Nafli Rozo Ka Bayan



Roza ek bemisaal ibaadat hai.Jo Allah Ta’ala ko bahut pasand hai. Hadis sharif me hai ki:Jab Roza rakhne wale log Allah Ta’ala se mulaqaat karenge to un ko apne roze ki wajah se badi khushi haasil hogi.(Sahi Muslim,Hadis No.1151) Aur ek dusri hadis me hai ki:Jab koi shakhs Allah ke liye ek roza rakhta hai to use Allah Ta’ala 70 saal ki duri ke barabar jahannam se door kar deta hai.(Sahi Muslim,Hadis No.1153)
Isi liye Aap Sallallaho alaihe wasallam Ramzan ke farz roza ke elawah bhi bahut ziyada roze rakha karte the.
Aashure ka roza:Aap ﷺ aashurah (10 Muharram) ka roza Makka sharif mein rakha karte the.Phir jab Madina sharif aae, to bhi is din ka roza rakha aur logo ko bhi roza rakhne ka hukm diya. To sahaba ne arz kiya Ya Rasoolallah Sallallaho alaihe wasallam!Is din ki yahudi aur isaai taazim karte hain aur woh log bhi roza rakhte hain.To Aap ﷺ ne farmaya ki:Jab agla saal aaega to in sha allah ham 9wi taarikh ko bhi roza rakhenge.(Sahi Muslim,Hadis No.1134)
Aashure ke roza ki fazilat bayan karte hue Aap ﷺ ne farmaya ki:Mujhe Allah Ta’ala se ummid hai ki Jo shakhs aashure ka roza rakhega Allah Ta’ala us ke pichhle ek saal ke gunaah ko maaf kardega.(Ibn-e-Majah,Hadis No.1738)
Shawwal ke Roze:Hazrat-e-Abu Ayyob Ansaari radhi allaho anho bayan karte hain ki: Huzur ﷺ ne farmaya ki:Jis shakhs ne Ramazan ke roze rakha aur phir us ke baad shauwwal ke 6 roza rakha to use hamesha roza rakhne ka sawab milega.(Sahi Muslim,Hadis No.1164)
Note:Ye roze ek saath 6 bhi rakh sakte hain aur alag alag bhi rakha jaa sakta hai.
Arfa yani 9wi Zilhaj ka Roza:Hazrat-e-Abu Qatada radhi allaho anho bayan karte hain ki:Huzur ﷺ ne farmaya ki:Arfa ke din roza rakhne se Allah Ta’ala ek saal pahle aur ek saal baad ke gunaho ko maaf farma deta hai.(Sahi Muslim,Hadis No.1162)
Note:Ye roza haajiyo ke liye rakhna behtar nahi.Kyunki Aap ﷺ ne apne haj ke waqt ye roza nahi rakha.(Sahi Muslim,Hadis No.1123) Aur ek hadis mein hai ki haajiyo ke liye Aap ﷺ ne is roza se mana bhi farmaya.(Abu Dawood,Hadis No.2440)
Peer ke din ka roza: Aap ﷺ har peer ko roza rakha karte the.Jab Aap ﷺ se is ki wajah puchhi gayi to Aap ﷺ ne farmaya ki:Main isi din paida hua tha aur isi din mujh par Quran naazil hua tha.(Sahi Muslim,Hadis No.1162)
Ayyam-e-Baiz Yani har mahine ke 3 roze: Aap ﷺ har mahine me kam se kam 3 roze rakhte the.Magar kisi khaas taarikh ka ehtemaam nahi farmate the.Taaki ummat par aasaani rahe aur koi isi taarikh ko zaruri nahi samajh le.Lekin Aap ﷺ ne begair zaruri samajhe hue is roza ko rakhne wale ke liye 13-14-15 taarikh ko roza rakhne ka hukm farmaya.Jaisa ki Ibn-e-Milhaan Qaisi apne walid se riwayat karte hain ki:Woh bayan karte hain ki:Hame Huzur ﷺ ne Ayyam-e-Baiz ke roze 13-14-15 taarikh ko roza rakhne ka hukm diya.Aur Aap ﷺ irshad farmaya karte the ki is roze ke rakhne wale ko hamesha roza rakhne ka sawab milta hai.(Tirmizi,Hadis No.762)
Wisaal ke Roze:Begair iftaar kiye hue lagataar kayi din roza rakhne ko wisaal ka roza kaha jaata hai. Aap ﷺ Ramazanul Mubarak me begair iftaar kiye hue lagataar kayi kayi din roze rakha karte the.Magar Huzur Sahaba ko is tarah se roza rakhne ko mana farmaya to Sahaba ne kaha ki Ya Rasoolallahﷺ!Aap to is tarah se roze rakhte hain.To Aap ﷺ ne farmaya ki: Beshak main tumhari tarah nahi hun.Mujhe to mera Rab khila aur pila deta hai.(Sahi Bukhari,Hadis No.7241.Sahi Muslim,Hadis No.1102-1104.Tirmizi,Hadis No.778)
In rozo ke elawah Aap ﷺ ne aur bhi roze rakha karte the.Jaisa ki Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha bayan karti hain ki:Huzur ﷺ jab roza rakhna shuru karte the to rakhte chale jaate the.Yahan tak ki ham log sochte ki ab huzur iftaar nahi karenge yani roza rakhna nahi chhorenge.Aur iftaar karte the yani roza chhorte the yahan tak ki ham log sochte the ki ab huzur roza nahi rakhenge.Hazrat-e-Aaisha hi bayan karti hain ki:Huzur ﷺ Ramazanul Mubarak ke elawah kisi mahine me mukammal pure mahine roze rakhte hue nahi dekha.Aur Shaaban se ziyadah kisi aur mahine me roza rakhte hue nahi dekha. (Yani mukammal mahina sirf ramazaan me raha karte the aur Ramazan ke elawah sab se ziyada Shaaban me roza rakha karte the.)(Abu Dawood,Hadis No.2434)
Share.........




Related Topics



Ramzan-ul-Mubarak ki Fazilat Roze Ki Ahmiyat Wa Fazilat Roze Ki Niyyat Ke Masail Un Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Toot ta Rozah Torne Waali Cheezon Ka Bayan Roze Ke Makhroohat Ka Bayaan Un Surton Ka Bayaan Jin Me Sirf Qazaa Laazim Hai Un Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai. Kaffara Ka Bayan Aur Uske Laazim Hone Ki Sharten Sehri Wa Iftaar Ka Bayaan Kin Halaaton Me Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai Roze Ke Fidya Ke Masail Shab-e-Qadar Ki Fazilat Etekaaf Ke Masaail



Dawat-E-Quran