qismen Haj Karne Ka Tariqa Haj Ke Faraaiz,Wajibaat Aur Sunnaten Ehraam Ke Masaail Aurato Ke Haj Ke Baare Me Sawal Jawab Umrah Karne Ka Mukammal Tariqa