Sawal: Kya kafiro ke liye dua kar sakte hain?
Jawab:Kafiro ke liye magfirat ki dua karna sakht najaaiz-o-haram hai. Allah Ta’ala ka farman hai ki “Nabi aur iman walo ko laayeq nahi hai ki woh mushriko ke liye magfirat ki dua Karen,Agarche woh rishtedaar hon,Jab ki ye baat zaahir ho chuki hai ki woh jahannami hain.” [Surah Tauba,Aayat No.113]
Haan! Zinda kaafir jinka anjaam maloom nahi hai,Un ke liye hidayat aur dusare dunyawi kaam jaise kaar-o-baar me barkat,Bimari se sehat wagairah ke liye dua karna jaaiz hai.Jaisa ki sahih bukhari me hai ki: Jab qahat ki wajah se makka ke kuffar sakht parishan hog aye to Huzur Sallallaho alaihe wasallam se dua ke liye kaha to Aap ne unke liye dua farmaya.Isi tarah ek yahudi ke paani pilaane par Aap Sallallaho alaihe wasallam ne use khoobsurat rahne ki dua diya. Hazrat Uqba bin Aamir ne ek Isaai ko lambi zindagi aur bahut se aulad hone ki dua diya. Ye sab riwayate hadees ki kitabo me maujood hai.In se saabit hota hai ki kaafiro ke liye dunyawi chizo ke liye dua kar sakte hain.
Wallahu A’lamu bis-sawab.
Share........
Gair-Muslim Ko Qurbani Ka Gosht Dena Kaisa Hai? Gair-Muslim Ki Mayyat Me Sharik Hona Kaisa Hai? Musalman Ka Ghoomne Ke Liye Mandir Jaana Kaisa Hai?