Aap ﷺ ka Husn- e-Akhlaq



Aap sallallaho alaihe wasallam ke akhlaq ke bare me khud Allah ta'ala ne irshad farmaya ki "beshak aap zaroor buland akhlaq pe fa-iz hain"(Surah Qalam ayat no :4)
Hazrat-e-Anas radhi allaho anho bayan karte hain ki main 10 saal huzur sallallaho alaihe wasallam ki khidmat me raha. Khuda ki qasm aap ne mujhe kabhi uff ! tak nahi kaha , aur na kabhi mujh se ye kaha ke tum ne falan kaam kyun nahi kiya ? Ya falan kaam kyun kiya? (Sahi Muslim, Hadith No. 2309)
Aap ﷺ ne farmaya ki:Mujhe mere parwardigaar ne 9 baato ka hukm diya.(To main us par qaaim hun.) (1) Zaahir aur baatin me ekhlaas ko apni pahchan banao.(2)Khushi aur naraazgi,dono haalat me insaaf karun.(3)Khush haali aur tang dasti dono me bich ka raasta ekhtiyar karun.(4)Jo mujh par zulm kare use main maaf kardun.(5) Jo mujh se apna ta’alluq tode us ke saath bhi main nek sulook karun.(6) Main use bhi don jo mujhe nahi deta hai.(7) jab bolun to Allah ka zikr karun.(8)Khamushi ki haalat me uski aayato me gauro fikr karon.(9) Jab main kisi chiz ko dekhon to us se ib’rat lun.(Ziyaun Nabi, Vol:5,Page No.303)
Aap sallallaho alaihe wasalla ne achchhe akhlaq ke bare me farmaya ki " beshak aadmi apne achchhe akhlaq ki wajah se, hamesha roza rakhne aur raaton ko uth ke namaz padhne wale ke darje tak pahunch jata hai.(Tirmizi, Hadith No. 2003)
Aur aap sallallaho alaihe wasallam ne farmaya ki : beshak tum me se qayamat ke din mujh se ziyadah qareeb aur meri nazar me ziyadah pasandida woh log honge jin ke akhlaq achchhe honge,aur bak bak karne aur zaban darazi karne aur ghamand karne wale log qayamat ke din mujhse bahut door honge. (Tirmizi, Hadith No.2018) is liye hame achchhe akhlaq apna na chahiye aur bure akhlaq se bachna chahiye taaki ham huzur se qareeb ho sake.

Share.........




Related Topics



Aap ﷺ ki Namazen Aap ﷺ ke Roze Aap ﷺ Ka Haj Aur Umrah Aap ﷺ Ka Sadqa aur Khairaat Aap ﷺ Ki Taqrir Aap ﷺ Ke Khat Aap ﷺ Ki Wasiyaten Aur Nasihaten Aap ﷺ Ki Aman Pasandi Aap ﷺ ke Mo'jaze Aap ﷺ ka Adl O Insaaf Aap ﷺ Ki Sakhawat Aap ﷺ ka Apni Ummat Se Mohabbat



Dawat-E-Quran