Aap ﷺ ki Namazen



Aap ﷺ ko namaazo se badi muhabbat thi.Jaisa ki Aap ﷺ ne khud farmaya ki:Meri aankho ki thandak namaaz me hai.Yani mujhe namaaz se badi khushi hoti hai.Is liye Aap ﷺ 5 waqt ki namaaz ke elawah Namaaze ishraq,Namaaze chasht,Tahiyatul wazu,Tahiyatul Masjid,Salatul auwwabin,Namaaze haajat,Salaatul tasbih wagairah ki bhi namaaze ada farmaya karte the.Is ke elawah raato ko jaag kar bhi nafal namaazen padha karte the aur tahujjud ki namaaz puri zindagi paabandi ke saath ada farmate rahe.
Jab Aap ﷺ logo ko namaaz padhate to halki namaaz padhate magar jab akele namaaz padhte to badi lambi namaaz padhte.Hazrat-e-Abdullah bin Masood radhi allaho anho bayan karte hain ki:Ek Raat jab Huzur ﷺ akele namaaz padh rahe the to main bhi aap ke saath namaaz ke liye khada ho gaya.Magar Huzur itni der tak khade rah gaye ki main ne ek buri chiz ka iraada kar liya.Logo ne puchha ki aap ne kiya iraada kar liya?To unhone kaha ki main ne ye iradaa kiya ki main baith jaaun aur huzur ko khada hi chhor dun.(Magar main ne aisa sirf huzur ki taazim ki garz se nahi kiya) (Sahi Bukhari,Hadis No.1135)
Bilkhusus Ramazan ke mahine me jab Aap ﷺ namaaz padhte to phir itni lambi namaaz padhte ki aap ke Qadme Mubarak me sujan aa jaata tha.Aur jab huzur ko is par toka jaata ki aap ko itni lambi namaaz padhne ki kiya zarurat?To Aap Farmate kiya main apne rab ka shukr guzaar banda nahi banu.(Sahi Bukhari,Hadis No.1130)
Der tak namaaz padhne ke saath khushu aur khuzu ki haalat ye hoti thi ki kabhi kabhi aap ﷺ namaaz hi me Allah ke huzur bilak bilak kar rote the.Hazrat-e-Mutrif apne walid se riwayat karte hue bayan karte hain ki:Main ek baar huzur ke paas aaya us waqt Aap ﷺ namaaz padh rahe the.Aur aap ﷺ is tarah se ro rahe the ki aap ke sine se haandi ke ubalne ke jaisi awaaz aa rahi thi.(Sunan Nisaai, Hadis No.1214)
Share.........




Related Topics



Aap ﷺ ke Roze Aap ﷺ Ka Haj Aur Umrah Aap ﷺ Ka Sadqa aur Khairaat Aap ﷺ Ki Taqrir Aap ﷺ Ke Khat Aap ﷺ Ki Wasiyaten Aur Nasihaten Aap ﷺ Ki Aman Pasandi Aap ﷺ ke Mo'jaze Aap ﷺ ka Adl O Insaaf Aap ﷺ Ki Sakhawat Aap ﷺ ka Apni Ummat Se Mohabbat Aap ﷺ ka Husn- e-Akhlaq



Dawat-E-Quran